1 00:00:00,949 --> 00:00:02,730 Ab tak "The 100" mein... 2 00:00:05,712 --> 00:00:06,732 Nightblood. 3 00:00:06,823 --> 00:00:09,217 Luna kay paas hai. Aur humein is hi wajah se usay dhoondna hoga. 4 00:00:09,308 --> 00:00:11,100 Agar uski Alie 2 tak rasaai hai... 5 00:00:11,190 --> 00:00:12,972 Tou woh humein bata sakti hai ke Alie 1 ko kaisay rokna hai. 6 00:00:13,063 --> 00:00:14,657 -Hum tumharay sath nahi chal rahay. -Isko yaad aagaya hai 7 00:00:14,748 --> 00:00:17,247 ke Alie nay khud ko Ark kay markazi hissay mein download kiya tha. 8 00:00:17,530 --> 00:00:20,276 Agar us mein ab tak code maujood hai tou humein dousra raasta mil sakta hai. 9 00:00:20,456 --> 00:00:22,718 Skaikru, maut kay farishtay hotay hain. 10 00:00:22,863 --> 00:00:24,637 Hum tumhein aik mehfuz raasta kyun dain? 11 00:00:24,761 --> 00:00:26,943 Lincoln nay humein bheja hai. 12 00:00:28,578 --> 00:00:29,488 Luna. 13 00:00:29,579 --> 00:00:32,393 Yehi woh Flame hai jis mein tamaam commander ki arwaah hain. 14 00:00:32,544 --> 00:00:35,006 Kya tum isay qubool kar kay agli commander bano gi? 15 00:00:35,514 --> 00:00:36,550 Nahi. 16 00:00:41,040 --> 00:00:43,355 Roshniyoun kay Shehar ko aabaad karnay ka waqt aagaya hai. 17 00:00:44,404 --> 00:00:45,819 Ab mazeed jung larnay ki zarurat nahi hai. 18 00:00:45,910 --> 00:00:48,974 Hum dounon ye baat jaantay hain ke main kisi haal mein isay nahi niglunga. 19 00:00:51,130 --> 00:00:53,540 Tumhein jung mein hi mujhe maar dena chahiye tha. 20 00:00:53,630 --> 00:00:56,358 Ye bahadur hai. Agar yahan se baahar nikalna hai tou humein iski zarurat hogi. 21 00:00:56,449 --> 00:00:57,823 Meri baat suno! 22 00:00:57,914 --> 00:00:59,855 Jaha ki fauj kay tamaam sipaahiyoun nay chip nigal rakhi hai. 23 00:00:59,946 --> 00:01:01,341 Iska matlab woh us waqt tak nahi rukengay 24 00:01:01,432 --> 00:01:03,472 jab tak ya tou hum unka saath dein ya humein maut aajaye. 25 00:01:15,418 --> 00:01:17,694 Indra, mujhe aazaad karnay ki zarurat nahi hai. 26 00:01:17,785 --> 00:01:19,958 Un Skaikru kay logon ka mansooba acha hai. 27 00:01:20,049 --> 00:01:21,390 Bhaagna koyi mansooba bandi nahi hoti. 28 00:01:21,480 --> 00:01:23,360 Isay bhaagna nahi balkeh jaan bachaana kehtay hain. 29 00:01:23,451 --> 00:01:24,599 Kab tak bhaagtay raho gay? 30 00:01:24,690 --> 00:01:26,939 Hum is khatray ka kabhi na kabhi shikaar ban jayengay. 31 00:01:27,030 --> 00:01:28,181 Ye larka theek keh raha hai. 32 00:01:28,272 --> 00:01:30,154 Hum bahar jaa kar ikhatta hon gay takeh aur mazboot hon. 33 00:01:30,245 --> 00:01:33,228 -Ye jung ki munasib hikmat-e-amli hai. -Meray paas aik behtar mansooba hai. 34 00:01:33,373 --> 00:01:35,378 Unkay rehnuma Jaha ka qatal karnay ka. 35 00:01:37,084 --> 00:01:39,176 Main aisay mansoobay ki himayat karta hun. 36 00:01:39,267 --> 00:01:41,085 Lekin badqismati se woh unka rehnuma nahi hai. 37 00:01:41,176 --> 00:01:43,491 Baqiyon ki tarah usay bhi qaabu mein kiya huwa hai us cheez nay... 38 00:01:46,260 --> 00:01:47,255 Kis cheez nay? 39 00:01:48,225 --> 00:01:49,135 Kuch bhi nahi. 40 00:01:50,861 --> 00:01:52,363 Kher, choro, bhool jao. 41 00:01:53,010 --> 00:01:54,900 John, aisi soorat-e-haal mein... 42 00:02:08,275 --> 00:02:10,020 Key nigalnay keliye kaun amaada hai? 43 00:02:16,035 --> 00:02:18,300 Hum mein se koyi bhi Key nahi niglay ga. 44 00:02:31,507 --> 00:02:33,260 Iska ye haal hum nay nahi kiya hai. 45 00:02:34,757 --> 00:02:37,613 In mein se dhoondo kis ki zanjeer khooli huwi hai. 46 00:03:08,519 --> 00:03:09,540 Acha chalo ab baat suno. 47 00:03:09,565 --> 00:03:11,733 In chaabiyon ko uthao. Woh imdaadi fauj talab kar legi. 48 00:03:12,923 --> 00:03:14,763 Tum bol rahay thay ke Jaha ko qaabu mein kiya huwa hai. 49 00:03:14,940 --> 00:03:16,510 Mujhe batao tum kya jaantay ho. 50 00:03:16,601 --> 00:03:19,457 Hoshiyaari is mein hai ke humein surang kay zariye bhaag jaana chahiye 51 00:03:19,548 --> 00:03:21,321 is se pehlay ke Alie kay bhejay huwe tolay aajayein. 52 00:03:21,412 --> 00:03:23,310 Agar tumharay paas koyi kaam ki maalumaat hai... 53 00:03:23,400 --> 00:03:25,771 Humaray paas is sab keliye waqt nahi hai. Chalo batao mujhe. 54 00:03:29,839 --> 00:03:30,983 Jaha ka backpack eham hai. 55 00:03:31,700 --> 00:03:34,105 -Kya hai us mein? -Uskay zariye AI kaam karti hai. 56 00:03:34,196 --> 00:03:36,716 Aur agar hum usko tabah kar dein tou phir hum us AI ko bhi khatam kar paayengay. 57 00:03:38,739 --> 00:03:39,904 Mujhe pata hai woh kahan hai. 58 00:03:40,813 --> 00:03:44,063 Pakray jaanay se pehlay main nay dekha tha ke unho nay mandir mein usay rakha tha. 59 00:03:44,433 --> 00:03:45,996 Unko tawaqah hogi ke hum bhaagengay. 60 00:03:47,123 --> 00:03:48,467 Hum is baat se faida utha saktay hain. 61 00:03:49,011 --> 00:03:51,662 AI unkay peechay jaayegi jo bhaag rahay hongay 62 00:03:52,154 --> 00:03:53,708 aur us doraan hum backback tabah karnay jaayengay. 63 00:03:53,799 --> 00:03:54,750 Hum jaayengay? 64 00:03:55,996 --> 00:03:57,565 Main ye kaam akaila nahi kar sakta hun. 65 00:03:57,847 --> 00:04:00,432 Kya tum apnay logon ko bachaana chahti ho ya nahi? 66 00:04:02,583 --> 00:04:03,845 Jao. Abhi. 67 00:04:04,617 --> 00:04:06,046 Inhein raasta dikhao. 68 00:04:06,268 --> 00:04:07,470 Chalo, bhaago. 69 00:04:09,955 --> 00:04:11,365 Tumhein kis baat ka intezaar hai? 70 00:04:15,034 --> 00:04:16,902 Un kay peechay buray log lag jayengay na? 71 00:04:18,139 --> 00:04:20,384 Main apni qismat tum dounon kay sath aazmaana chahta hun. 72 00:04:22,224 --> 00:04:24,022 Tumharay waalid ko tum par bohat fakhar hoga. 73 00:04:25,342 --> 00:04:26,730 Tou kya laahe amal hai? 74 00:04:29,254 --> 00:04:30,449 Bohat dehaan se rehna hai. 75 00:04:41,865 --> 00:04:42,820 Mujhe maaf karna. 76 00:04:42,986 --> 00:04:44,673 Mujhe unkay mansoobay ka andaaza nahi huwa tha. 77 00:04:44,763 --> 00:04:45,880 Koyi baat nahi. 78 00:04:45,990 --> 00:04:47,550 Tum nay achi tarah khidmat ki hai. 79 00:04:47,965 --> 00:04:49,154 Ab tum ghar par aagaye ho. 80 00:04:49,628 --> 00:04:51,770 Aur uskay elaawa ab hum sabko yahan muntaqil kar rahay hain. 81 00:04:51,916 --> 00:04:54,648 Abhi hee shuru kay qaidi yahan muntaqil horahay hain. 82 00:05:01,363 --> 00:05:02,930 Is amal mein itna ziada waqt tou nahi laga na? 83 00:05:03,290 --> 00:05:04,917 Mujhe ab samajh aagaya hai. 84 00:05:06,431 --> 00:05:08,256 Woh backpack tabah karnay jaa rahay hain. 85 00:05:09,573 --> 00:05:11,195 Phir hum is hijrat mein taakheer kar letay hain. 86 00:05:12,611 --> 00:05:13,851 Uski koyi zarurat nahi hai. 87 00:05:15,019 --> 00:05:16,632 Taqreeban mukamal hi hogaya hai. 88 00:05:17,650 --> 00:05:19,170 Hum Emori ka sahaara phir le lengay. 89 00:05:23,470 --> 00:05:26,777 Emori, tum yahaan apnay nuqs theek kar sakti ho. 90 00:05:28,237 --> 00:05:30,757 Agar koyi nuqs hotay tou hi theek kar paati na. 91 00:05:31,470 --> 00:05:32,885 Main tumharay kis kaam aasakti hun, Alie? 92 00:05:32,983 --> 00:05:35,905 Tumhara dost John Murphy waapis se mandir ki taraf barh raha hai 93 00:05:35,996 --> 00:05:37,326 nuqsaan pohanchaanay ki niyat se. 94 00:05:37,417 --> 00:05:39,645 Main chaahti hun tum usay roknay mein meri madad karo. 95 00:06:18,715 --> 00:06:21,785 Meri jis jagah bhi nazar pari thi wahan machhli ki khaal thi. 96 00:06:21,810 --> 00:06:24,200 Aur daant paray huwe thay. Aur khoon tha. 97 00:06:24,602 --> 00:06:28,026 Mujhe pata tha ke agar unki nazar mujh pe par gai tou agli baari meri hogi. 98 00:06:28,552 --> 00:06:32,149 Is liye main wahan sataah par tairti rahi intezaar kartay huwe 99 00:06:32,598 --> 00:06:34,598 aur dua maangtay huwe ke woh wahan se chalay jaayein. 100 00:06:34,857 --> 00:06:37,061 -Lekin woh wahan se nahi gaye. -Woh aagai hai. 101 00:06:37,341 --> 00:06:38,988 Shayad us nay apna iraada badal liya hai. 102 00:06:40,110 --> 00:06:42,650 Akhir kaar main nay zindagi ya maut ka faisla kiya. 103 00:06:42,741 --> 00:06:44,304 Aaj raat kashtiyaan aajayengi. 104 00:06:44,545 --> 00:06:47,719 -Phir tum log humesha keliye chalay jaana. -Luna, humein baat samjhaanay do. 105 00:06:47,810 --> 00:06:50,135 -Main mana kar chuki hun. -Nahi, tumhein ye jaanna hoga. 106 00:06:53,986 --> 00:06:57,397 Wahan koyi aisi cheez maujood hai jis se hum sab barbaad hojayengay. 107 00:06:58,317 --> 00:07:00,776 Woh jo kuch bhi hai, yahan tak nahi pohanch saktay. 108 00:07:03,506 --> 00:07:06,476 Woh apnay daanton ko peesta mujhe dekh raha tha. 109 00:07:09,766 --> 00:07:10,886 Mujhe tum se baat karni hai. 110 00:07:13,253 --> 00:07:15,151 Ye ishaara meray liye hai. 111 00:07:18,008 --> 00:07:22,086 Gehraai mein se koyi bari si cheez ubhartay huwe nikli thi. 112 00:07:22,301 --> 00:07:24,307 Aik bara sa haiwaan... 113 00:07:24,398 --> 00:07:26,008 Tumhein shayad iski waapis zarurat hogi. 114 00:07:28,730 --> 00:07:29,730 Shukriya. 115 00:07:31,180 --> 00:07:32,290 Aur meri talwaar kahan hai? 116 00:07:32,575 --> 00:07:34,576 Tumharay hathiyaar kashti par maujood hongay. 117 00:07:37,557 --> 00:07:39,648 Azeem Luna kay baaray mein itna kuch samjha aata hai 118 00:07:39,673 --> 00:07:41,395 ke woh zarurat mandon ko bachaati hai. 119 00:07:42,191 --> 00:07:43,561 Tum bachaao nahi chahti ho. 120 00:07:44,086 --> 00:07:45,846 Tum chahti ho ke koyi jung mein tumhara sath day. 121 00:07:46,252 --> 00:07:48,060 Bilkul sahi kaha. Hum aik jung lar rahay hain. 122 00:07:48,927 --> 00:07:50,988 Luna, tum is baat ko nazar andaaz nahi kar sakti ho. 123 00:07:53,510 --> 00:07:55,447 Lincoln bhi yehi chahta ke tum humari madad karo. 124 00:07:55,708 --> 00:07:57,168 Aik Commander ban kar? 125 00:07:58,255 --> 00:07:59,333 Mujhe aisa nahi lagta. 126 00:07:59,964 --> 00:08:01,711 Lincoln ko humaray qawaaid o zawabit maalum thay. 127 00:08:02,629 --> 00:08:05,279 Hum unhein panah detay hain jo ab larna nahi chahtay. 128 00:08:05,963 --> 00:08:07,363 Jo ab qatal karna nahi chahtay. 129 00:08:08,256 --> 00:08:09,428 Khud ko dekho. 130 00:08:10,511 --> 00:08:12,002 Tum sirf larna hi jaanti ho. 131 00:08:13,091 --> 00:08:15,791 Tum sirf maarna jaanti ho. 132 00:08:16,970 --> 00:08:19,286 Lincoln aisi guzaarish liye yahan kabhi bhi nahi aata. 133 00:08:19,961 --> 00:08:21,421 Main zindagi bhar keliye uski maqrooz hun. 134 00:08:38,732 --> 00:08:41,534 Mujhe yaqeen nahi aata Alie kay paas itni awaam hogai hai. 135 00:08:41,658 --> 00:08:43,954 Tumhein ye jhoond dikhai day raha hai? Ye aik imaarat hai. 136 00:08:44,839 --> 00:08:47,585 Lekin ye sab jo hain woh logon kay dimagh hain. 137 00:08:48,069 --> 00:08:50,084 Ye jagah un se bhari pari hai. Hazaaron ki tadaad mein hain. 138 00:08:50,207 --> 00:08:51,941 Usnay Polis par bhi qabza kar liya hai. 139 00:08:52,032 --> 00:08:53,414 Alie ki fauj barhhti jaa rahi hai. 140 00:08:53,505 --> 00:08:55,671 Hum andar jaanay mein jitni dair karengay uski taaqat utni barhhti jayegi. 141 00:08:55,758 --> 00:08:58,535 Tum andar jaanay ka soch rahi ho? Nahi, Raven. Humara laahe amal... 142 00:08:58,560 --> 00:09:01,006 Humesha ki tarah Clarke ka intezar karna hai na. 143 00:09:02,010 --> 00:09:03,644 Lekin kya pata ye hum khud anjaam day sakein? 144 00:09:04,455 --> 00:09:06,159 Humaray paas Becca kay dousray raastay ka password hai. 145 00:09:06,602 --> 00:09:07,566 Main bhi saath mein hun. 146 00:09:07,657 --> 00:09:10,507 Tum nay kaha tha jis lamhay hum password istemal karengay, Alie ko khabar hojayegi. 147 00:09:10,701 --> 00:09:12,620 Haan shayad usay pata chal jayega. 148 00:09:12,711 --> 00:09:14,309 Iska matlab humaray paas sirf aik moqah hai. 149 00:09:14,579 --> 00:09:16,147 Kya is kitaab mein koyi aisa qaatilaana code hai 150 00:09:16,238 --> 00:09:17,480 jo tum nay mujhe bataaya na ho? 151 00:09:17,830 --> 00:09:19,108 Phir hum mansoobay par hi amal karengay. 152 00:09:19,215 --> 00:09:21,122 Clarke ja kar Luna ko Flame degi. 153 00:09:21,213 --> 00:09:23,483 Us Flame mein maujood AI jo hai woh Luna ko qaatilaana code degi. 154 00:09:23,574 --> 00:09:25,724 Hum apnay aik moqay ka faida utha kar us code ko yahan daakhil karengay 155 00:09:25,815 --> 00:09:27,052 aur bas phir kaam tamaam hojayega. 156 00:09:27,337 --> 00:09:28,713 Mujhe ye muhawara nahi pasand hai. 157 00:09:32,669 --> 00:09:33,591 Shabaash. 158 00:09:33,941 --> 00:09:36,023 Bas naqsha taiyaar kartay hain. Tumhein aur kya dikh raha hai? 159 00:09:36,941 --> 00:09:39,147 Humari jagah mehfuz hai. Bryan aur Miller nigraani kar rahay hain. 160 00:09:39,237 --> 00:09:40,487 Yahan kaisay maamlaat hain? 161 00:09:42,538 --> 00:09:43,664 Achay nahi chal rahay na? 162 00:09:46,750 --> 00:09:47,719 Thora sa waqfa le lo. 163 00:09:47,810 --> 00:09:50,105 Junoob mein maujood airlock ko mehfuz karnay mein meri madad kar do. 164 00:09:51,290 --> 00:09:54,711 Chalay jao. Mujh par bharosa nahi hai tou ye kitaab apnay sath le jao. 165 00:09:55,197 --> 00:09:56,635 Tumhein Becca ka password yaad hai. 166 00:09:56,726 --> 00:09:58,497 Phir tou shayad tumhein mujh par bharosa karna hi parega. 167 00:10:09,924 --> 00:10:11,063 Mujhe uski fikar horahi hai. 168 00:10:11,322 --> 00:10:13,854 -Woh dou dinon se kaam par lagi huwi hai. -Tumhara bhi yehi haal hai. 169 00:10:13,955 --> 00:10:15,969 Haan, lekin main khud ko sambhaalnay ki koshish tou kar raha hun, 170 00:10:16,462 --> 00:10:17,593 Sach keh raha hun. 171 00:10:17,684 --> 00:10:20,202 Alie kay code ko dekh kar, mujhe physics kay aam ehkaamaat dikhtay hain 172 00:10:20,227 --> 00:10:21,835 aur uski kaarkirdagi behtar karnay ka nizaam hai. 173 00:10:21,920 --> 00:10:24,135 Raven ko Roshniyoun ka Shehar dikhta hai. 174 00:10:24,298 --> 00:10:26,267 Uskay liye woh sirf code nahi balkeh haqeeqat hai. 175 00:10:29,945 --> 00:10:31,570 Kya hum airlock kay paas nahi jaa rahay? 176 00:10:32,204 --> 00:10:33,607 Usko pehlay hi band kar diya hai. 177 00:10:36,359 --> 00:10:39,237 -Kya tum theek ho? -Haan, main theek hun. 178 00:10:41,297 --> 00:10:42,622 Main bas ye soch rahi thi... 179 00:10:43,988 --> 00:10:46,619 ke dou dinoun se kisi nay humein maarnay ki koshish nahi ki. 180 00:10:46,887 --> 00:10:48,459 -Par aisa khatam thori hoga. -Mujhe pata hai. 181 00:10:49,856 --> 00:10:51,840 Lekin kya ab hum is khof mein bethay rahengay 182 00:10:51,882 --> 00:10:53,588 ke hum par kabhi bhi humla ho sakta hai? 183 00:10:53,728 --> 00:10:55,509 Humaray paas aur koi raasta bhi nahin hai. 184 00:10:57,874 --> 00:10:59,223 Shayad hai. 185 00:11:08,616 --> 00:11:10,880 Tum jo thi, wohi ho na? 186 00:11:10,971 --> 00:11:13,503 Tum par tou masnooi zahanat ka asar nahi huwa hai na? 187 00:11:14,336 --> 00:11:15,570 Main waisi hi hun, jaisi pehlay thi. 188 00:11:16,282 --> 00:11:17,255 Zabardast. 189 00:11:20,913 --> 00:11:22,081 Uff, meray Khudaaya. 190 00:11:49,198 --> 00:11:50,767 -Shukriya. -Koyi baat nahi. 191 00:11:52,183 --> 00:11:54,108 Kya us shark ka waqiya tumharay sath waaqai mein huwa tha? 192 00:11:56,048 --> 00:11:57,086 Thori bohat had tak huwa tha. 193 00:11:57,730 --> 00:11:59,816 Main jab bhi sunaati hun tou kahani behtar ban jaati hai. 194 00:12:02,159 --> 00:12:03,857 Kya tumhara taaluq waqai mein khila se hai? 195 00:12:04,325 --> 00:12:05,303 Haan. 196 00:12:08,403 --> 00:12:10,523 Main tou kabhi is rig se bahar bhi nahi gai hun. 197 00:12:11,523 --> 00:12:13,676 Sahi bataun tou ye achi baat hai. 198 00:12:16,706 --> 00:12:17,860 Mera naam Jasper hai. 199 00:12:18,161 --> 00:12:20,111 -Mera naam Shay hai. -Tum se mil kar khushi huwi. 200 00:12:25,447 --> 00:12:27,153 Jasper waqai mein muskura raha hai. 201 00:12:33,253 --> 00:12:35,425 Clarke. Jaanay bhi do is baat ko. 202 00:12:36,561 --> 00:12:38,114 Hum baghair kaam huwe nahi jaa saktay. 203 00:12:38,205 --> 00:12:40,152 Humaray paas aur koi raasta nahin hai. 204 00:12:41,458 --> 00:12:42,737 Shayad hai. 205 00:12:44,051 --> 00:12:45,534 Tum kis baaray mein baat kar rahi ho? 206 00:12:46,208 --> 00:12:49,534 Main bol rahi hun ke us se baghair puchay ye us kay dimagh mein ghusa detay hain. 207 00:12:50,376 --> 00:12:53,197 Aisa hargiz nahi kar saktay, Clarke. Ye Emerson jesi soorat-e-haal nahi hai. 208 00:12:53,288 --> 00:12:54,972 Woh humein maarnay ki koshish kar raha tha. 209 00:12:55,063 --> 00:12:58,313 -Tumhein lagta hai main nahi jaanti thi? -Clarke, aisa karnay ki zarurat nahi hai. 210 00:12:58,781 --> 00:13:01,024 Hum jung larnay kay baad waapis Arkadia jaa saktay hain. 211 00:13:01,115 --> 00:13:02,905 -Hum hathiyaar utha lengay. -Kis se larengay? 212 00:13:03,352 --> 00:13:05,109 Woh fauj humaray logon par mubni hai. 213 00:13:06,497 --> 00:13:08,380 Tumhari tarah mujhe bhi yehi tareeqa pasand nahin. 214 00:13:08,569 --> 00:13:12,306 Lekin agar Raven theek keh rahi hai aur is mein maujood code Alie ko rok sakta... 215 00:13:17,528 --> 00:13:18,869 Mujhe koyi behtar mansooba batao. 216 00:13:23,897 --> 00:13:24,958 Hum yaheen rukengay. 217 00:13:25,049 --> 00:13:27,375 Sirf is tarah tumhein uskay sath akailay rehnay ka mauqa mil sakega. 218 00:13:30,038 --> 00:13:32,540 Alie bhi logon ko mauqa deti hai. 219 00:13:33,002 --> 00:13:35,410 Hum nay Luna ko mauqa diya tha. 220 00:13:36,906 --> 00:13:37,991 Us nay inkaar kar diya. 221 00:13:48,916 --> 00:13:51,626 Mujhe... Mujhe ab waapis jaana chahiye. 222 00:13:51,717 --> 00:13:55,813 Nahi. Hargiz nahi. Kuch dair keliye haqeeqat ko intezar karaaya ja sakta hai. 223 00:14:07,415 --> 00:14:09,573 Mujhe itnay arsay se aisa mehsus nahi huwa. 224 00:14:10,839 --> 00:14:11,843 Khush ho? 225 00:14:12,871 --> 00:14:13,819 Haan. 226 00:14:14,908 --> 00:14:16,337 Aur mehfuz bhi mehsus kar rahi hun. 227 00:14:19,200 --> 00:14:21,437 Shuker hai tum milay. Chalo jaldi aao, mujhe kuch zaruri mila hai. 228 00:14:25,740 --> 00:14:26,675 Woh bilkul yahan maujood hai. 229 00:14:26,766 --> 00:14:28,692 -Woh kya cheez hai? -In hifazati iqdaamaat ko dekho. 230 00:14:28,783 --> 00:14:30,986 Alie kay pooray code mein sab se sakht iqdaam is taraf hain. 231 00:14:31,077 --> 00:14:32,768 -Firewall? -Aik qilay ki tarah mehfuz hai. 232 00:14:32,857 --> 00:14:34,037 Woh isay Citadel kehti hai. 233 00:14:34,127 --> 00:14:35,417 Is se pooray shehar ki nigraani hoti hai. 234 00:14:35,507 --> 00:14:37,375 Isay paani se alag kiya huwa hai jaisay ke koyi khaai ho... 235 00:14:37,466 --> 00:14:38,961 Araam se batao ke kya samjha rahi ho? 236 00:14:39,052 --> 00:14:41,012 Main keh rahi hun ke woh kuch chhupa rahi hai. 237 00:14:42,587 --> 00:14:43,574 -Nahi. -Monty. 238 00:14:43,665 --> 00:14:44,895 -Nahi. -Becca kay password kay zariye, 239 00:14:44,986 --> 00:14:47,617 -main code ko tabdeel kar sakti hun. -Hum is par behas kar chukay hain. 240 00:14:47,707 --> 00:14:49,587 Hum uska bahar se hi naqsha banayengay. Hum andar nahi jaayengay. 241 00:14:49,677 --> 00:14:51,657 Hum andar jaaye baghair nahi pata laga saktay ke woh kya chhupa rahi hai. 242 00:14:51,682 --> 00:14:54,044 Jab dousray waapis aajayengay tou unhein bhi bata kar sath faisla karengay. 243 00:14:54,136 --> 00:14:55,369 Aur agar baaqi sab waapis nahi aaye? 244 00:14:55,465 --> 00:14:56,900 Woh waapis zarur aayengay. 245 00:14:57,458 --> 00:15:00,299 Aur woh aik supercomputer sath mein laayengay jo iskay liye bana hai. 246 00:15:00,760 --> 00:15:02,730 Tum apnay kaam mein behtareen hogi, Raven, 247 00:15:03,883 --> 00:15:05,197 lekin tum aik AI tou nahi ho na. 248 00:15:09,017 --> 00:15:10,137 Mujhe is baat se nafrat hai. 249 00:15:11,401 --> 00:15:12,401 Mujhe pata hai. 250 00:15:13,369 --> 00:15:14,819 Thori dair sojao gi tou behtar mehsus karo gi. 251 00:15:16,408 --> 00:15:19,595 Main naqsha banati rehti hun, kya pata uski koyi aur kamzori bhi ho. 252 00:15:23,208 --> 00:15:24,660 Chalo sath mil kar kaam kartay hain. 253 00:15:26,375 --> 00:15:28,225 Mera waada hai ke main tumhara waqt barbaad nahi karunga. 254 00:15:28,387 --> 00:15:29,867 Main bas tumharay sath maujood hunga. 255 00:15:36,319 --> 00:15:40,856 Khayaal rakhna ke tum khud na phans jao. Hum bachon ka shikaar nahi kartay. 256 00:15:42,922 --> 00:15:46,847 Ye zaruri hai ke hum sab sath mein mil kar kaam karein. 257 00:15:49,226 --> 00:15:51,276 Khila se aanay waali larki tum se baat karna chahti hai. 258 00:15:52,165 --> 00:15:54,849 Waisay maanna parega ke woh datti rehti hai. 259 00:15:55,415 --> 00:15:57,047 Aaj keliye sabaq pura huwa. 260 00:15:57,406 --> 00:16:01,235 Jaao machhli kay jaal taiyaar karnay mein Derrick ki madad karo. 261 00:16:19,479 --> 00:16:20,598 Kya ye bachay yaheen paida huwe thay? 262 00:16:20,941 --> 00:16:22,003 In mein se kuch huwe thay. 263 00:16:22,395 --> 00:16:23,966 Ziada tar jung se aaye huwe yateem bachay thay. 264 00:16:24,097 --> 00:16:26,193 Ya us aqeeday se bhaag kar aagaye jis par yaqeen nahi rakhtay thay. 265 00:16:27,218 --> 00:16:28,898 Jaisay ke tum intikhaabi jalsay se bhaag aai thi. 266 00:16:30,891 --> 00:16:32,644 Titus nay meray baaray mein tumhein kya bataaya hai? 267 00:16:35,079 --> 00:16:36,234 Ke tum buzdil thi. 268 00:16:37,322 --> 00:16:38,827 Khaandaan se ghadaari ki thi tum nay. 269 00:16:41,628 --> 00:16:43,272 Haan, Titus aisi hi baatein karta hai. 270 00:16:44,853 --> 00:16:47,293 Lexa ki maut uskay liye afsos naak hogi. 271 00:16:47,887 --> 00:16:49,247 Woh usay sab se ziada pasand karta tha. 272 00:16:53,237 --> 00:16:54,323 Tumhein Lexa ki parwa thi. 273 00:16:56,872 --> 00:16:57,916 Haan. 274 00:16:59,053 --> 00:17:00,486 Lexa bohat khaas thi. 275 00:17:02,095 --> 00:17:04,157 Woh aman o ittehaad ki taraf kaam kar rahi thi. 276 00:17:05,047 --> 00:17:06,857 Khoon ka badla khoon nahi hona chahiye. 277 00:17:09,480 --> 00:17:11,441 Jo usnay shuru kiya tum usay mukamal kar sakti ho. 278 00:17:11,891 --> 00:17:14,021 Yahan bhi aman maujood hai. 279 00:17:14,325 --> 00:17:18,035 Luna, ye Flame tumhara paidaaishi haq hai. 280 00:17:18,713 --> 00:17:21,024 Baraaye meharbaani isko nigal lo. 281 00:17:21,917 --> 00:17:23,957 Sirf tum hi humein bacha sakti ho. 282 00:17:25,296 --> 00:17:29,067 Jaan bachaanay kay chakar mein kitni aur jaanein jaayengi? 283 00:17:30,867 --> 00:17:33,155 Kuch log is laaiq hotay hain ke unka qatal kiya jaaye. 284 00:17:33,758 --> 00:17:34,937 Main nahin maanti. 285 00:17:38,259 --> 00:17:39,958 Jaag utho. 286 00:17:51,601 --> 00:17:55,267 Main intikhaabi jalsay se haarnay kay darr ki wajah se nahi bhaagi thi. 287 00:17:55,872 --> 00:17:58,473 Main isliye bhaagi thi kyunke mujhe pata tha ke main jeet jaaungi. 288 00:18:01,827 --> 00:18:03,341 Tumhein shukar adaa karna chahiye, Clarke. 289 00:18:04,239 --> 00:18:07,697 Jab mujhe pehlay marhalay mein zabardasti apnay bhai ka qatal karna para tha 290 00:18:08,028 --> 00:18:10,312 tou aglay marhalay mein mera muqaabla Lexa kay sath tha. 291 00:18:11,477 --> 00:18:13,367 Kya tumhein nahi lagta qismat is tarah mazaaq karti hai? 292 00:18:15,029 --> 00:18:16,761 Tumhein ye jaatay waqt mil jaayega. 293 00:18:29,175 --> 00:18:31,183 Yaad rakhna, unko maarnay keliye goli mat chalaana. 294 00:18:31,274 --> 00:18:32,356 Humein unki zarurat hai. 295 00:18:33,101 --> 00:18:35,060 Tumharay maabood nay tumhein chhora kyun? 296 00:18:35,871 --> 00:18:37,084 Mujhe nahi pata. 297 00:18:38,079 --> 00:18:40,773 Lekin jab main us se phir se milungi tou zarur puchungi. 298 00:18:40,900 --> 00:18:42,673 Kya tumhein yaqeen hai ke woh flame mein hai? 299 00:18:42,764 --> 00:18:43,715 Haan. 300 00:18:44,583 --> 00:18:46,068 Aur agar meri maalumaat sahi hai 301 00:18:46,159 --> 00:18:50,167 tou uskay muttabiq iskay zariye sab kay dimaagh aik saath jur jaatay hain 302 00:18:51,027 --> 00:18:53,127 jiski shuruwaat meray maabood nay ki thi. 303 00:18:54,140 --> 00:18:55,921 Nahi, usay mat maarna. 304 00:18:57,627 --> 00:18:59,526 Woh jaantay hain ke hum yahaan hain. Darwaaza band kar do. 305 00:19:01,363 --> 00:19:03,453 Main ye hathiyaar ikhata karta hun. Humein inki zarurat paregi. 306 00:19:09,781 --> 00:19:11,283 Woh is Pod ko tawaanai faraham kar rahay hain. 307 00:19:16,132 --> 00:19:17,843 Aur us khufiya raastay ka kiya karna hai? 308 00:19:19,267 --> 00:19:22,127 Usko ab tak khabar hojayegi. Main usay taala laga deta hun. 309 00:19:22,359 --> 00:19:23,557 Nahi, aisa mat karna. 310 00:19:26,223 --> 00:19:27,545 Us nay humein aatay huwe nahi dekha. 311 00:19:28,989 --> 00:19:30,739 Aur uskay elawa, woh humaray bhaagnay mein kaam aayega. 312 00:19:33,072 --> 00:19:34,572 Tumhara shukriya, Titus. 313 00:19:40,503 --> 00:19:41,477 John. 314 00:19:42,464 --> 00:19:44,527 Ye aik nuclear tawaanai ka cell hai, John. 315 00:19:46,994 --> 00:19:49,440 Iska asar pooray shehar par hojayega. 316 00:19:52,872 --> 00:19:54,241 Tou phir hum isay kaisay tabah karein? 317 00:19:59,401 --> 00:20:00,480 Ehtiyaat se. 318 00:20:06,931 --> 00:20:09,401 -Jasper kahan hai? -Apni nai saheli ko alvida kar raha hai. 319 00:20:19,703 --> 00:20:22,304 Maaf karna, captain. Tumhein inhein waapis lay kar jaana hai. 320 00:20:23,397 --> 00:20:24,483 Ye tum logon ka samaan hai. 321 00:20:25,118 --> 00:20:26,880 Dousri taraf pohanchnay kay baad hathiyaar mil jaayengay. 322 00:20:27,105 --> 00:20:28,126 Chalo ab andar jao. 323 00:20:31,048 --> 00:20:31,965 Flame kahan hai? 324 00:20:33,317 --> 00:20:34,637 Yaad rakhna, Clarke. 325 00:20:35,459 --> 00:20:37,261 Khud ki marzi hoti hai fasaad kay raastay par chalna. 326 00:20:37,352 --> 00:20:38,269 Ye yahan maujood hai. 327 00:20:38,360 --> 00:20:40,766 Jab faisla larnay ya marnay kay beech karna ho 328 00:20:40,884 --> 00:20:42,487 tou phir kisi ki marzi nahi chalti. 329 00:20:48,164 --> 00:20:50,865 Unho nay Flame apnay paas rakh li. Woh humein qaid kar rahay hain. 330 00:20:51,972 --> 00:20:52,872 Aray! 331 00:20:53,219 --> 00:20:54,261 Ye kya harkat hai? 332 00:20:55,229 --> 00:20:57,111 Luna kay sipaahi us par hi humla kar rahay hain. 333 00:20:58,330 --> 00:20:59,350 Alie yahan aa chuki hai. 334 00:21:02,631 --> 00:21:04,296 Tum chaho tou yahan phir se aa saktay ho. 335 00:21:04,605 --> 00:21:06,707 Mujhe kisi wajah se lag raha hai ke ye itni aasaan baat nahi hai. 336 00:21:07,248 --> 00:21:09,765 Aur waisay yahan acha mehsus horaha hai. 337 00:21:10,088 --> 00:21:11,906 Mujhse tou yahan sab bighar jaayega. 338 00:21:16,913 --> 00:21:18,983 Shay, bhaago ke is se pehlay... 339 00:21:21,172 --> 00:21:22,187 Woh yahan aachuki hai. 340 00:21:22,605 --> 00:21:23,865 Isko meri maujoodgi ka ilm hai. 341 00:21:24,136 --> 00:21:26,583 Jao. Apni qom ko bolna ke woh chip ko mat niglein! 342 00:21:26,717 --> 00:21:28,071 Woh larki dousron ko khabardaar na karay. 343 00:21:28,121 --> 00:21:29,180 Jao, foran se bhaago! 344 00:21:32,092 --> 00:21:32,995 Nahi. 345 00:21:37,687 --> 00:21:38,687 Nahi. 346 00:22:04,730 --> 00:22:05,820 Usay akaila chhor do! 347 00:22:06,776 --> 00:22:07,986 Tum kya kar rahay ho? 348 00:22:10,347 --> 00:22:11,298 Derrick. 349 00:22:13,077 --> 00:22:16,584 -Tum aisa kyun kar rahay ho? -Main tumhein maar daalunga! Mat karo! 350 00:22:17,504 --> 00:22:19,777 Uskay sath aisa mat karo! Nahi! 351 00:22:29,750 --> 00:22:32,016 Alie is jagah ko dhoondnay mein kaisay kamiyab huwi? 352 00:22:35,997 --> 00:22:37,587 Niylah ki taraf aik drone aaya tha. 353 00:22:38,074 --> 00:22:39,863 Us nay Flame dhoondnay keliye humara peecha kiya hoga 354 00:22:39,888 --> 00:22:41,221 aur ab woh uskay qabzay mein hai. 355 00:22:43,553 --> 00:22:45,038 Aisa mat karo! Ruk jao! 356 00:22:51,121 --> 00:22:53,141 Is Key ko nigal jaao aur phir kuch nahi hoga tumharay sath. 357 00:22:53,511 --> 00:22:54,804 Tumhein kya hogaya hai? 358 00:22:55,537 --> 00:22:56,773 Ye hosh mein nahin hai. 359 00:22:57,332 --> 00:22:59,069 Aur iski wajah iskay hath mein maujood chip hai. 360 00:23:00,910 --> 00:23:03,807 Jasper humaray amal mein rukawat laa raha hai. 361 00:23:03,832 --> 00:23:05,626 Usko Key khilaani hi paregi. 362 00:23:13,641 --> 00:23:14,597 Phir se dohrao. 363 00:23:19,272 --> 00:23:20,995 Woh Luna kay andar us AI ko ghusa degi. 364 00:23:22,849 --> 00:23:24,337 Usko Flame pehlay nigalna hoga. 365 00:23:26,958 --> 00:23:29,397 Agar Luna ko AI se milnay se pehlay Key khila di jayegi 366 00:23:30,087 --> 00:23:31,735 tou Alie ko sab pata chal jayega. 367 00:23:32,733 --> 00:23:34,403 Hum usay kabhi nahi rok sakengay. 368 00:23:34,494 --> 00:23:35,962 Hum aisa honay nahi day saktay hain. 369 00:23:36,696 --> 00:23:37,617 Suno! 370 00:23:49,153 --> 00:23:50,393 Mujhe maaf karna, Luna. 371 00:23:53,825 --> 00:23:54,923 Mujhse ab bardaasht nahi hota. 372 00:23:54,948 --> 00:23:57,760 Agar tum ruk jao gay, tou main Key nigalnay keliye taiyaar hun. 373 00:23:59,449 --> 00:24:00,446 Main taiyaar hun. 374 00:24:01,992 --> 00:24:02,931 Theek hai. 375 00:24:21,579 --> 00:24:22,652 Derrick. 376 00:24:36,833 --> 00:24:38,499 Tumhein sirf ye Key hi tou nigalni hai. 377 00:24:54,533 --> 00:24:56,998 Jaldi karo. Ye darwaaza ziada dair tak salamat nahi bachega. 378 00:24:57,089 --> 00:24:59,079 Phir tum khud bhi hathiyaar utha lo. 379 00:25:00,769 --> 00:25:02,903 Tum sab yahan andar maaray jao gay, John. 380 00:25:05,255 --> 00:25:06,525 Jaldi karo, Thelonious. 381 00:25:06,616 --> 00:25:08,806 Abhi tak hijrat mukamal nahi huwi hai. 382 00:25:09,008 --> 00:25:11,205 Hum abhi tak soorang ka daakhli raasta talaash kar rahay hain. 383 00:25:11,497 --> 00:25:14,355 Jab sipaahi darwaaza tor dengay tou main waheen maujood hunga. 384 00:25:14,747 --> 00:25:15,716 Achi baat hai. 385 00:25:16,952 --> 00:25:18,642 John Murphy aur Claire Griffin saath thay 386 00:25:18,667 --> 00:25:21,501 jab unho nay dousri AI ko aakhri Commander mein se nikaala tha. 387 00:25:21,691 --> 00:25:25,692 Agar us se Luna mein woh nahi ghusaya gaya tou humein woh salamat chahiye hoga. 388 00:25:44,687 --> 00:25:46,260 Main tumhein barbaad karnay aarahi hun. 389 00:25:47,587 --> 00:25:48,920 Password ki tabdeeli 390 00:25:50,744 --> 00:25:52,069 Tum Clarke kay sath kiya karo gi? 391 00:25:52,160 --> 00:25:54,579 Jo mashwara dousron ko diya, wohi usay dungi. 392 00:25:55,197 --> 00:25:56,467 Humaray sath jur jao warna... 393 00:25:59,247 --> 00:26:01,075 -Kya baat hai? -Koyi meray code 394 00:26:01,166 --> 00:26:03,360 tak rasai haasil kar raha hai woh bhi intizaamia kay huqooq kay sath. 395 00:26:03,979 --> 00:26:05,892 Kahan maujood ho kar rasaai haasil kar raha hai? 396 00:26:06,215 --> 00:26:08,276 Ye humla Arkadia ki jaanib se aaraha hai. 397 00:26:08,809 --> 00:26:09,788 Arkadia? 398 00:26:11,167 --> 00:26:14,728 Ya tou Jacapo Sinclair hoga ya phir Monty Green. 399 00:26:14,841 --> 00:26:16,425 Jacapo Sinclair mar chuka hai. 400 00:26:16,524 --> 00:26:18,719 -Tumhein ye baat kaisay pata? -Woh ghair zaruri hai. 401 00:26:19,349 --> 00:26:21,777 Is nizaam mein daakhil honay ka tareeqa meray maabood nay banaaya tha. 402 00:26:25,147 --> 00:26:27,806 -Main unko nikaal nahi paa rahi hun. -Arkadia se taaluq tor dou. 403 00:26:27,831 --> 00:26:29,100 Woh bewaqufi kehlai jaayegi. 404 00:26:29,906 --> 00:26:34,041 Abhi tak hijrat mukamal nahi huwi hai aur backpack bhi qabzay mein hai. 405 00:26:35,087 --> 00:26:36,747 Arkadia ka markazi hissa nahi huwa 406 00:26:37,614 --> 00:26:40,216 tou mujhe sirf us Mobile Unit se tawaanai milegi. 407 00:26:44,233 --> 00:26:48,603 Agar woh usay tabah karnay mein kamiyab hogaye tou main bhi khatam hojaungi. 408 00:26:55,962 --> 00:26:57,412 Woh andar Citadel tak pohanch gaye hain. 409 00:27:01,199 --> 00:27:04,640 Agar ye Monty hoga tou main usay rok sakta hun. 410 00:27:05,669 --> 00:27:06,784 Kaisay roko gay? 411 00:27:14,796 --> 00:27:16,826 -Raven, kya tum paagal hogai ho? -Haath mat lagana! 412 00:27:17,270 --> 00:27:18,432 Bilkul bhi haath mat lagana. 413 00:27:19,695 --> 00:27:21,013 Main uskay Citadel tak ghus gai hun. 414 00:27:22,279 --> 00:27:23,499 Itnay saaray darwaazay hain. 415 00:27:24,245 --> 00:27:25,337 Sab par taalay lagay hain. 416 00:27:25,963 --> 00:27:27,488 Lekin main taalay tor sakti hun. 417 00:27:29,485 --> 00:27:31,970 Main sahi keh rahi thi. Woh yahan kuch chhupa rahi hai. 418 00:27:32,317 --> 00:27:33,697 Mujhe bas isko paar karna... 419 00:27:37,516 --> 00:27:38,935 Koyi mudaakhlat kar raha hai. 420 00:27:39,133 --> 00:27:40,124 Koyi cheez hai kya? 421 00:27:40,627 --> 00:27:41,772 Haan, koyi insaan hai. 422 00:27:42,313 --> 00:27:43,696 Main isko paar nahi kar paa rahi hun. 423 00:27:44,177 --> 00:27:46,037 Kyun nahi? Kaun hai woh shakhs? 424 00:27:48,720 --> 00:27:49,716 Monty? 425 00:27:52,177 --> 00:27:53,673 Monty, kya tum mujhe sun saktay ho? 426 00:27:59,917 --> 00:28:00,965 Ammi? 427 00:28:03,798 --> 00:28:04,809 Monty. 428 00:28:06,084 --> 00:28:07,467 Kaash main tumhein dekh paati. 429 00:28:08,407 --> 00:28:09,727 Shayad kisi din dekh paaungi. 430 00:28:11,290 --> 00:28:12,703 Inki awaaz itni asal lag rahi hai. 431 00:28:13,237 --> 00:28:14,777 Ye Alie ka amal hai. 432 00:28:15,917 --> 00:28:17,561 Lekin dimaagh unka hi hai. 433 00:28:18,601 --> 00:28:19,843 Ye tumhari ammi hi hain. 434 00:28:21,925 --> 00:28:23,099 Kya woh mujhe sun sakti hain? 435 00:28:24,061 --> 00:28:25,210 Tumhein type karna parega. 436 00:28:29,047 --> 00:28:31,824 Humein aur waqt darkaar hai. Hannah, us se baat karti raho. 437 00:28:31,915 --> 00:28:32,857 Monty? 438 00:28:34,449 --> 00:28:35,914 Monty kya tum abhi bhi wahan ho? 439 00:28:36,677 --> 00:28:38,090 Alie chahti hai ke hum ruk jaayein. 440 00:28:38,291 --> 00:28:39,800 Is hi wajah se us nay tumhari ammi ko bheja hai. 441 00:28:40,159 --> 00:28:42,463 Woh nahi chahti ke hum jaan sakein dousri taraf kya maujood hai. 442 00:28:42,859 --> 00:28:46,095 Mujhe pata hai tumhein takleef hai us baat ki jo tum nay meray sath kiya. 443 00:28:48,966 --> 00:28:49,966 Mujhe maaf kijiye ga. 444 00:28:50,509 --> 00:28:51,447 Mujhe pata hai. 445 00:28:52,283 --> 00:28:54,293 Main us takleef se nijaat dilaana chahti hun. 446 00:28:54,731 --> 00:28:57,201 Hum sab yehi chaahtay hain. 447 00:28:59,218 --> 00:29:01,654 Humein bas pata lagnay wala hai, Hannah. Baat ko jaari rakho. 448 00:29:01,807 --> 00:29:03,423 Hum phir se aik sath ho saktay hain. 449 00:29:04,608 --> 00:29:05,830 Kya tum nahi chahtay aisa ho? 450 00:29:07,177 --> 00:29:09,947 Agar hum uska code delete kar dengay tou phir kya hoga? 451 00:29:12,287 --> 00:29:14,287 -Monty. -Batao ke kya hoga? 452 00:29:16,117 --> 00:29:18,727 Tum unhein humesha keliye kho do gay. 453 00:29:20,436 --> 00:29:21,651 Beta, main tum se muhabat karti hun. 454 00:29:26,557 --> 00:29:27,557 Mujhe kya karna hoga? 455 00:29:28,767 --> 00:29:29,777 Mujhe kya karna hoga? 456 00:29:37,651 --> 00:29:39,151 Tumhein enter ka button dabaana hoga. 457 00:29:40,593 --> 00:29:42,167 Enter 458 00:29:44,157 --> 00:29:45,160 Monty? 459 00:29:48,967 --> 00:29:50,236 Mujhe bhi aap se muhabat hai. 460 00:29:53,984 --> 00:29:55,210 File delete hogai hain 461 00:29:59,099 --> 00:30:00,247 Wahan se bahar niklo, Alie. 462 00:30:00,457 --> 00:30:01,957 Abhi foran Arkadia se bahar niklo. 463 00:30:02,047 --> 00:30:04,764 Main nay tumhein bataaya tha ke agar main nay khud ko Arkadia se alehda kiya, 464 00:30:04,855 --> 00:30:07,775 tou mujhe sirf us Mobile Unit se tawaanai milegi. 465 00:30:10,297 --> 00:30:11,787 Isko band kar dou. 466 00:30:22,808 --> 00:30:24,202 Main aakhri darwaazay ko paar kar chuki hun. 467 00:30:27,901 --> 00:30:28,901 Mujhe dikhai de raha hai. 468 00:30:31,587 --> 00:30:34,117 Ye usko tabah karnay ka button hai. Mujhe sirf isko... 469 00:30:34,727 --> 00:30:37,817 Nahi! Nahi, aisa nahi hosakta! 470 00:30:37,907 --> 00:30:38,886 Kya huwa? 471 00:30:40,067 --> 00:30:41,067 Kya hogaya hai! 472 00:30:44,543 --> 00:30:46,561 Is se pehlay ke main usko tabah karnay ka button dabaati 473 00:30:46,586 --> 00:30:48,675 usnay khud ko markazi hissay se alehda kar diya hoga. 474 00:30:50,257 --> 00:30:51,617 Iska matlab ye saari mehnat raayega gai? 475 00:30:52,487 --> 00:30:53,787 Nahi, Monty, aisa nahi hai. 476 00:30:54,166 --> 00:30:55,887 Ab humein usko tabah karnay walay button ka maalum hai. 477 00:30:56,129 --> 00:31:00,017 Aik aisa button jisko hum istemal nahi kar saktay kyunke code jaa chuka hai! 478 00:31:02,187 --> 00:31:03,307 Ye sab tumhari ghalti hai. 479 00:31:03,643 --> 00:31:05,520 Humein dousron kay aanay tak ka intezaar karna chahiye tha. 480 00:31:06,466 --> 00:31:07,884 Kya tum phir se chip khaana chaho gi? 481 00:31:08,007 --> 00:31:09,839 Kya aisi baat hai? Tum wahaan wapis jaana chaho gi? 482 00:31:11,550 --> 00:31:12,482 Ye lo. 483 00:31:13,634 --> 00:31:14,517 Isay nigal lo. 484 00:31:17,194 --> 00:31:18,277 Mujhe maaf kar dena. 485 00:31:19,537 --> 00:31:20,718 Mujhe maaf kar dena. 486 00:31:27,506 --> 00:31:28,429 Kya bakwaas hai. 487 00:31:28,454 --> 00:31:30,827 Darwaaza tootnay waala hai. Mujhe batao ke iska kahan nishaana lagaun? 488 00:31:31,387 --> 00:31:33,297 Indra, bandookh nikaal kar rakho. 489 00:31:33,387 --> 00:31:36,597 Mujhe 60 second darkaar hain hijrat mukamal karnay keliye. 490 00:31:42,971 --> 00:31:45,971 Waqt aagaya hai ke ya tou isay tabah kiya jaaye warna phir bhaag liya jaaye. 491 00:31:46,815 --> 00:31:47,815 Acha, chalo tum kar saktay ho. 492 00:31:48,268 --> 00:31:50,507 Bas isko tawaanai pohanchaanay walay cell ko mat maarna. 493 00:31:50,750 --> 00:31:51,637 Is taraf nishaana lagana. 494 00:31:51,867 --> 00:31:52,997 Usko behkaao, Emori. 495 00:31:53,087 --> 00:31:54,819 Tum usay aisa nahi karnay day sakti ho. 496 00:31:55,319 --> 00:31:58,107 John, meri baat suno. John, meri baat suno. 497 00:31:58,712 --> 00:32:00,401 Us mein sirf Alie maujood nahi hai, John. 498 00:32:00,491 --> 00:32:01,517 Us mein hum sab hain. 499 00:32:02,410 --> 00:32:03,637 Dhamaaka hona tou dur ki baat hai. 500 00:32:03,727 --> 00:32:07,331 Us mein main maujood hun. Emori. 501 00:32:08,317 --> 00:32:10,077 Tum aik ghalti kar rahay ho. 502 00:32:10,557 --> 00:32:13,402 Jin sab kay dimagh Roshniyoun kay Shehar mein daakhil hogaye hain, 503 00:32:13,493 --> 00:32:15,757 woh waheen maujood hain. 504 00:32:17,867 --> 00:32:19,027 30 second aur darkaar hain. 505 00:32:19,177 --> 00:32:20,817 Agar tum usay tabah kar do gay 506 00:32:21,267 --> 00:32:23,507 tou humesha keliye hum sab apnay dimagh kho bethengay. 507 00:32:26,137 --> 00:32:28,497 Main humesha keliye chali jaungi, John. 508 00:32:34,077 --> 00:32:35,407 10 second aur darkaar hain. 509 00:32:40,415 --> 00:32:41,468 Main aisa nahi kar sakta. 510 00:32:52,170 --> 00:32:53,169 Kya ye kaaraamad huwa? 511 00:32:54,217 --> 00:32:55,350 Tumhein kuch huwa tou nahi? 512 00:33:02,317 --> 00:33:03,857 Tum nay bohat dair kar di. 513 00:33:06,537 --> 00:33:07,546 Ab chaltay hain yahan se. 514 00:33:11,037 --> 00:33:12,367 Tumhein kuch nahi dekhnay de saktay. 515 00:33:26,307 --> 00:33:27,726 Unho nay aik surang ka istemal kiya hai. 516 00:33:30,131 --> 00:33:31,040 Dhoondo usay. 517 00:33:44,107 --> 00:33:46,031 Aaj woh sab tabah karnay kay nazdeek aagaye thay. 518 00:33:47,197 --> 00:33:48,567 Aur woh phir se koshish karengay. 519 00:33:49,447 --> 00:33:51,337 Koyi baat nahi, Thelonious. 520 00:33:52,287 --> 00:33:54,605 Hijrat kamiyab hui. 521 00:33:54,837 --> 00:33:58,147 Bhaagnay waalay pod se malumaat wusool hona mukamal hogai hain. 522 00:33:58,237 --> 00:34:00,107 Woh hum tak yahan nahi aasaktay. 523 00:34:29,067 --> 00:34:31,367 Jab tak hum yahan nahi aaye thay, ye jagah mehfooz thi. 524 00:34:47,947 --> 00:34:48,947 Uff meray Khudaaya. 525 00:34:56,747 --> 00:34:58,294 Machine waalay kamray mein hain. 526 00:35:01,569 --> 00:35:02,491 Dousri manzil par. 527 00:35:13,696 --> 00:35:14,627 Aao chalein. 528 00:35:33,777 --> 00:35:36,373 Nahi. Aisa mat karo. 529 00:35:36,874 --> 00:35:39,017 Agar tum isko niglo gi tou hi ye bachi salamat rahegi. 530 00:35:39,490 --> 00:35:40,427 Aisa mat karo. 531 00:35:44,882 --> 00:35:47,397 Is bachi ka gala kaat do gay tou ye haar maan legi. 532 00:35:47,510 --> 00:35:48,827 -Luna? -Aisa mat karo. 533 00:36:09,757 --> 00:36:12,159 Hum Clarke ko Nightblood haasil karnay nahi day saktay. 534 00:36:13,378 --> 00:36:14,358 Isko jaan se maar do. 535 00:36:16,817 --> 00:36:18,487 Derrick, tum par qaabu kiya ja raha hai. 536 00:36:19,967 --> 00:36:21,287 Aisa mat karo, Derrick. 537 00:36:36,437 --> 00:36:37,607 O, dehaan se. 538 00:36:40,917 --> 00:36:43,337 Nahi. Nahi. 539 00:36:43,427 --> 00:36:45,151 Kya tum theek ho? Tumhein kuch nahi hoga. 540 00:36:57,647 --> 00:36:59,115 Main theek hun. Woh meri himmat nahi tor paaye. 541 00:37:01,978 --> 00:37:03,093 Shay kahan par hai? 542 00:37:06,578 --> 00:37:07,631 Mujhe maaf kar dena. 543 00:37:09,737 --> 00:37:10,949 Yehi tou hum kartay rehtay hain. 544 00:37:14,987 --> 00:37:16,537 Mujhe maaf kar dena. 545 00:37:27,167 --> 00:37:28,736 Mujhe maaf kar dena. 546 00:37:57,387 --> 00:37:59,642 In mein se kisi nay bhi chip khaai hogi lekin hum andaaza nahi laga saktay. 547 00:37:59,807 --> 00:38:02,777 Agar un par qaabu hoga tou woh humein Luna mein Flame dalwaanay se pehlay rokengay. 548 00:38:02,867 --> 00:38:03,880 Chokannay rehna. 549 00:38:04,667 --> 00:38:06,398 -Us nay apna iraada badal liya? -Chup raho. 550 00:38:10,397 --> 00:38:12,237 Taqreeb shuru honay wali hai. 551 00:38:14,647 --> 00:38:15,647 Luna, thehro. 552 00:38:17,137 --> 00:38:18,397 Mujhe bohat maaf kar dena. 553 00:38:18,777 --> 00:38:20,727 Ab tumhein andaaza hogaya hoga ke humara saamna kis se hai. 554 00:38:21,167 --> 00:38:23,537 Aisay dushman jo jeetnay keliye kuch bhi kar dengay. 555 00:38:24,157 --> 00:38:26,417 Woh sab par qaabu kiye baghair nahi rukegi. 556 00:38:31,157 --> 00:38:33,057 Aaj meray azeez maaray gaye. 557 00:38:33,987 --> 00:38:36,947 Bila zarurat, meray haathoun hi. 558 00:38:38,677 --> 00:38:40,437 Main aisa phir se honay nahi de sakti hun. 559 00:38:49,537 --> 00:38:54,260 Ab jab hum apnay bhaaiyon aur behnon ko samandar kay naam kartay hain, 560 00:38:55,127 --> 00:38:56,723 hum unki zindagiyon ko sharf pesh kartay hain. 561 00:38:58,330 --> 00:39:00,957 Hum paani se banay hain, 562 00:39:01,191 --> 00:39:03,130 hum paani mein hi lotengay. 563 00:39:13,824 --> 00:39:16,157 Humein jaldi se taqreeb anjaam deni hogi. 564 00:39:16,260 --> 00:39:18,317 Alie apni fauj bhejay gi. 565 00:39:18,627 --> 00:39:21,527 Aur humein kisi alehda jagah par amal mukamal karna hai. 566 00:39:21,977 --> 00:39:23,997 Tumhara maanna hai ke aik aisay dushman ko haraana 567 00:39:24,087 --> 00:39:25,817 jo kisi cheez keliye nahi ruk sakta 568 00:39:26,577 --> 00:39:28,677 tou kya khud ko kisi cheez par rokna chahiye? 569 00:39:31,007 --> 00:39:33,967 Ye khoon ka badla khoon lenay se kis tarah mukhtalif hai? 570 00:39:34,887 --> 00:39:36,347 Tum zara thehro. Luna. 571 00:39:37,337 --> 00:39:38,377 Tum aisay hi bas... 572 00:39:52,333 --> 00:39:53,247 Nahi. 573 00:40:45,202 --> 00:40:46,202 Ab kya karengay?