1
00:00:01,020 --> 00:00:02,480
"The 100" mein is say pehlay.
2
00:00:02,571 --> 00:00:05,030
Tumharay bohat saray log Mount
Weather mein phansay huway hain.
3
00:00:05,120 --> 00:00:06,710
In ka khoon dawai kay taur par
istemaal hota hai.
4
00:00:06,800 --> 00:00:08,815
Mere log bhi wahaan qaidi banay huway hain.
5
00:00:08,906 --> 00:00:10,070
Tum hamein yeh kyun dikha rahi ho?
6
00:00:10,161 --> 00:00:11,861
-Kyun kay main dar rahi hun.
-Kis cheez say?
7
00:00:11,952 --> 00:00:13,019
Kyun kay ab tum logon ki baari hain.
8
00:00:13,110 --> 00:00:15,325
Harper nashtay kay liye nahi aya.
Kya tum logon nay usay daikha hai?
9
00:00:16,416 --> 00:00:17,656
Hum dono kay pass aik hi
tareeqa hai apnay logon ko
10
00:00:17,681 --> 00:00:18,781
bachanay ka. Hamein aik sath
is ka hissa banna parega.
11
00:00:18,876 --> 00:00:20,090
Mujhe tum say pyaar hai.
12
00:00:20,180 --> 00:00:23,110
Main nay jo kuch bhi kiya, woh sab is
liye kiya kyun kay tum mehfooz raho.
13
00:00:23,200 --> 00:00:25,070
Jisay tum log Finn boltay ho
usay mere pass lay kar ao.
14
00:00:25,161 --> 00:00:27,278
Us ki maut hi ab hamari
sulah karwa sakti hai.
15
00:00:28,780 --> 00:00:30,840
Nahi. Finn!
16
00:00:30,931 --> 00:00:32,009
Ab woh kya karaingay us kay sath?
17
00:00:32,100 --> 00:00:34,470
Finn nay 18 insaani janain leen hain.
18
00:00:34,560 --> 00:00:36,863
Usay bhi itni hi takleef uthani paraygi.
19
00:00:38,358 --> 00:00:39,808
Mujhe bhi tum say pyaar hai.
20
00:00:42,120 --> 00:00:43,600
Tum kuch nahi hoga!
21
00:00:43,691 --> 00:00:45,031
Shukriya, shehzadi!
22
00:00:49,710 --> 00:00:51,360
Nahi!
23
00:01:37,479 --> 00:01:38,539
Mujhe karnay dou!
24
00:01:40,895 --> 00:01:44,010
Woh us par tashaddud kartay
tou mujhe, mujhe....
25
00:01:44,101 --> 00:01:46,784
-Koi baat nahi.
-Mujhe karna para.
26
00:01:46,875 --> 00:01:49,560
-Koi baat nahi.
-Mujhe karna para.
27
00:01:50,250 --> 00:01:51,720
Main nay kya kiya hai?
28
00:02:00,130 --> 00:02:02,440
Commandar ab baat karnay kay liye
tayyar hai.
29
00:02:23,230 --> 00:02:25,180
Khoon ka jawab khoon say day diya gaya hai.
30
00:02:26,130 --> 00:02:28,560
Meri taraf kay kuch log kehtay hain
kay yeh kaafi nahi hai.
31
00:02:28,650 --> 00:02:31,877
Woh chahtay thay kay qaatil hamari
rasm o riwaaj kay mutaabiq takleef uthaye.
32
00:02:32,573 --> 00:02:35,799
Magar unhein nahi pata kay tumhari
takleef us say kahi zyada hogi.
33
00:02:36,786 --> 00:02:40,140
Jo aaj tum nay kiya hai woh tumhara
peecha zindagi bhar nahi chore ga.
34
00:02:41,860 --> 00:02:43,970
Magar phir bhi talaafi ki jayegi.
35
00:02:44,060 --> 00:02:46,819
Tondc kay logon ko laash day di jayegi.
36
00:02:46,910 --> 00:02:49,510
Takay qaatil aur qatal dono
aag ka hissa ban jaye.
37
00:02:49,820 --> 00:02:51,870
Sirf us hi surat mein aman ho sakta hai.
38
00:02:51,960 --> 00:02:53,720
Nahi hum nay pehlay hi
bohat kuch kar liya hai.
39
00:02:53,810 --> 00:02:55,430
Larkay ko us kay apnay hi
dafnaye tou sahi rahay ga.
40
00:02:55,520 --> 00:02:58,293
Bohat kuch kar chukay hain?
18 logon ki maut ka dard baqi hai abhi.
41
00:02:58,384 --> 00:03:00,300
Abhi us qaatil ko maarna baaqi hai.
42
00:03:00,390 --> 00:03:02,220
Mera gaoun insaaf ka muntazir hai.
43
00:03:02,310 --> 00:03:04,740
Tumhein insaaf nahi badla chahiye.
44
00:03:04,830 --> 00:03:06,785
Tum nay abhi daikha nahi hai mera badla.
45
00:03:06,876 --> 00:03:08,016
Hum karaingay.
46
00:03:09,725 --> 00:03:11,651
Aur jab yeh kaam ho jayega tab
47
00:03:11,742 --> 00:03:13,764
hamein yeh baat karni hogi kay apnay logo
ko Mount Weather say bahir kaisay nikalain.
48
00:03:14,157 --> 00:03:15,260
Hamaray saray logon ko.
49
00:03:15,350 --> 00:03:17,400
Hum aik jaisi cheez hi chahtay hain,
Clarke.
50
00:03:17,491 --> 00:03:19,761
Bohat achi baat hai. Hum kab niklaingay?
51
00:03:19,852 --> 00:03:20,965
Abhi.
52
00:03:24,400 --> 00:03:25,950
Apnay sathiyoun ka intekhaab kar lo.
53
00:03:30,960 --> 00:03:33,360
Clarke, tumhein yeh karnay ki zaroorat
nahi hai.
54
00:03:34,031 --> 00:03:35,340
Hai zaroorat.
55
00:03:35,710 --> 00:03:37,730
Agar aman bahaal nahi huwa.
56
00:03:38,410 --> 00:03:40,180
Tou main nay Finn ko bila wajha maara.
57
00:03:47,760 --> 00:03:49,431
Clarke sahi bool raha hai.
58
00:03:50,080 --> 00:03:51,814
Hamein yeh karna hoga.
59
00:03:51,905 --> 00:03:53,970
Grounders kay sath aman qaim karnay
say hi hum log bach saktay hain.
60
00:03:54,060 --> 00:03:55,930
Mujhe nahi lagta unhein aman kay matlab
bhi pata hongay.
61
00:03:56,020 --> 00:03:58,380
-Commandar ko tou pata hai.
-Woh bacchi hai.
62
00:03:58,960 --> 00:04:01,240
Un logon ki rehnuma aik bacchi hai.
63
00:04:03,822 --> 00:04:05,070
Hamaray sath bhi aisa hi hai.
64
00:04:19,390 --> 00:04:20,770
Duur jao yahaan say.
65
00:04:21,580 --> 00:04:23,020
Raven, mujhe maaf karna.
66
00:04:23,310 --> 00:04:25,450
Main nay kaha duur jao.
67
00:04:25,540 --> 00:04:27,382
Mujhe pata hai kay yeh kitna
mushkil hoga tumharay
68
00:04:27,407 --> 00:04:29,104
liye magar main Grounders
kay sath ja rahi hun,
69
00:04:29,170 --> 00:04:31,680
aur main chahti hun kay tum
radio par kaam karti raho.
70
00:04:33,170 --> 00:04:35,140
-Tum kya kar rahi ho?
-Unhein isay abhi lay kar jana hoga.
71
00:04:35,230 --> 00:04:36,760
Haan sahi baat hai, peechay hato.
72
00:04:36,850 --> 00:04:38,960
Hamein aik minute do barah e karam Raven...
73
00:04:39,885 --> 00:04:41,130
Tum nay is kaam kay liye haami bhari thi?
74
00:04:41,220 --> 00:04:44,230
Hum isay usi gaon main lay kar ja rahe
hain jahaan khoon kharaba huwa tha.
75
00:04:44,320 --> 00:04:45,922
Wahaan aik maut ki rasam hai.
76
00:04:46,013 --> 00:04:48,640
Aur sirf isi tarha hum apnay logon ko
Mount Weather say bahir nikaal saktay hain.
77
00:04:51,650 --> 00:04:54,990
Phir main bhi chal rahi hun aur
fikr nahi karo...
78
00:04:55,538 --> 00:04:57,480
main tumhara radio bhi lay aoungi.
79
00:06:14,510 --> 00:06:15,500
Kuch mila?
80
00:06:16,620 --> 00:06:17,530
Daikhtay raho.
81
00:06:17,620 --> 00:06:19,490
Harper ko jo kuch bhi huwa hai,
kisi nay tou kuch daikha hoga.
82
00:06:19,580 --> 00:06:22,310
Kitni jaghaon par ho sakti hai woh?
Hum log aik band kamray main hain.
83
00:06:22,400 --> 00:06:23,890
Yahaan aisay kamray bhi hongay
jin ka hamein kuch pata nahi hai
84
00:06:23,980 --> 00:06:26,310
aisi jaghain jo naqshay par na hoon.
85
00:06:26,598 --> 00:06:28,308
Kya aisa mumkin hai?
86
00:06:28,399 --> 00:06:29,860
Mujhe shuba hai magar ho sakta hai.
87
00:06:29,950 --> 00:06:31,850
Shukriya tum nay bohat madad ki hai.
88
00:06:31,940 --> 00:06:34,192
Araam say, Miller.
Maya hamari dushman nahi hai.
89
00:06:34,283 --> 00:06:35,290
Kya tumhein yaqeen hai is baat par?
90
00:06:35,380 --> 00:06:37,130
Haan bilkul hum say zyada woh apni jaan
khatary mein daal rahi hai.
91
00:06:37,220 --> 00:06:39,860
Such mein? Kya yeh bhi kennel
mein jayegi agar pakri gayi tou?
92
00:06:39,950 --> 00:06:41,088
Bus karo.
93
00:06:42,699 --> 00:06:43,880
Mujhe kuch mila hai.
94
00:06:44,433 --> 00:06:46,813
Yeh hamein us antenna tak lay
kar jayega jo zameen mein hai.
95
00:06:46,904 --> 00:06:48,550
Agar hum radio tak rasayi haasil kar lain
96
00:06:48,641 --> 00:06:50,781
Arkwide channel kay zariye
paighaam bhaij saktay hain.
97
00:06:50,872 --> 00:06:52,080
yeh batanay kay liye,
kay hum yahaan par hain.
98
00:06:52,570 --> 00:06:54,457
Saathway level par jo
command center hai bus
99
00:06:54,482 --> 00:06:56,494
waheen radio hai jo kay
bohat mehfooz jagha hai.
100
00:06:56,560 --> 00:06:57,640
Tum pehlay gayi ho wahaan.
101
00:06:57,730 --> 00:07:00,000
Haan sirf isi liye kyun kay wahaan say
khatarnaaq cheezain hatayi jaani thi.
102
00:07:00,090 --> 00:07:01,650
Aur yeh kaam dobara honay
mein thora waqt lagay ga.
103
00:07:01,675 --> 00:07:02,544
Hamein radio nahi chahiye.
104
00:07:03,061 --> 00:07:05,220
Hamein un taaron tak rasayi chahiye jo
us mein jaa kar lagtay hain. Yahaan par.
105
00:07:05,770 --> 00:07:06,968
Yeh tou Art Warehouse hai.
106
00:07:07,063 --> 00:07:08,864
Yahaan tou main tum logon ko
lay ja sakti hun.
107
00:07:08,931 --> 00:07:09,813
Achi baat hai.
108
00:07:09,904 --> 00:07:13,400
Hamein bus dou foot lambi deewar
paar karni hogi,
109
00:07:13,490 --> 00:07:15,840
taar ko dhoondna hoga aur us
nizaam mein laga na hoga
110
00:07:15,930 --> 00:07:18,700
khamoshi kay sath takay command center
ya bahar koi hamari awaaz na sun lay.
111
00:07:18,790 --> 00:07:21,720
-Bus yehi karna hai?
-Nahi.
112
00:07:21,811 --> 00:07:23,460
Hamein thora taanbay ka taar
bhi churana paray ga,
113
00:07:23,550 --> 00:07:24,530
wahaan kay muhafizon
kay anay janay ka waqt
114
00:07:24,555 --> 00:07:25,444
aur aik walkie-talkie
bhi chahiye hoga.
115
00:07:25,510 --> 00:07:28,300
Aur aik bari si hathori bhi.
116
00:07:50,960 --> 00:07:53,600
Hey tum theek tou ho?
117
00:07:55,930 --> 00:07:56,810
Haan.
118
00:07:59,820 --> 00:08:01,100
Tum nay sahi kiya.
119
00:08:03,285 --> 00:08:04,870
Ab mujhe saari zindagi us baat
kay sath jeena parega.
120
00:08:06,269 --> 00:08:08,680
Tumhein abhi bhi yeh lagta hai na kay yeh
aman wali baat acha mashwara nahi hai?
121
00:08:08,770 --> 00:08:10,422
Mujhe lagta hai kay hum siyasat
karnay mein apna waqt zayaa kar
122
00:08:10,447 --> 00:08:12,124
rahe hain jab kay hamaray dost
museebat mein phansay huway hain.
123
00:08:12,191 --> 00:08:13,807
Bellamy hamein un ki fauj
chahiye Mount Weather tak
124
00:08:13,832 --> 00:08:15,354
pohanchnay kay liye aur
tumhein bhi pata hai yeh.
125
00:08:15,420 --> 00:08:18,790
Un ki fauj ko buri tarha shikast ho
rahi hai Mount Weather mein hamesha say hi.
126
00:08:19,160 --> 00:08:22,820
Hamein aik andar ka banda chahiye jo
hamari aankhein aur kaan ban sakay.
127
00:08:23,070 --> 00:08:25,060
Bhool jao yeh baat,
yeh kaam bohat khatarnaaq hai.
128
00:08:25,151 --> 00:08:28,210
Clarke, agar tum wahaan say bahir aasakti
ho tou main andar bhi ja sakta hun.
129
00:08:28,301 --> 00:08:29,680
Main nay kahaa nahi.
130
00:08:31,730 --> 00:08:33,440
Main tum say ahkamaat nahi laita
131
00:08:34,140 --> 00:08:35,770
mujhe aik behter wazahat
chahiye aisa na karnay kay liye.
132
00:08:37,290 --> 00:08:39,970
Main tumhein bhi nahi khoona chahti
samjhay?
133
00:08:46,198 --> 00:08:47,737
Fikr karna band karo,
Gustus!
134
00:08:48,565 --> 00:08:50,031
Jaisay tum mujhe hamesha kehtay thay.
135
00:08:50,412 --> 00:08:51,959
Jo bhi ittehaad hota hai us
mein khatra hota hai.
136
00:08:52,641 --> 00:08:55,646
Yeh 12 girouh ko aik sath
milanay jaisa nahi hai.
137
00:08:56,360 --> 00:08:58,046
Sky walay log thora mujhtalif hain.
138
00:08:59,133 --> 00:09:01,093
Woh hum say zyada pahari log hain.
139
00:09:02,520 --> 00:09:04,318
Aur is say hamara ittehaad toot bhi
sakta hai.
140
00:09:05,331 --> 00:09:07,811
Hamara ittehaad ya main?
141
00:09:09,627 --> 00:09:12,105
Ittehaad aap hi ho, Commander.
142
00:09:16,453 --> 00:09:18,301
Tou phir meri hifazat kar kay
apnay farz ki shanasi karo.
143
00:09:21,770 --> 00:09:22,670
Mujhe batao.
144
00:09:22,760 --> 00:09:23,820
Theek hai, sir.
145
00:09:23,910 --> 00:09:26,609
Commander ki fauj kabhi Ark par
hamla nahi karti.
146
00:09:26,700 --> 00:09:31,010
Balkay subha chay bajay
woh in junglon mein thay.
147
00:09:31,471 --> 00:09:33,550
Outsiders kabhi peechay nahi hathtay,
lieutenant.
148
00:09:33,640 --> 00:09:35,401
Nahi sir is commander
kay zariye in logon
149
00:09:35,426 --> 00:09:37,144
nay kafi ittehaad kiya
hai logo kay sath.
150
00:09:37,648 --> 00:09:38,990
Kya yahaan bhi aisa hi kuch huwa tha?
151
00:09:39,080 --> 00:09:42,260
Kuch pakka nahi hai sir magar is
imkaan ko hum radh nahi kar saktay.
152
00:09:42,583 --> 00:09:46,370
Sir agar yeh ittehaad
outsiders aur Ark kay beech mein hai,
153
00:09:46,460 --> 00:09:48,170
tou hum isay torhnay kay liye
bohat kuch kar saktay hain.
154
00:09:48,260 --> 00:09:50,577
Hum inhein aik dosray ko hi
maarnay daitay hain takay
155
00:09:50,668 --> 00:09:52,100
yeh idher aakar apnay logon ko
churwanay ki kooshish na karain.
156
00:09:52,190 --> 00:09:54,190
Mujhe is baat ki koi parwah nahi
kay un logon kay kitnay aadmi hain.
157
00:09:54,281 --> 00:09:56,360
Woh log bus hamara difaa torh na paye.
158
00:09:56,450 --> 00:09:59,130
Sir, hamein is khatray ko
sanjeedah laina chahiye.
159
00:10:01,683 --> 00:10:03,240
Aisa hi kar rahe hain hum, lieutenant.
160
00:10:03,331 --> 00:10:04,960
Tumhein mera yaqeen karna hoga.
161
00:10:05,051 --> 00:10:08,600
Hamein zameen par utarnay
say koi nahi rouk sakta.
162
00:10:21,960 --> 00:10:24,790
Clarke, hamari jagha zyada mehfooz hai.
163
00:10:24,881 --> 00:10:26,890
Hamein un ka bharosa karna hoga, Bellamy.
164
00:10:28,210 --> 00:10:30,250
Ab koi kisi ki jagha nahi rahi.
165
00:10:41,453 --> 00:10:42,399
Hey.
166
00:10:44,825 --> 00:10:46,760
Hamein Jaha kay baray mein
baat karni hogi.
167
00:10:49,370 --> 00:10:51,292
Main usay saari zindagi
qaid nahi rakh sakta.
168
00:10:51,383 --> 00:10:53,460
Shayad mujhe usay bijli
ka jhatka daina chahiye.
169
00:10:55,740 --> 00:10:57,500
Main tou kehnay wala tha kay chor dou usay.
170
00:11:04,980 --> 00:11:06,410
Clarke himmat wali larki hai.
171
00:11:08,610 --> 00:11:10,120
Woh bardaasht kar laygi.
172
00:11:16,680 --> 00:11:17,850
Natrona.
173
00:11:36,061 --> 00:11:37,420
"Natrona"?
174
00:11:40,420 --> 00:11:41,600
Ghaddar.
175
00:11:42,120 --> 00:11:43,890
Mere log dartay hain mujh say.
176
00:11:45,970 --> 00:11:48,050
Unhein lagta hai kay Reaper
abhi bhi mere andar hai.
177
00:11:50,310 --> 00:11:51,790
Tum mujhe bata saktay ho
178
00:11:53,540 --> 00:11:54,880
kay kya huwa tha.
179
00:11:55,560 --> 00:11:56,640
Nahi aisa nahi kar sakta main.
180
00:11:59,820 --> 00:12:01,360
Tum itnay buray insaan bhi nahi ho.
181
00:12:04,650 --> 00:12:05,890
Umeed hai kay tum sahi bol rahi ho.
182
00:12:44,928 --> 00:12:46,382
Darwazaa kholo.
183
00:12:59,360 --> 00:13:00,540
Hathiyaar dou.
184
00:13:02,080 --> 00:13:03,890
Hamein daakhil honay say pehlay
hathiyaar saray bahir rakhnay hongay.
185
00:13:40,242 --> 00:13:41,881
Commander, sab theek hai.
186
00:13:56,857 --> 00:13:59,306
Commander! Commander!
Khush amdeed!
187
00:14:01,195 --> 00:14:03,280
Aap inhein kyun yahaan layi ho?
188
00:14:05,429 --> 00:14:07,429
Sky kay logon ki maut ho jaye!
189
00:14:07,595 --> 00:14:09,595
Qaatilon apnay ghar wapis jao.
190
00:14:10,571 --> 00:14:12,810
Sky kay logon nay mujh
say sab kuch cheen liya.
191
00:14:14,021 --> 00:14:15,021
Meri biwi.
192
00:14:15,502 --> 00:14:16,502
Mera baccha.
193
00:14:16,859 --> 00:14:17,867
Raastay say hat jao.
194
00:14:18,711 --> 00:14:20,423
Qaatilon ka yahaan koi kaam nahi hai.
195
00:14:33,450 --> 00:14:35,680
Commander, roko usay.
196
00:14:35,770 --> 00:14:38,430
Barah e karam, werna woh is kaam
ka bhi ilzaam hum par lagayengay.
197
00:14:40,517 --> 00:14:41,584
Isay jeenay dou!
198
00:14:49,570 --> 00:14:52,180
Sky kay log ab hamaray
sath ahtejaaj karaingay.
199
00:14:53,630 --> 00:14:56,130
Jis kisi nay bhi roknay ki kooshish kari
200
00:14:57,120 --> 00:14:59,110
usay marna parega.
201
00:15:06,680 --> 00:15:07,840
Khush amdeed.
202
00:15:29,684 --> 00:15:30,620
Yahaan par.
203
00:15:30,711 --> 00:15:32,630
Mawaaslati lines is
deewar kay peechay hain.
204
00:15:49,240 --> 00:15:50,620
Kaafi hai tumharay liye?
205
00:15:52,068 --> 00:15:53,230
Ruko, woh tumhein sun saktay hain.
206
00:15:53,320 --> 00:15:55,020
Mujhe pata tha kay yehi mansooba hai.
207
00:15:55,110 --> 00:15:56,480
Isay apni khoon ki supply
ruk janay ka dar hai.
208
00:15:56,570 --> 00:15:58,250
Daikho Miller yeh zaroori nahi
kay tum mujhe pasand karo,
209
00:15:58,340 --> 00:16:00,750
aur jo bhi mere log kar rahay hain tum us
sab kay liye mujhe ilzaam day saktay ho
210
00:16:00,840 --> 00:16:02,190
magar main sab kuch sahi karnay
ki koshish kar rahi hun.
211
00:16:02,280 --> 00:16:03,850
Phir hat jao mere raastay say.
212
00:16:04,730 --> 00:16:06,000
Paanch seconds hain hamaray pass.
213
00:16:06,087 --> 00:16:07,079
Kya honay wala hai
paanch seconds mein?
214
00:16:07,217 --> 00:16:08,991
Kya Miller ko andaza hojayega kay
kitna ajeeb banda hai woh?
215
00:16:15,320 --> 00:16:16,680
Aik dost ka mujh pay ahsaan tha.
216
00:16:17,598 --> 00:16:19,060
Dhamakay kay liye is ki timing set kar dou.
217
00:16:35,751 --> 00:16:36,791
Inaam hath lag gaya.
218
00:16:43,722 --> 00:16:45,188
Tondc kay logon...
219
00:16:45,952 --> 00:16:46,952
aag say...
220
00:16:48,389 --> 00:16:51,256
hum apnay maazi
kay dukh saaf kartay hain.
221
00:16:52,710 --> 00:16:54,320
"Tondc kay logon..."
222
00:16:54,430 --> 00:16:57,760
"aag say hum apnay maazi
kay dukh saaf kartay hain."
223
00:17:13,477 --> 00:17:14,610
Clarke...
224
00:17:58,801 --> 00:18:00,667
Tumhari jung ab khatab huwi.
225
00:18:34,875 --> 00:18:36,499
Main nay aisa intezaam
kar diya hai kay hamara
226
00:18:36,524 --> 00:18:37,906
SOS Arkwide channel par baar baar chalega.
227
00:18:37,973 --> 00:18:39,590
Agar main nay isay nashar
karna shuru kar diya
228
00:18:40,060 --> 00:18:41,510
tou koi na koi isay zaroor sunay ga.
229
00:18:45,230 --> 00:18:46,750
Awaaz sun kay lag tou nahi raha
kay sab kuch theek chal raha hai.
230
00:18:47,620 --> 00:18:48,700
Main yeh pehlay bhi sun chuka hun
231
00:18:49,434 --> 00:18:51,574
Exodus jahaaz kay black
box par uskay...
232
00:18:52,535 --> 00:18:54,050
doobnay say foran pehlay.
233
00:18:55,821 --> 00:18:57,500
Unhonay Exodus jahaaz ko barbaad kar diya.
234
00:18:57,591 --> 00:18:59,010
Signals dabaye ja rahe hain.
235
00:19:01,330 --> 00:19:02,750
Ab kya daba rahe hain woh?
236
00:19:02,840 --> 00:19:05,650
Sab kuch, takay log aik dosray
say baat na kar sakain.
237
00:19:05,740 --> 00:19:07,230
Kya hum mukammal taur
pay phans chuke hain?
238
00:19:07,653 --> 00:19:09,020
Mukammal taur pay tou nahi.
239
00:19:14,519 --> 00:19:16,980
Main nay bhi aik khaas banday ko khoya hai.
240
00:19:20,191 --> 00:19:21,890
Us ka naam Costia tha.
241
00:19:24,100 --> 00:19:26,036
Usay Ice Nation nay pakar liya tha,
242
00:19:26,147 --> 00:19:28,814
Jis ki malka ko yaqeen tha kay usay
mere raaz pata hai.
243
00:19:29,650 --> 00:19:31,150
Kyun kay woh meri thi.
244
00:19:33,173 --> 00:19:36,742
Unhonay us par tashaddud kiya maraa
245
00:19:37,400 --> 00:19:38,740
aur phir sir tun say juda kiya.
246
00:19:39,821 --> 00:19:40,871
Sun kar bohat dukh huwa.
247
00:19:41,620 --> 00:19:43,830
Mujhe laga kay main kabhi is
dukh say bahir nahi aa paungi
248
00:19:43,921 --> 00:19:45,360
magar main bahar aagayi.
249
00:19:47,014 --> 00:19:48,064
Kaisay?
250
00:19:48,155 --> 00:19:50,840
Main nay pehchaan liya tha kay yeh meri...
251
00:19:53,655 --> 00:19:54,885
kamzoori hai.
252
00:19:55,421 --> 00:19:56,567
Kya cheez?
253
00:19:57,827 --> 00:19:58,886
Pyaar?
254
00:20:00,838 --> 00:20:02,570
Tou kya tum nay sab ki fikr karna...
255
00:20:03,767 --> 00:20:05,000
chor di?
256
00:20:10,700 --> 00:20:12,270
Main tou aisa kabhi nahi kar sakti.
257
00:20:12,361 --> 00:20:15,040
Tou phri jin logon say tum pyaar karti
ho tum unhein khatray mein daal rahi ho
258
00:20:16,108 --> 00:20:18,190
aur dard bhi kabhi nahi janay wala.
259
00:20:21,520 --> 00:20:23,990
Jo mar chukay hain woh ja
chukay hain Clarke.
260
00:20:26,286 --> 00:20:28,246
Air jo zinda hain woh bhookay hain.
261
00:21:03,796 --> 00:21:07,260
Barah e karam is tohfay ko
qabool kar lain, Commander.
262
00:21:07,351 --> 00:21:10,076
Hum isay khaas mauqaon par peetay hain.
263
00:21:10,167 --> 00:21:11,800
Mujhe yaqeen hai is say kaam ban jayega.
264
00:21:24,038 --> 00:21:27,197
Shukriya, sky kay logoun kay Marcus.
265
00:21:27,288 --> 00:21:29,150
Koi baat nahi, Lexa.
266
00:21:30,577 --> 00:21:32,027
Kom trikru.
267
00:21:32,866 --> 00:21:35,160
Bus isay zyada nahi peena.
268
00:21:36,980 --> 00:21:39,770
Clarke, chalo saath peetay hain.
269
00:21:40,772 --> 00:21:42,390
Mujhe acha lage ga yeh.
270
00:21:58,321 --> 00:22:00,160
Mujhe ijazat dain is kaam ki.
271
00:22:16,807 --> 00:22:19,320
Aaj hum is aman ki wajha
say khushi manayengay.
272
00:22:19,750 --> 00:22:22,040
Aur kal hum apni jung kay baray
mein mansooba bandi karaingay.
273
00:22:22,796 --> 00:22:24,040
Un kay naam jinhein hum kho chukay hain
274
00:22:25,786 --> 00:22:27,850
aur un kay naam bhi jinhein
hum jald hi dhoond laingay.
275
00:22:39,350 --> 00:22:40,350
Yeh zeher hain.
276
00:22:42,580 --> 00:22:44,050
Woh sky kay log thay.
277
00:22:46,583 --> 00:22:47,852
Hum nay kuch nahi kiya
yeh pata hona chahiye
278
00:22:47,916 --> 00:22:49,162
tumhein kay yeh kaam
hum nay nahi kiya.
279
00:22:49,244 --> 00:22:50,416
Isay marnay mat daina.
280
00:22:50,965 --> 00:22:51,932
Saray log bahir jao!
281
00:22:52,297 --> 00:22:53,312
In logon ki talaashi lo.
282
00:22:57,770 --> 00:23:00,070
Hum nay nahi kiya yeh kaam.
283
00:23:00,160 --> 00:23:01,350
Gustus nay mujhe tumharay
baray mein khabardaar bhi
284
00:23:01,375 --> 00:23:02,496
kiya tha magar main nay
nahi suni us ki baat.
285
00:23:02,563 --> 00:23:03,610
Lexa, barah e karam...
286
00:23:03,700 --> 00:23:04,920
Mujhe aik baat batao, Clarke.
287
00:23:05,010 --> 00:23:07,870
Jab tum nay us larkay kay dil mein khanjar
ghusaya tha jisay tum pyaar karti thi
288
00:23:08,498 --> 00:23:10,240
kya tum nay yeh khuwahish nahi
kay us ki jagha main hoti?
289
00:23:17,427 --> 00:23:18,427
Commander.
290
00:23:20,140 --> 00:23:21,237
Yeh mera nahi hai.
291
00:23:21,464 --> 00:23:22,848
Yeh is kay coat mein tha.
292
00:23:23,111 --> 00:23:24,551
Main tumhein bata rahi
hun yeh mera nahi hai.
293
00:23:24,681 --> 00:23:26,231
Is nay talaashi laitay huway
yeh rakh diya hoga.
294
00:23:32,580 --> 00:23:35,220
Koi bhi sky ka banda yeh kamra
chor kay nahi jayega.
295
00:23:40,609 --> 00:23:41,660
Kuch karo.
296
00:23:42,358 --> 00:23:43,270
Indra...
297
00:23:43,699 --> 00:23:44,699
Indra, ruko.
298
00:23:46,455 --> 00:23:48,447
Mujhe in logon ki taraf
say baat karnay dou.
299
00:23:49,416 --> 00:23:50,861
Tum bhi in hi logon ki tarha ho.
300
00:24:03,849 --> 00:24:04,774
Abay yaar.
301
00:24:04,865 --> 00:24:06,220
Tou ab hum mukammal taur
pay phans chukay hain?
302
00:24:06,827 --> 00:24:09,437
Hamara paigham nashar tou ho raha hai magar
woh aik dabi huwi frequency par hai.
303
00:24:09,528 --> 00:24:10,590
Tou usay theek karo na phir.
304
00:24:10,680 --> 00:24:12,117
Tou main idher aur kar kya raha hun?
305
00:24:12,208 --> 00:24:14,536
Isay source say hi band kiya ja sakta hai.
306
00:24:14,627 --> 00:24:16,230
Mujhe sirf paanch minute chahiye
command center mein.
307
00:24:16,320 --> 00:24:17,940
Nahi, tum nay suni hai na
Maya ki baat yeh bohat khatarnaaq kaam hai.
308
00:24:18,030 --> 00:24:19,009
Muhafiz araha hai.
309
00:24:19,100 --> 00:24:20,540
Hamein chalna chahiye ab,
suraakh ko chupa dou.
310
00:24:20,631 --> 00:24:22,986
-Sahi.
-Nahi chor do aisay hi isay.
311
00:24:42,260 --> 00:24:44,330
Woh bohat qareeb agaya hai kya karain ab?
312
00:24:46,366 --> 00:24:47,624
-Aik mansooba hai mere pass.
-Kya?
313
00:24:47,715 --> 00:24:48,619
Yeh.
314
00:24:53,053 --> 00:24:54,553
Bahar niklo.
315
00:24:56,291 --> 00:24:58,180
Dobara mujhe mat dikhna yahaan.
316
00:24:59,938 --> 00:25:00,960
Maaf kar dijiye ga.
317
00:25:07,067 --> 00:25:08,100
Raven...
318
00:25:08,792 --> 00:25:10,180
mujhe such janna hai.
319
00:25:10,270 --> 00:25:11,690
Main peechay hat jati agar
main tumhari jagha hoti tou.
320
00:25:12,314 --> 00:25:14,630
Tum chahti thi kay
main Lexa ko kal maarun.
321
00:25:14,721 --> 00:25:17,300
Agar tum nay usay zeher dainay ki koshish
ki thi tou mujhe janni hai yeh baat.
322
00:25:20,394 --> 00:25:22,280
Yahaan sirf tum hi qaatil ho.
323
00:25:30,350 --> 00:25:31,620
Mujhe akaila chor do.
324
00:25:34,614 --> 00:25:36,154
Tum nay mere liye kuch nahi chora.
325
00:25:36,245 --> 00:25:37,775
Tum nay kyun khud ko un logon kay
hawalay kiya?
326
00:25:42,465 --> 00:25:43,700
Jaan tum theek tou ho?
327
00:26:08,575 --> 00:26:10,074
Meri baat suno, Clarke.
328
00:26:10,165 --> 00:26:11,780
Mujhe pata hai kay tumhein
kaisa mehsoos hota hai
329
00:26:12,602 --> 00:26:14,610
aisay jaisay kay dard kabhi jayega hi nahi
330
00:26:15,030 --> 00:26:16,250
magar Lexa ghalat hai.
331
00:26:16,537 --> 00:26:18,690
Tumhein yeh baat saari
zindagi nahi tang karay gi.
332
00:26:19,204 --> 00:26:20,524
Dard kum ho jayega.
333
00:26:22,310 --> 00:26:24,300
Mujhe tumharay pyaar nay
ab tak zinda rakkha hai.
334
00:26:32,280 --> 00:26:33,240
Yeh kya hai?
335
00:26:35,333 --> 00:26:36,990
Tum abbu ki baat kar rahi ho?
336
00:26:38,803 --> 00:26:40,624
Jo main nay Finn kay sath
kiya us ka koi mawaznaa
337
00:26:40,649 --> 00:26:42,287
nahi us kaam say jo tum
nay us kay sath kiya.
338
00:26:42,354 --> 00:26:43,414
Abhi nahi karo yeh, Clarke.
339
00:26:43,505 --> 00:26:45,050
Main sab ki hifazat kar rahi thi.
340
00:26:45,141 --> 00:26:46,739
Mere pass koi aur raasta nahi tha.
341
00:26:46,830 --> 00:26:47,940
-Magar tumharay pass tha.
-Nahi.
342
00:26:48,030 --> 00:26:49,170
Tum nay usay pakar wa diya.
343
00:26:49,260 --> 00:26:51,970
Nahi main nay Thelonious pay bharosa kiya
tha takay woh tumharay abbu say baat karay.
344
00:26:52,061 --> 00:26:53,668
Aur unhein manaye takay woh
awaam ko kuch na batain.
345
00:26:53,759 --> 00:26:55,279
Tumhein pata tha kay abbu
kabhi nahi rukaingay.
346
00:26:55,610 --> 00:26:57,090
Tumhein pata tha kay
uskay sath kya hoga.
347
00:26:57,180 --> 00:26:59,110
Main baaqi sab ki bhi hifazat kar rahi thi.
348
00:27:00,070 --> 00:27:01,580
Main tumhein bacha rahi thi.
349
00:27:07,410 --> 00:27:08,390
Clarke, barah e karam.
350
00:27:17,200 --> 00:27:18,380
Hum sab aik jaisay hain.
351
00:27:30,999 --> 00:27:31,970
Kya unhein radio mila?
352
00:27:32,060 --> 00:27:34,610
-Nahi. Monty kahaan hai?
-Mujhe laga tumharay sath hai woh.
353
00:27:36,313 --> 00:27:37,840
Main nay nahi daikha usay.
354
00:27:52,523 --> 00:27:53,480
Dobara phir say?
355
00:27:53,570 --> 00:27:54,720
Kal hi tou huwa tha yeh kaam.
356
00:27:54,810 --> 00:27:56,245
Hasb e mamool daikhnay aya hun.
357
00:27:56,886 --> 00:27:58,010
Zyada waqt nahi lagay ga.
358
00:28:20,490 --> 00:28:21,580
Hamein yahaan say nikalna hoga.
359
00:28:26,130 --> 00:28:27,819
Aik dosray ko bura bhala
bol kar aur ilazaam
360
00:28:27,844 --> 00:28:29,644
taraashiyaan karnay say hum
kuch nahi kar payengay.
361
00:28:38,063 --> 00:28:41,000
Lexa ko bhi is ittehaad ki utni
hi zaroorat hai jitni hamein hai.
362
00:28:41,090 --> 00:28:42,960
Us nay yeh bhi dikha diya hai
kay woh narm par sakti hai.
363
00:28:43,058 --> 00:28:44,208
Woh tumhari baat bhi sunti hai.
364
00:28:46,498 --> 00:28:48,200
Usay lagta hai kay hum nay usay
maarnay ki kooshish ki thi.
365
00:28:48,290 --> 00:28:49,490
Magar hamein pata hai
kay yeh sach nahi hai.
366
00:28:49,940 --> 00:28:51,609
Tou phir chalo pata lagatay hain kay
kis nay kiya yeh kaam.
367
00:28:51,700 --> 00:28:52,890
Kaun usay mara huwa daikhna chahega?
368
00:28:54,426 --> 00:28:55,630
Kaafi saray log. Gin bhi nahi saktay hum.
369
00:28:56,390 --> 00:28:58,200
Tumharay sath ittehaad bana
na aik bara khatra tha
370
00:28:58,755 --> 00:29:01,020
khaas taur pay jo Finn nay is gaon
kay sath kiya hai us kay baad.
371
00:29:01,111 --> 00:29:03,280
Tou phir yeh koi wohi banda ho sakta
hai jo is ittehaad ko torna chahe.
372
00:29:15,327 --> 00:29:16,340
Gustus kaisa hai?
373
00:29:16,431 --> 00:29:17,429
Bach jayega.
374
00:29:17,530 --> 00:29:18,796
Isay lay kar chalo.
375
00:29:19,113 --> 00:29:20,357
Ruko kya kar rahay ho tum?
376
00:29:20,420 --> 00:29:21,437
Is nay kisi ko zeher nahi diya.
377
00:29:21,528 --> 00:29:23,690
Main nay tum sab ko
maarnay par zor diya tha
378
00:29:23,715 --> 00:29:25,684
magar commander nahi
reham dili dikhayi.
379
00:29:26,268 --> 00:29:27,810
Usay sirf tum mein say aik chahiye.
380
00:29:27,900 --> 00:29:30,330
-Yeh bay gunah hai.
-Mujhe parwah nahi is baat ki.
381
00:29:30,943 --> 00:29:32,660
Agar yeh hilay tou phir in ka khoon
bhi niklay ga.
382
00:29:33,260 --> 00:29:35,670
Hey ruko, janay do isay.
383
00:29:38,540 --> 00:29:39,960
Baqi tum sab azaad ho.
384
00:29:40,560 --> 00:29:42,590
Jab yeh mar jayegi tou is
ittehaad ko bhi khatam samajhna.
385
00:29:46,270 --> 00:29:47,580
Tumhein bhaagna chahiye.
386
00:29:55,970 --> 00:29:58,090
Mujhe is mein koi khushi nahi milti, Raven.
387
00:30:00,090 --> 00:30:02,990
Magar is dafa insaaf ho kay rahega.
388
00:30:03,590 --> 00:30:07,000
Main nay kiya hi nahi yeh kaam tou
kyun mujhe insaaf nahi mil raha?
389
00:30:08,220 --> 00:30:10,888
-Hamein kuch karna parega.
-Ruko, hum kuch nahi kar saktay..
390
00:30:10,979 --> 00:30:12,290
Lincoln, in say baat karo.
391
00:30:22,580 --> 00:30:24,870
Lincoln, in say baat karo
yeh tumharay log hain.
392
00:30:25,610 --> 00:30:26,760
Ab aisa nahi hai.
393
00:30:27,805 --> 00:30:29,579
Tum yahaan ab mehfooz nahi ho mere dost.
394
00:30:29,670 --> 00:30:31,431
Main puri koshish karunga
kay tum bach kay nikal jao.
395
00:30:31,890 --> 00:30:32,970
Phir tou tum akailay hi ho.
396
00:30:34,960 --> 00:30:37,380
Clarke, hamein ab chalna hoga.
397
00:30:38,340 --> 00:30:39,850
Main sab ko nahi bacha sakti.
398
00:30:48,260 --> 00:30:49,776
Kuch bolo.
399
00:30:56,675 --> 00:30:58,001
Clarke, chalo.
400
00:31:03,114 --> 00:31:04,490
Zeher shishi mein nahi tha.
401
00:31:09,502 --> 00:31:10,880
Clarke, ruko kya kar rahi ho tum?
402
00:31:10,970 --> 00:31:12,170
Tum maari jaogi.
403
00:31:12,261 --> 00:31:13,870
Mujhe us shishi ki zaroorat hai abhi.
404
00:31:16,401 --> 00:31:17,383
Ruko.
405
00:31:20,352 --> 00:31:21,500
Isay anay dou yahaan!
406
00:31:24,430 --> 00:31:26,045
Tumharay hi kisi aadmi nay
tumhein maarnay ki koshish ki thi, Lexa,
407
00:31:26,070 --> 00:31:27,714
mere kisi banday nay yeh kaam nahi kiya.
408
00:31:28,148 --> 00:31:29,632
Tumhein bhaag kar chale jana chahiye tha.
409
00:31:30,173 --> 00:31:31,340
Main saabit kar sakti hun.
410
00:31:47,151 --> 00:31:48,481
Batao.
411
00:31:48,572 --> 00:31:49,990
Zeher is shishi mein nahi tha.
412
00:31:50,399 --> 00:31:51,605
Balkay cup mein tha.
413
00:31:52,942 --> 00:31:54,935
Yeh koi chaal ho sakti hai, commander.
414
00:31:57,264 --> 00:31:58,998
Is ki baaton mein mat ana.
415
00:32:02,108 --> 00:32:03,200
Yeh kaam tum nay kiya tha.
416
00:32:06,910 --> 00:32:09,180
Is nay cup bhi daikha tha.
Aur Raven ki talaashi bhi li thi.
417
00:32:09,271 --> 00:32:11,330
Gustus mujhe kabhi takleef
nahi pohanchaye ga.
418
00:32:11,420 --> 00:32:12,740
Tum hadaf nahi thi.
419
00:32:14,200 --> 00:32:15,230
Ittehaad ko nishana bana na tha.
420
00:32:15,890 --> 00:32:17,624
Hum nay nahi kiya yeh kaam
aur tumhein bhi pata hai yeh baat.
421
00:32:21,444 --> 00:32:23,111
Tum ja saktay ho, Gustus!
422
00:32:23,766 --> 00:32:24,766
Such batao.
423
00:32:30,370 --> 00:32:32,790
Yeh ittehaad tumhari jaan bhi lay
sakta hai, Heda.
424
00:32:35,770 --> 00:32:37,430
Main aisa nahi honay dunga.
425
00:32:40,686 --> 00:32:43,440
Yeh baywafai tumhari jaan lay lay gi.
426
00:32:44,977 --> 00:32:46,515
Isay darakht say lay ja kar baandh dou.
427
00:33:12,458 --> 00:33:13,545
Kya yaar!
428
00:33:14,973 --> 00:33:16,005
Chalo!
429
00:33:21,620 --> 00:33:24,460
Alpha station, tum sun rahay ho na
hamari awaaz.
430
00:33:27,290 --> 00:33:29,233
Okay.
431
00:33:30,130 --> 00:33:32,440
Dabay huwaya signal ko band
kar diya gaya hai.
432
00:33:34,619 --> 00:33:36,570
Hamaray pass zyada waqt nahi bacha hai.
433
00:33:36,661 --> 00:33:39,650
Jaldi karo main Jasper Jordan hun.
434
00:33:39,741 --> 00:33:42,190
Hamein madad ki zaroorat hai.
Hum 47 log phansay huway hain.
435
00:33:42,280 --> 00:33:43,190
Haan!
436
00:33:44,160 --> 00:33:45,550
Haan! Haan!
437
00:33:45,641 --> 00:33:47,520
Hamein nahi pata kay hamaray
pass kitna waqt hai.
438
00:33:47,611 --> 00:33:48,490
Jaldi karo.
439
00:33:50,058 --> 00:33:52,208
Main Jasper Jordan baat kar raha hun.
Hamein madad chahiye.
440
00:33:52,299 --> 00:33:54,410
Kya tumhein yaqeen hai kay woh
aik sath gaye thay gaaon mein?
441
00:33:54,500 --> 00:33:55,869
Haan bilkul.
442
00:33:55,960 --> 00:33:58,650
Sir, main nay kaha tha aap ko
kay mujhe aur bhi log chahiye maidaan mein.
443
00:34:00,649 --> 00:34:01,839
Sergeant...
444
00:34:02,974 --> 00:34:04,440
Tum apni post par kyun nahi ho?
445
00:34:04,920 --> 00:34:07,360
Sir andar hasbe mamool kaam ho raha hai.
446
00:34:12,433 --> 00:34:13,670
Theek hai. Hazraat.
447
00:34:28,399 --> 00:34:29,420
Ruko.
448
00:34:32,018 --> 00:34:33,220
Tum indraaj karna bhool gaye.
449
00:34:36,139 --> 00:34:37,139
Oops!
450
00:34:38,043 --> 00:34:39,240
Roz ka kaam hai na tou bhool jata hun.
451
00:34:58,738 --> 00:35:01,718
Mujhe bachanay ka shukriya,
khayaal rakhna apna.
452
00:35:08,520 --> 00:35:09,930
Tum nay kaha tha kay sab theek hai.
453
00:35:12,837 --> 00:35:14,630
Tumharay indraaj say tou nahi lag raha.
454
00:35:15,327 --> 00:35:18,390
Tumhein yaqeen hai? Kitni ajeeb baat hai.
455
00:35:18,481 --> 00:35:21,361
Agar tumhein bura na lagay tou
mein isay kal theek kar dunga.
456
00:35:21,810 --> 00:35:23,030
Mujhe aik dosra kamra bhi daikhna hai.
457
00:35:52,870 --> 00:35:54,160
Yeh Finn bhi ho sakta tha.
458
00:36:25,186 --> 00:36:26,186
Mazboot bano.
459
00:36:48,688 --> 00:36:50,621
Tumhari larai ab khatam huwi.
460
00:37:07,604 --> 00:37:09,080
Hum bhi itnay mukhtalif nahi hain.
461
00:37:10,683 --> 00:37:11,700
Hai na?
462
00:37:28,340 --> 00:37:29,840
Tumhein kaisay pata chala
kay woh Gustus ka kaam tha?
463
00:37:31,460 --> 00:37:34,310
Woh uski hifazat karnay kay
liye kuch bhi kar sakta tha.
464
00:37:36,166 --> 00:37:37,380
Abhi samajh ayi yeh baat.
465
00:37:37,785 --> 00:37:39,310
Uskay balday usay mila
kya yeh bhi tou daikho.
466
00:37:42,083 --> 00:37:43,120
Doston...
467
00:37:44,689 --> 00:37:45,840
Yeh kya hai?
468
00:37:45,931 --> 00:37:47,110
Isay suno.
469
00:37:47,200 --> 00:37:49,480
Mount Weather mein hum 47
log phansay huway hain.
470
00:37:50,680 --> 00:37:52,230
Us say baat karo aur kuch bolo.
471
00:37:53,613 --> 00:37:54,850
Yeh dohra raha hai.
472
00:37:55,487 --> 00:37:56,530
Woh log zinda hain.
473
00:37:58,242 --> 00:37:59,540
Hamein yeh abhi karna hoga.
474
00:37:59,631 --> 00:38:01,820
Tumhara tou ittehaad bhi hogaya hai ab.
Yehi sahi waqt hai usay istemaal karnay ka.
475
00:38:03,680 --> 00:38:05,180
Sab say pehlay tou hamein aik andar ka
aadmi chahiye.
476
00:38:06,829 --> 00:38:08,085
Tum sahi keh rahay thay.
477
00:38:08,176 --> 00:38:09,279
Kisi aisay andar ka banday kay baghair jo
478
00:38:09,370 --> 00:38:10,780
un ka difaa kum karay aur kimiyaai dhund
479
00:38:10,805 --> 00:38:12,104
ko bund karay
480
00:38:12,171 --> 00:38:13,671
fauj baykaar hai.
481
00:38:14,467 --> 00:38:15,650
Tumhein janaa chahiye ab.
482
00:38:15,983 --> 00:38:17,510
Mujhe laga tumhein yeh
mansooba acha nahi laga
483
00:38:17,867 --> 00:38:19,570
aur main khud ko marwa lunga.
484
00:38:19,661 --> 00:38:20,998
Main kamzoor ban rahi thi.
485
00:38:22,356 --> 00:38:23,690
Yeh khatarnaaq sahi par karna zaroori tha.
486
00:38:26,747 --> 00:38:28,042
Mera Mount Weather ka naqsha.
487
00:38:28,746 --> 00:38:30,990
Koi raasta dhondo us radio tak
pohanchnay ka aur un say baat karnay ka.
488
00:38:36,431 --> 00:38:37,437
Qismat tumhara sath day.
489
00:38:40,330 --> 00:38:41,390
Bell, tum kaisay...
490
00:38:41,480 --> 00:38:43,056
Main tumhein tunnels paar karwa dunga.
491
00:38:43,545 --> 00:38:45,315
Yeh waapis andar nahi ja sakta,
filhaal tou nahi.
492
00:38:45,877 --> 00:38:47,390
Main tumhein dikhaati hun
kay kya daikhna hai.
493
00:38:48,713 --> 00:38:49,951
Daikho mujhe...
494
00:38:50,779 --> 00:38:52,360
Jo main nay kiya hai us ka nateeja
mujhe bhugatna hoga.
495
00:38:52,959 --> 00:38:55,350
Tou phir sath mil kay bhugattay hain.
496
00:38:55,440 --> 00:38:58,010
Nahi tumhari zaroorat yahaan hai
tumhein hamara tareeqa kaar pata hai.
497
00:38:58,101 --> 00:38:59,740
Is kay baghair ittehaad kamiyaab
nahi ho payega.
498
00:39:02,646 --> 00:39:04,225
Main aisa nahi honay dungi.
499
00:39:05,559 --> 00:39:06,916
Haan mujhe pata hai.
500
00:39:33,540 --> 00:39:35,950
Pyaar aik kamzoori hai.
501
00:39:52,903 --> 00:39:53,940
Clarke.
502
00:40:00,540 --> 00:40:01,857
Yeh tumharay liye hai.
503
00:40:05,234 --> 00:40:07,210
Yeh us aag ki khaak hai.
504
00:40:08,043 --> 00:40:10,960
Mujhe laga kay tum isay kahi ura dogi
505
00:40:11,605 --> 00:40:13,280
jis say tumhein khuda hafiz
kehnay mein madad milay.
506
00:40:14,747 --> 00:40:16,350
Main pehlay hi khuda hafiz keh chuki hun.
507
00:41:08,310 --> 00:41:09,381
Harper.
508
00:41:09,842 --> 00:41:11,092
Hey, Harper.
509
00:41:13,296 --> 00:41:14,484
Inhonay kya kiya hai tumharay sath?
510
00:41:16,289 --> 00:41:17,389
Forty-seven.
511
00:41:19,445 --> 00:41:21,794
Unhonay hum sab kay liye aisa
aik aik banaya hai.