1 00:00:01,281 --> 00:00:02,751 Ab tak "The 100" mein... 2 00:00:03,196 --> 00:00:05,810 Carl Emerson, meray paas tumharay rehnuma keliye aik paighaam hai. 3 00:00:05,900 --> 00:00:08,596 Jab tak meray logon ko aazaad nahi kiya, main nahi rukungi. 4 00:00:08,687 --> 00:00:10,136 Agar tum nay unhein aazaad nahi kiya 5 00:00:10,227 --> 00:00:12,353 tou main paanchwi noiyat ki radiation khol dungi. 6 00:00:12,594 --> 00:00:16,237 Hum sab ko dard mila hai. Aik kisam ka dard jismaami hota hai. 7 00:00:17,124 --> 00:00:18,404 Is se woh takleef duur hojayegi. 8 00:00:19,643 --> 00:00:21,537 Wapis kaam par lagnay ka waqt aagaya hai, Raven. 9 00:00:21,628 --> 00:00:23,285 Roshniyoun ka Shehar waqai sacha hai! 10 00:00:23,376 --> 00:00:25,762 Aur kya iskay badolat main Roshniyoun kay Shehar main hunga? 11 00:00:27,629 --> 00:00:30,107 Hum tumhein itnay dinoun se dhoond rahay hain. 12 00:00:32,701 --> 00:00:33,872 Ye tou muqaddas nishaani hai. 13 00:00:34,598 --> 00:00:35,599 Kharay hojao. 14 00:00:35,689 --> 00:00:38,789 Baahar maujood Grounders is khaimay par humla karengay. 15 00:00:38,841 --> 00:00:40,270 Agar hum nay intezaar kiya tou maaray jaayengay. 16 00:00:40,360 --> 00:00:43,146 Ye zameen ab humari malkiyat hai. 17 00:00:43,440 --> 00:00:46,620 Agar koyi mazahmat karega tou usko maut se khush amad kiya jayega. 18 00:00:46,726 --> 00:00:50,797 Hum us mor par hain ke aik aur jung chhir sakti hai jisay tum rok sakti ho. 19 00:00:50,938 --> 00:00:52,878 Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai. 20 00:01:21,556 --> 00:01:24,232 Aray, aray, sab kheriyat se hai. 21 00:01:25,121 --> 00:01:26,420 Tum theek ho. 22 00:01:27,861 --> 00:01:29,341 Tumharay khwaab mein kya aaya? 23 00:01:29,883 --> 00:01:31,335 Jo mujhse pehlay kay Commander thay. 24 00:01:31,360 --> 00:01:33,194 Woh mujhse meray khwaab mein baat kartay hain. 25 00:01:34,535 --> 00:01:36,010 Main nay unko martay huwe dekha. 26 00:01:36,638 --> 00:01:40,219 Koyi jung chal rahi thi aur woh aik qaatil kay haathoun maaray gaye. 27 00:01:40,602 --> 00:01:42,446 -Ye sirf aik bura khwaab tha. -Nahi. 28 00:01:44,962 --> 00:01:46,590 Nahi. Ye mujhe khabardaar kiya gaya hai. 29 00:01:47,721 --> 00:01:49,922 Unko lagta hai main unki meeraas se faraib kar rahi hun. 30 00:01:50,998 --> 00:01:53,582 Khoon ka badla khoon humesha se... 31 00:01:54,863 --> 00:01:56,868 humari qom ka tareeqa kaar raha hai. 32 00:01:57,664 --> 00:01:58,692 Meri baat suno. 33 00:02:00,327 --> 00:02:03,086 Jung-bandi karwaana dhokay baazi nahi kehlaai jaati hai. 34 00:02:03,224 --> 00:02:06,824 Jung kay maidaan mein tumharay faislay se aik jung ruki hai. 35 00:02:09,553 --> 00:02:12,413 Tumhari meeraas mein aman hoga. 36 00:02:24,021 --> 00:02:27,048 Aray, ye... 37 00:02:28,070 --> 00:02:29,601 Ye abhi namukamal tasweer hai. 38 00:02:35,613 --> 00:02:36,629 Andar daakhil hojao. 39 00:02:40,335 --> 00:02:41,454 Mujhe maaf karna, Heda. 40 00:02:41,712 --> 00:02:43,342 Mujhe nahi maalum tha ke tum masroof ho. 41 00:02:50,235 --> 00:02:51,924 Kya tum mujhe batao gay ya nahi ke box mein kya hai? 42 00:02:52,015 --> 00:02:53,058 Mujhe maaf karna. 43 00:02:53,370 --> 00:02:56,965 Ye tohfa Azgeda kay Badshaah Roan nay bhijwaya hai Wanheda keliye. 44 00:02:58,450 --> 00:03:00,301 Jis kay zariye ye bhijwaaya tha us nay kaha tha 45 00:03:00,392 --> 00:03:02,762 ke ye Azgeda ki wafadaari ka saboot bhi hai itehaad ki taraf 46 00:03:03,559 --> 00:03:06,839 aur us sawaal ka jawaab bhi hai jis sawaal ka jawaab abhi tak mila nahi hai. 47 00:03:07,526 --> 00:03:08,655 Aapki ijaazat ho tou isay kholun? 48 00:03:10,628 --> 00:03:11,667 Isko khola jaaye. 49 00:03:19,823 --> 00:03:21,006 Emerson. 50 00:03:27,394 --> 00:03:31,044 Pakro isay! Isko yahan se bahar le jao! 51 00:03:31,409 --> 00:03:33,092 Isko abhi foran se pinjray mein band karo! 52 00:03:33,800 --> 00:03:34,841 Main theek hun. 53 00:04:24,260 --> 00:04:25,388 Kya kaam mukamal hogaya hai? 54 00:04:25,728 --> 00:04:27,300 Bas 10 martaba aur nikaal lu aur kaam mukamal hai. 55 00:04:32,846 --> 00:04:34,564 Pike kay karkun abhi bhi kaam kar rahay hain. 56 00:04:34,918 --> 00:04:36,402 Mitti aur paani kay namoonay lay jaa rahay hain. 57 00:04:36,557 --> 00:04:37,969 Kuch andaaza hai ke unka kya mansooba hai? 58 00:04:38,060 --> 00:04:40,270 Nahi, lekin jis lehaaz se woh hathiyaar se les hain 59 00:04:40,407 --> 00:04:42,225 mujhe lagta hai woh nahi chahtay ke kisi ko pata lagay. 60 00:04:45,446 --> 00:04:46,680 -Aray, yaar. -Kya huwa? 61 00:04:46,771 --> 00:04:48,989 Aik Grounder bacha aaya hai. Kuch dair thehro. 62 00:04:54,980 --> 00:04:56,100 Hello bachay. 63 00:04:58,618 --> 00:04:59,766 Darro mat. 64 00:05:01,779 --> 00:05:03,177 Hum usay waapis jaanay nahi day saktay hain. 65 00:05:03,421 --> 00:05:05,104 Woh apnay logon ko bata dega usnay humein dekha hai. 66 00:05:05,269 --> 00:05:07,088 Octavia, koyi jawaab dou. 67 00:05:07,946 --> 00:05:08,960 Hannah. 68 00:05:17,296 --> 00:05:19,468 Meray saath iska peecha karo. 69 00:05:20,036 --> 00:05:21,196 Octavia, kya tum sun rahi ho? 70 00:05:24,056 --> 00:05:26,723 Woh us bachay ka peecha kar rahay hain. Main jaa kar unka raasta rokti hun. 71 00:05:31,573 --> 00:05:32,578 Sab alag phail jao. 72 00:05:57,564 --> 00:05:58,564 Woh gum hogaya hai. 73 00:05:58,782 --> 00:06:00,200 Waapis se jheel kinaaray chalo. 74 00:06:00,735 --> 00:06:01,981 Woh ziada dur nahi gaya hoga. 75 00:06:36,904 --> 00:06:38,114 Koyi baat nahi. 76 00:06:40,804 --> 00:06:43,326 -Kane. -Haan. Kya tum theek ho? 77 00:06:44,328 --> 00:06:47,419 Tumhein pata lagana hoga ke Pike ka kya mansooba chal raha hai? 78 00:06:47,886 --> 00:06:51,427 Kuch bhi ho, woh isko raaz rakhnay keliye aik bachay ka qatal karnay waalay thay. 79 00:06:51,726 --> 00:06:53,501 Hum pata lagatay hain. Tum apni hifazat karo. 80 00:06:56,131 --> 00:06:58,881 Ab batao? Kuch mehsus horaha hai? 81 00:06:58,972 --> 00:07:01,127 Nahi. Sab theek hai. 82 00:07:02,215 --> 00:07:03,257 Takleef jaa chuki hai. 83 00:07:04,682 --> 00:07:05,702 Tumhara paon... 84 00:07:05,830 --> 00:07:07,839 -Abhi tak kaam nahi kar raha hai. -Main jaanti hun. 85 00:07:09,134 --> 00:07:10,395 Mujhe bas ab takleef nahi horahi hai. 86 00:07:14,206 --> 00:07:15,229 Aray, zara thehro. 87 00:07:19,530 --> 00:07:21,044 Tumhari putliyaan waseeh nahi huwi. 88 00:07:24,562 --> 00:07:26,993 Jaha nay mujhe Roshni kay Shehar ki Key di thi, Abby. 89 00:07:27,283 --> 00:07:28,646 Koyi nasha nahi karwaaya tha. 90 00:07:29,697 --> 00:07:31,531 Haan. Chalo dekhtay hain khoon kay test mein kya aata hai. 91 00:07:33,271 --> 00:07:35,766 -Mujhe laga tumhein meri liye khushi hogi. -Mujhe khushi hai. 92 00:07:37,575 --> 00:07:40,620 Takleef ka itni jaldi khatam hojana ghair maamuli baat hai. 93 00:07:42,293 --> 00:07:44,317 Tou kya ab main bay qusoor hun? 94 00:07:44,899 --> 00:07:45,944 Bazahir tou bay qusoor ho. 95 00:07:48,685 --> 00:07:50,599 Meri baat Sinclair tak pohancha dena 96 00:07:50,624 --> 00:07:52,566 ke tumhein kaam par jaanay ki ijazat hai 97 00:07:52,875 --> 00:07:57,072 lekin agar test mein kuch bhi ghalat aaya tou tumhein waapis se bitha diya jaayega. 98 00:07:57,768 --> 00:07:59,812 Aisi naubat nahi aayegi. Shukriya, doctor. 99 00:08:07,222 --> 00:08:08,949 Koyi agar puch guch karay tou kinara kashi kar lena. 100 00:08:09,040 --> 00:08:10,667 Main bata chuka hun ke koyi bhi maujood nahi hai. 101 00:08:17,660 --> 00:08:18,692 Aisay kya hans rahay ho? 102 00:08:18,871 --> 00:08:21,162 Tum nay kabhi socha nahi hoga ke hum sath qanoon ki khilaaf warzi karengay 103 00:08:21,253 --> 00:08:22,859 jab tum nay mujhe Ark par giraftaar kiya tha. 104 00:08:23,382 --> 00:08:24,585 Ye koyi khel nahi hai, Nate. 105 00:08:24,691 --> 00:08:27,550 Agar hum Pike ka mansooba pata nahi kar paaye tou aur logon ki jaan jaayegi. 106 00:08:27,714 --> 00:08:29,290 Chalo, phir pakray jaanay se bachat kartay hain. 107 00:08:34,640 --> 00:08:36,226 Chancellor Pike, aapko dekh kar khushi huwi. 108 00:08:38,140 --> 00:08:41,336 Kisi jagah chhupa kar rakhna ke nazroun mein naa aaye. 109 00:08:41,427 --> 00:08:42,906 Main tumhein kuch waqt dilwaata hun. 110 00:08:49,961 --> 00:08:50,983 Tum yahan ho. 111 00:08:51,074 --> 00:08:53,565 Jaha jo cheez baant raha hai us silsilay mein tum se baat karni hai. 112 00:08:53,656 --> 00:08:55,610 Nahi, koyi zarurat nahi. Woh Abby ka mehakma hai. 113 00:08:55,701 --> 00:08:58,850 -Mujhe dousray fori kaam karnay hain. -Jaisay kay jo qaid huwe Grounder hain? 114 00:08:58,940 --> 00:09:01,305 Unko sabki hifazat keliye nazarband kiya hai. 115 00:09:01,396 --> 00:09:02,867 Woh hum se madad maangnay aaye thay. 116 00:09:03,106 --> 00:09:05,299 Agar unki madad nahi kar saktay tou kam az kam unhein waapis bhej do. 117 00:09:05,390 --> 00:09:07,000 Woh humari zimedaari hain. Agar unhein chhor diya 118 00:09:07,091 --> 00:09:09,827 tou woh apni qom ko humaray difaah aur salahiyaton se aagah karengay. 119 00:09:09,918 --> 00:09:12,850 -Main sirf Lincoln ki baat kar raha hun. -Nahi, hum dushman ki baat kar rahay hain. 120 00:09:12,940 --> 00:09:14,440 Tamaam Grounder dushman nahi hain. 121 00:09:14,530 --> 00:09:17,560 Kane, hum pehlay bhi baat kar chukay hain. Inktikhaabaat se faisla huwa tha. 122 00:09:17,651 --> 00:09:19,842 Logon ki raaye rakhna fuzul baat hai, Charles. 123 00:09:19,972 --> 00:09:23,007 Meri zimedaari humein mehfuz rakhna hai, kisi keliye acha banna nahi hai. 124 00:09:23,772 --> 00:09:25,138 Phir acha kaam jaari rakho. 125 00:09:51,240 --> 00:09:52,571 Ye kaafi khush dikhai detay hain. 126 00:09:56,493 --> 00:09:59,246 Haan. Ye sab zarur khush dikh rahay hain. 127 00:10:01,497 --> 00:10:03,295 Aur aaj aur bhi log is khushi mein shaamil huwe hain. 128 00:10:04,021 --> 00:10:05,563 Mujhe pata hai tum laalchi ho rahay ho 129 00:10:05,654 --> 00:10:09,029 lekin pehlay mujhe pata laganay do ke ye hai kya, theek hai? 130 00:10:17,394 --> 00:10:19,559 Chalo, is mulaqaat mein kaam ki baat shuru ki jaaye. 131 00:10:19,696 --> 00:10:23,018 Hum khush aamad kartay hain Farm Station kay Monty Green 132 00:10:23,109 --> 00:10:25,120 aur kaarkhaanay ki larki Zoe Monroe ko. 133 00:10:25,210 --> 00:10:28,225 Aur hum apnay aglay zaruri iqdaam ki shuruwaat kartay hain. 134 00:10:28,315 --> 00:10:30,432 Jo kay nijaat kay zaraaye ko aur mazeed phelaana hai. 135 00:10:30,523 --> 00:10:33,378 Aur ye cheez rehnumai karegi. 136 00:10:33,469 --> 00:10:35,235 -Khaak? -Mitti. 137 00:10:35,512 --> 00:10:37,863 Aisi mitti jo kaasht kaari kay qaabil hai. 138 00:10:38,050 --> 00:10:41,170 Jab se hum yahan aaye hain, is se ziada kuch bhi zarkhaiz nahi mila. 139 00:10:41,277 --> 00:10:44,374 Hum darakhtoun ko kaat kar, aik maheenay mein hi fasal ugaana shuru kardengay. 140 00:10:44,680 --> 00:10:46,842 Hum shuruwaat mein soybean aur makai ugaayengay. 141 00:10:46,933 --> 00:10:48,268 Woh sab se taizi se barhtay hain. 142 00:10:50,642 --> 00:10:52,735 Koyi masla hai, Monty? Kya tumhein makai nahi pasand? 143 00:10:52,857 --> 00:10:54,870 Dar asal main nay kabhi bhi makai nahi khaai hai. 144 00:10:56,287 --> 00:10:57,563 Kya hum is jagah jaayengay? 145 00:10:58,199 --> 00:11:00,283 -Haan, yaheen ja rahay hain. -Yahan tou aik gaon hai. 146 00:11:00,374 --> 00:11:01,978 Aur wahan kay rihaishiyoun ka kya hoga? 147 00:11:02,069 --> 00:11:04,310 Ye Sector 4 hai. Hum is baaray mein baat kar chukay hain. 148 00:11:04,401 --> 00:11:07,459 -Wahan kay logon se khatra nahi hai. -Humein zameen ka woh hissa chahiye hai. 149 00:11:08,645 --> 00:11:10,849 Mount Weather kay wasaail kho denay kay baad, 150 00:11:10,940 --> 00:11:13,354 aik saal kay andar Arkadia mein kuch khaanay ko maujood nahi hoga. 151 00:11:18,418 --> 00:11:19,872 Nihaayat adab kay sath bolunga, sir, 152 00:11:20,480 --> 00:11:22,603 aap nay abhi tak Monty kay sawaal ka jawaab nahi diya. 153 00:11:22,847 --> 00:11:23,973 Tumhein jawaab maalum hai. 154 00:11:24,548 --> 00:11:27,766 Fasal taiyaar karnay keliye har zameen ko patharoun se nijaat dilaani hogi. 155 00:11:27,965 --> 00:11:31,014 Humein wahan aik bachay nay dekha tha tou unko humaray aanay ki khabar hogi 156 00:11:31,105 --> 00:11:33,824 lekin jab hum nay unki fauj ko haraaya tha tou unkay jungjoo fauji maaray gaye thay. 157 00:11:33,930 --> 00:11:36,603 -Kisi kisam ki muzahmat ki umeed nahi hai. -Woh sab Grounders hain. 158 00:11:37,805 --> 00:11:38,843 Woh muzahmat karengay. 159 00:11:41,608 --> 00:11:44,855 Woh muzahmat nahi bhi karein tou Commander kay paighaam mein saaf waazeh tha 160 00:11:45,766 --> 00:11:47,263 Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai. 161 00:11:47,354 --> 00:11:48,810 Iska matlab ye nahi ke hum is baat ka faida... 162 00:11:48,901 --> 00:11:50,199 Tum kis baat ki haami bharo gay? 163 00:11:50,290 --> 00:11:51,875 Apnay ghar keliye shaheed hojaana? 164 00:11:51,966 --> 00:11:53,308 Ya phir bhookay mar jaana? 165 00:11:56,349 --> 00:12:00,293 Kya tum apni qom ki zindagi keliye jo zaruri hai woh karogay ya nahi? 166 00:12:12,244 --> 00:12:13,752 Jo kaam zaruri hai, hum woh karengay. 167 00:12:19,413 --> 00:12:21,722 Uska asar tumharay faisloun par hota jaa raha hai... 168 00:12:21,813 --> 00:12:23,123 Mujhe laga tum wafa daar raho gay. 169 00:12:23,214 --> 00:12:26,105 Main wafa daar hun lekin tum zaati tor par kuch ziada hi... 170 00:12:26,959 --> 00:12:28,002 Woh aagai hai. 171 00:12:28,553 --> 00:12:30,922 -Tum mujhse milna chahti thi, Commander? -Haan. 172 00:12:32,847 --> 00:12:35,267 Mujhe us aakhri pahaari aadmi kay muqaddar ki baat karni hai. 173 00:12:35,939 --> 00:12:39,427 -Mera maanna hai uska qatal karna chahiye. -Woh khud baat kar sakti hai, Titus. 174 00:12:45,060 --> 00:12:46,300 Titus sahi keh raha hai. 175 00:12:50,218 --> 00:12:51,263 Tum nay ghor kiya? 176 00:12:53,098 --> 00:12:55,306 Badla lena insaani fitrat mein maujood hai. 177 00:12:56,275 --> 00:12:58,666 Aik dafa jab aas poori hoti hai tou hi sukuun milta hai. 178 00:12:58,927 --> 00:13:02,013 -Humara yehi tareeqa kaar hai. -Woh humara tareeqa kaar huwa karta tha. 179 00:13:06,636 --> 00:13:07,640 Clarke... 180 00:13:12,418 --> 00:13:14,688 Khoon ka badla khoon nahi lenay ki shart 181 00:13:15,112 --> 00:13:17,142 kya sirf meray qom kay logon keliye thi. 182 00:13:17,303 --> 00:13:19,146 Woh baat aik jung rooknay keliye thi. 183 00:13:19,666 --> 00:13:21,368 Ye aik jung khatam karnay ki baat hai. 184 00:13:22,106 --> 00:13:24,736 Maaf karna, lekin agar mera mashwara maang rahi ho 185 00:13:25,145 --> 00:13:26,725 tou main Titus ki baat se muttafiq hun. 186 00:13:27,190 --> 00:13:29,329 Usnay apnay kiye ki saza kay bator maut milni chahiye. 187 00:13:29,985 --> 00:13:31,711 Main mashwara nahi talaash kar rahi hun. 188 00:13:32,287 --> 00:13:33,655 Main aik faisla dhoond rahi hun. 189 00:13:34,691 --> 00:13:35,934 Isay tumhein tohfay mein diya gaya tha. 190 00:13:36,700 --> 00:13:39,700 Isnay tumharay logon kay khilaaf jurm anjaam diye hain. 191 00:13:42,545 --> 00:13:44,115 Tou phir kya faisla logi, Clarke... 192 00:13:47,357 --> 00:13:49,287 Usko humari zameenoun se jala watan kar dena 193 00:13:49,896 --> 00:13:52,582 ya phir tumharay haathoun 49 waaroun se maut? 194 00:13:53,764 --> 00:13:55,598 Tumharay paas faisla lenay keliye shaam tak ka waqt hai. 195 00:14:16,914 --> 00:14:18,837 Aray, aakhir kaar aagaye. Mera ghora kidher hai? 196 00:14:19,289 --> 00:14:20,994 Baahar hai. Tumhein dekh kar khushi huwi. 197 00:14:21,085 --> 00:14:22,566 Octavia, thori dair thehro. 198 00:14:22,735 --> 00:14:24,316 Kya tumhein lagta hai ke Grounders ka aik giroh 199 00:14:24,407 --> 00:14:26,331 tumharay kehnay par apna ghar bhaar chhor dengay? 200 00:14:26,716 --> 00:14:29,077 Ya tou unko bhaagna parega warna nist o naabood hojayengay. 201 00:14:29,516 --> 00:14:31,068 Aur agar woh chhornay keliye raazi nahi huwe? 202 00:14:31,159 --> 00:14:33,300 Tou phir hum apnay logon ko maut kay ghaat utaarengay. 203 00:14:34,370 --> 00:14:35,979 Agar tum apnay bhai se baat karo... 204 00:14:36,070 --> 00:14:38,590 Mera bhai ghalat logon kay sath hai. 205 00:14:38,762 --> 00:14:40,016 Tou kya hum koshish bhi nahi kar saktay? 206 00:14:40,107 --> 00:14:43,397 Tumhein andaaza hai kya tehalka machega jab Lexa ko pata chalega ke Skaikru 207 00:14:43,488 --> 00:14:45,628 nay Grounder kay aik aur gaon mein qatal o ghaarat ki? 208 00:14:48,537 --> 00:14:50,705 Jung hogi, humaray aur dost maaray jaayengay. 209 00:14:52,680 --> 00:14:53,876 Is humlay ko roknay se... 210 00:14:54,990 --> 00:14:56,277 aik jung roki jaa sakti hai. 211 00:15:20,554 --> 00:15:21,605 Kya tabiyat behtar mehsus huwi? 212 00:15:21,798 --> 00:15:24,223 Behtar? Main tou zabardast mehsus kar rahi hun. 213 00:15:24,559 --> 00:15:26,314 Tum dounon ka bohat shukriya. 214 00:15:26,407 --> 00:15:27,644 Shukriya, Raven. 215 00:15:28,201 --> 00:15:31,069 Tumhari wajah se aur bhi log Roshni kay Shehar ki taraf mutawaja hain. 216 00:15:31,160 --> 00:15:32,767 Meray laaiq koyi bhi kaam ho, main zarur karungi. 217 00:15:37,137 --> 00:15:38,145 Kya baat hai? 218 00:15:38,236 --> 00:15:40,989 Ab jo tum engineering core ka hissa ban gai ho... Alie ki badolat. 219 00:15:41,080 --> 00:15:42,879 Hum chahtay hain ke tum humara aik kaam karo. 220 00:15:42,970 --> 00:15:43,970 Bas naam lijiye. 221 00:15:44,061 --> 00:15:46,222 Main kaafi arsay se aik cheez ki talaash mein thi 222 00:15:46,567 --> 00:15:49,283 jisay main murdaar technology mein khoj rahi thi. 223 00:15:49,469 --> 00:15:52,039 Ye aik wajuhat mein se hai jiski wajah se hum Arkadia pehlay tashreef laaye. 224 00:15:52,232 --> 00:15:54,305 Mujhe yaqeen hai ke meray code ka dousra pehlu 225 00:15:54,396 --> 00:15:56,781 kaheen na kaheen Ark kay computer system mein maujood hai. 226 00:15:57,079 --> 00:15:59,555 Tumharay dousray pehlu ki kya zarurat thi? Kya tum mein koyi kharaabi thi? 227 00:15:59,646 --> 00:16:01,898 -Is mein koyi kharaabi nahi hai. -Bura mat maanna. 228 00:16:02,102 --> 00:16:04,022 Main bas baat kar rahi hun ke programmers aur engineers 229 00:16:04,113 --> 00:16:05,851 us waqt tak dousra pehlu taiyaar nahi kartay jab tak... 230 00:16:05,942 --> 00:16:06,980 Raven... 231 00:16:08,075 --> 00:16:09,133 Haan, bilkul. 232 00:16:10,663 --> 00:16:12,072 Haan, main bilkul tumhari madad karungi. 233 00:16:12,256 --> 00:16:13,264 Lekin mujhe yaqeen hai 234 00:16:13,355 --> 00:16:16,160 ke agar Ark mein koyi AI maujood tha tou uski khabar mujhe zarur hoti. 235 00:16:16,251 --> 00:16:18,379 Woh shayad aik muaatil shudaa program hoga 236 00:16:19,351 --> 00:16:21,068 ya phir naamukamal hoga. 237 00:16:21,731 --> 00:16:24,003 Agar tum mujhe mainframe tak rasaai dilwa sako gi, 238 00:16:24,108 --> 00:16:26,978 tou main usay dhoond kar baqia code ko download kar lungi. 239 00:16:27,548 --> 00:16:28,992 Ye aik acha mansooba lagta hai, Red. 240 00:16:30,939 --> 00:16:32,514 Tum say dousri taraf mulaaqat hoti hai. 241 00:16:36,197 --> 00:16:38,749 Tum usko meray baaray mein sach kyun nahi bata rahay thay? 242 00:16:39,489 --> 00:16:40,899 John Murphy ko sachaai maalum thi 243 00:16:40,990 --> 00:16:42,688 aur tumhein yaad ho tou tum usay gawa bethay thay. 244 00:16:42,956 --> 00:16:45,142 John Murphy nay kabhi Roshni ka Shehar nahi dekha tha. 245 00:16:45,309 --> 00:16:47,333 Phir isko dhair saari ehtiyaat karna samajh lo. 246 00:16:47,987 --> 00:16:50,327 Akhir kaar hum us se aisa kaam karnay ko bol rahay hain jis se woh 247 00:16:50,723 --> 00:16:54,019 aik jadeed computer program dhoondegi jis nay duniya ka khaatma kiya tha. 248 00:17:05,162 --> 00:17:07,708 -Ye tou kaafi hathiyaar hain. -Umeed karo iski zarurat na paray. 249 00:17:08,709 --> 00:17:09,753 Humara mansooba kya hai? 250 00:17:10,223 --> 00:17:11,510 Mustaqbil kay silsilay mein hai. 251 00:17:12,347 --> 00:17:14,307 Ye tou humaray maazi jaisa lag raha hai. 252 00:17:15,040 --> 00:17:16,973 Hum aik zindagi bananay ki koshish kar raha hain. 253 00:17:17,378 --> 00:17:21,555 Aik aisi qom se aman qaayem karna chah rahay hain jo sirf jung larti hai. 254 00:17:21,660 --> 00:17:22,691 Bilkul durust kaha. 255 00:17:24,804 --> 00:17:27,636 Hannah, tumhein apna beta abhi haal mein hi mila hai. 256 00:17:27,984 --> 00:17:29,474 Usko wahan marnay keliye mat bhejo. 257 00:17:29,565 --> 00:17:31,105 Kisi ki bhi jaan nahi jaayegi. 258 00:17:37,593 --> 00:17:38,724 Chalo ab rawaana hona hai. 259 00:17:44,150 --> 00:17:46,840 Aray, tum kahan par thay? 260 00:17:46,930 --> 00:17:48,820 Mujhse ghora gum gaya. 261 00:17:49,380 --> 00:17:51,310 Dar asal, ghora bhaag gaya tha lekin... 262 00:17:52,509 --> 00:17:53,648 Mujhe khushi hai ke tum salamat ho. 263 00:17:54,590 --> 00:17:56,262 Kaash tumhein inkay sath jaana na parta. 264 00:17:57,252 --> 00:17:58,306 Aaj hi rawana hona hai, Bryan. 265 00:18:01,186 --> 00:18:02,191 Kaam par se bulaawa aagaya hai. 266 00:18:02,318 --> 00:18:05,088 Haan. Suno, apna dehaan rakhna. 267 00:18:08,778 --> 00:18:09,788 Theek hai. 268 00:18:49,389 --> 00:18:50,979 Main tumhein takleef pohanchaanay nahi aai hun. 269 00:18:52,060 --> 00:18:53,564 Main tumhein takleef pohanchaanay nahi aai hun. 270 00:18:57,590 --> 00:19:00,034 Jhooti. Main tumhein dekh chuka hun. 271 00:19:00,326 --> 00:19:01,886 Tum pahari wali jung ka hissa thi. 272 00:19:02,515 --> 00:19:04,382 Iska taaluq Skaikru se hai. 273 00:19:04,676 --> 00:19:08,776 Tumharay hathiyaaroun se humari behnoun aur bhaaiyoun ki maut huwi hai. 274 00:19:09,210 --> 00:19:11,279 Un sipahiyoun ki maut huwi hai jinhein Commander nay bheja tha 275 00:19:11,370 --> 00:19:13,173 tum logon ki hifazat kay silsilay mein. 276 00:19:13,410 --> 00:19:15,425 Mujhe tumharay nuqsaan ka afsos hai 277 00:19:16,020 --> 00:19:17,583 lekin main yahan mohtaat karnay aai hun 278 00:19:17,725 --> 00:19:21,399 ke jin sipaahiyoun nay aisa kiya tha woh sab is taraf hi rawaana hain. 279 00:19:22,336 --> 00:19:23,821 Unhein tumhari zameenein chahiye hain 280 00:19:23,935 --> 00:19:27,240 aur usko paanay keliye woh tum sab ko maar daalengay. 281 00:19:27,630 --> 00:19:30,500 Tum sabko foran se ye jagah chhorni hogi. 282 00:19:30,590 --> 00:19:31,900 Kya tum humein dhamka rahi ho? 283 00:19:40,240 --> 00:19:41,923 Main madad karnay ki koshish kar rahi hun! 284 00:19:42,510 --> 00:19:44,258 Hum tumhara yaqeen kyun karein? 285 00:19:44,855 --> 00:19:47,188 Kyunke is nay mujhe bachaaya tha, Semet. 286 00:19:50,310 --> 00:19:52,090 Kya tum nay Gavriel ki jaan bachai thi? 287 00:19:59,722 --> 00:20:00,735 Yahan se jaana mat. 288 00:20:05,474 --> 00:20:08,024 Meri pitaai honay se pehlay nahi keh saktay thay? 289 00:20:14,858 --> 00:20:18,122 Puraani chott ka dard sirf raat gaye nahi jaa sakta. 290 00:20:18,213 --> 00:20:19,773 Malumaat batati hai ke aisa mumkin hai. 291 00:20:20,740 --> 00:20:22,845 Serotonin aur Dopamine ki bhaari miqdaar ka tasalsul 292 00:20:22,936 --> 00:20:25,002 Raven kay khoon mein uski baatoun kay muttabiq hai 293 00:20:25,027 --> 00:20:26,875 aur kyunke ye maamool kay muttabiq hai 294 00:20:27,854 --> 00:20:29,619 tou mujhe nahi lagta ke ye kisi nashay ka asar hai. 295 00:20:31,862 --> 00:20:32,946 Tum maayoos dikhai deti ho. 296 00:20:34,547 --> 00:20:35,548 Nahi. 297 00:20:36,454 --> 00:20:37,472 Bas hairat horahi hai. 298 00:20:37,862 --> 00:20:40,191 Hum itnay sakht lamhaat se guzray hain 299 00:20:40,216 --> 00:20:44,239 ke hum umeed ko bhi nahi pehchaan paatay hain 300 00:20:45,889 --> 00:20:47,578 bhalay woh humaray saamnay hi kyun na ho. 301 00:20:52,265 --> 00:20:55,062 Jackson, tum hawaalat mein jaa kar Grounder mareezoun ki jaanch partaal karo. 302 00:20:55,153 --> 00:20:56,843 Mujhe waapis aakar khabar dena, theek hai? 303 00:21:03,463 --> 00:21:05,284 Octavia ab tak gaaon pohanch chuki hogi 304 00:21:07,120 --> 00:21:09,664 lekin agar woh unko jagah chhornay par raazi nahi kar paai... 305 00:21:09,755 --> 00:21:11,333 Tumharay bas mein jo tha woh tum nay kiya. 306 00:21:11,424 --> 00:21:12,443 Nahi. 307 00:21:14,391 --> 00:21:15,718 Nahi, main nahi kar paaya. 308 00:21:16,317 --> 00:21:18,019 Main nay aisa honay diya. 309 00:21:20,929 --> 00:21:22,847 Main nay intekhaabat ki peshkash ki thi. 310 00:21:29,527 --> 00:21:31,136 Aur ab humara Chancellor Pike bana hai. 311 00:21:33,020 --> 00:21:34,960 Aisi jung shuru honay wali hai jisay hum jeet nahi saktay 312 00:21:36,510 --> 00:21:38,067 aur main usko rukwaanay keliye 313 00:21:38,484 --> 00:21:41,696 bachon ko khatray mein bhejnay kay elawa kuch nahi kar sakta. 314 00:21:42,544 --> 00:21:43,560 Aray... 315 00:21:45,004 --> 00:21:46,746 Agar tum nay ab tak ghor nahi kiya hai 316 00:21:47,160 --> 00:21:48,536 tou woh ab bachay nahi rahay hain. 317 00:21:51,054 --> 00:21:53,235 Clarke kay ghaayeb honay kay baad ab sirf Bellamy kuch kar sakta hai. 318 00:21:54,292 --> 00:21:57,499 Main usko samjhaanay ki koshish kar chuka hun lekin Pike ka us par ziada asar hai 319 00:21:58,193 --> 00:22:00,665 aur usko lag raha hai ke woh theek kaam kar raha hai. 320 00:22:01,912 --> 00:22:03,497 Har koyi aisa hi karta hai. 321 00:22:14,339 --> 00:22:15,340 Ye kisliye tha? 322 00:22:20,929 --> 00:22:22,222 Isay umeed hi samajh lo. 323 00:22:27,336 --> 00:22:28,648 Tou ye tay-shudaa hai. 324 00:22:28,781 --> 00:22:31,389 Main dousron ko aagah karta hun, tum larki ko sambhaalo. 325 00:22:33,778 --> 00:22:35,015 Tum chaaho tou isay pyaar karsaktay ho. 326 00:22:43,485 --> 00:22:44,513 Gavriel... 327 00:22:44,604 --> 00:22:45,673 Apna samaan taiyaar karo. 328 00:22:46,336 --> 00:22:47,351 Chalo jao. 329 00:22:50,768 --> 00:22:52,353 Iskay waaldein fauj ka hissa thay 330 00:22:53,229 --> 00:22:55,231 aur dounon Skaikru kay hathiyaaroun se maaray gaye. 331 00:22:56,260 --> 00:22:57,879 Tum logon nay jagah chhornay ka faisla kar liya hai. 332 00:22:58,532 --> 00:23:02,226 Ye tum bhi jaanti ho ke hum Skaikru ka saamna nahi kar saktay hain. 333 00:23:03,249 --> 00:23:07,361 Tumhara ye iqdaam jung keliye taiyaar honay jaisa bahadur hai, Semet. 334 00:23:31,111 --> 00:23:33,246 -Ye kis cheez keliye hai? -Tumhein lagta hai tum humein jaanti ho? 335 00:23:34,318 --> 00:23:35,940 Tumhein kuch nahi maalum, larki. 336 00:23:41,314 --> 00:23:43,663 Sab cheezain taiyaar hain. Bas tumhein in sab se jorna hai. 337 00:23:44,681 --> 00:23:45,891 Kya main aik sawaal puchun? 338 00:23:46,705 --> 00:23:48,707 Dousri AI ko khila mein kyun rakha hoga? 339 00:23:50,170 --> 00:23:53,648 Meri maabood ko aik ziada mehfuz mahol ki zarurat thi. 340 00:23:54,407 --> 00:23:55,617 Tou kya tum bhi khila mein gai thi? 341 00:23:56,453 --> 00:23:57,495 Nahi. 342 00:23:57,586 --> 00:24:01,013 Usay meri hi wajah se aik mehfuz mahol darkaar tha. 343 00:24:08,328 --> 00:24:09,358 Woh ab jur chuki hai. 344 00:24:13,714 --> 00:24:14,725 Kaun jur gai hai? 345 00:24:14,884 --> 00:24:17,429 Jasper, tumhein yahan neechay aanay ki ijazat nahi hai. 346 00:24:17,552 --> 00:24:18,999 Mujhe pabandiyoun se kabhi farq nahi para hai. 347 00:24:19,440 --> 00:24:21,401 Kya ye Jaha ka samaan hai? 348 00:24:26,848 --> 00:24:28,066 Tumhein kya chahiye, Jasper? 349 00:24:28,657 --> 00:24:29,839 Main maafi maangnay aaya tha. 350 00:24:30,420 --> 00:24:33,628 Main nay shayad Finn ki raakh churai hogi 351 00:24:33,719 --> 00:24:35,596 aur dropship par phailai hogi. 352 00:24:37,291 --> 00:24:40,294 Tum ghussa tou nahi ho naa? 353 00:24:42,352 --> 00:24:43,395 Main ghussa nahi hun. 354 00:24:44,028 --> 00:24:45,076 Theek hai. 355 00:24:45,361 --> 00:24:48,952 Tum nay kaunsa nasha kiya huwa hai aur main kaisay haasil kar sakta hun? 356 00:24:52,296 --> 00:24:53,310 Bohat aasaan baat hai. 357 00:24:55,028 --> 00:24:57,339 Main nay faisla kar liye ke bas bohat kuch seh liya hai. 358 00:24:58,088 --> 00:24:59,548 Tum nay bhi bohat kuch saha hai, Jasper. 359 00:24:59,880 --> 00:25:02,842 Agar tum taiyaar ho tou Jaha kay paas Key hai. 360 00:25:08,109 --> 00:25:09,110 Humein kuch waqt akela chhor do. 361 00:25:19,378 --> 00:25:22,086 Carl Emerson, Mount Weather kay hifazati iqdaamaat sambhaaltay thay. 362 00:25:23,329 --> 00:25:25,165 Main nay woh laqab suna jis se tumhein pukaara jaata hai... 363 00:25:25,483 --> 00:25:28,862 Wanheda, Maut ki Commander. 364 00:25:30,118 --> 00:25:33,553 Mujhe ye pata hona chahiye tha ke tum nay pahaar ko tabah karnay ka hukam diya tha. 365 00:25:34,623 --> 00:25:36,333 Main nay Mount Weather tabah nahi kiya tha. 366 00:25:37,458 --> 00:25:38,504 Tum nay kiya tha. 367 00:25:40,006 --> 00:25:41,841 381 log... 368 00:25:43,341 --> 00:25:45,093 jis mein se 182 mard thay... 369 00:25:45,959 --> 00:25:47,794 173 auratein thi... 370 00:25:49,787 --> 00:25:51,096 26 bachay thay. 371 00:25:54,416 --> 00:25:55,834 Jin mein se dou tou meray thay. 372 00:26:00,140 --> 00:26:02,851 Tumharay Sadar nay aur koyi chaara nahi chhora tha. 373 00:26:08,221 --> 00:26:09,297 Kya baat hai? 374 00:26:11,170 --> 00:26:13,450 Tumhein apnay andar basay jalaad ka saamna karna pasand nahi hai? 375 00:26:16,699 --> 00:26:20,351 Agar tumhein reham chahiye tou tumhein uski iltijah mujhse karni hogi. 376 00:26:23,264 --> 00:26:24,641 Mujhe reham nahi chahiye. 377 00:26:26,226 --> 00:26:27,894 Mujhe apna badla pura karna hai. 378 00:26:29,025 --> 00:26:32,612 Jo kuch main nay saha hai, waisa hi tum sab kuch saho. 379 00:26:36,383 --> 00:26:37,884 Tum mujhe marwa sakti ho, Clarke. 380 00:26:38,587 --> 00:26:40,464 Lekin tum apnay amaal se kabhi munh nahi phair sakti ho. 381 00:26:40,659 --> 00:26:42,295 Meri takleef ka ikhtitaam aaj hoga! 382 00:26:42,535 --> 00:26:44,777 Tumhari takleef ki tou abhi shuruwaat huwi hai! 383 00:26:53,694 --> 00:26:56,446 Titus, tum meray kamray mein kya kar rahay ho? 384 00:26:59,730 --> 00:27:02,191 Tum nay aman ki itni baatein ki hain 385 00:27:03,497 --> 00:27:06,148 ke mujhe lagta hai waqt aagaya hai ke ab hum bhi aapas mein sulaah kar lein. 386 00:27:08,132 --> 00:27:09,154 Theek hai. 387 00:27:20,478 --> 00:27:22,891 Main samajh sakta hun tum kis soorat e haal se guzar rahi ho, Clarke. 388 00:27:23,037 --> 00:27:26,702 Lexa ko manaanay kay baad ke woh humaray faujiyoun kay qatal ka badla na le 389 00:27:26,793 --> 00:27:28,250 ab tumharay liye khud mushkil hogaya hoga 390 00:27:28,621 --> 00:27:30,719 ke apna badla kaisay poora karo. 391 00:27:31,449 --> 00:27:32,963 Shayad tum ab ye samajh chuki hogi 392 00:27:33,054 --> 00:27:36,035 ke is laaye amal par chalna humari qom keliye kitna mushkil hoga. 393 00:27:36,507 --> 00:27:39,176 Is ka taaluq tumhari fauj kay sath huwe haadsay se nahi hai. 394 00:27:40,219 --> 00:27:41,613 Emerson qusoorwaar hai. 395 00:27:42,959 --> 00:27:45,160 Kuch logon ki ghalti ki wajah se puri qom ka qatal karna 396 00:27:45,251 --> 00:27:46,399 insaaf nahi kehlaata hai. 397 00:27:46,602 --> 00:27:50,236 Kya tum nay kuch logon ki ghalti ki wajah se uski qom ko tabah nahi kiya tha? 398 00:27:52,099 --> 00:27:55,500 Tum aik rehnuma ho, Clarke. Lexa tumhari baat maanti hai. 399 00:27:58,934 --> 00:28:00,689 Uski hifazat karnay mein meri madad karo. 400 00:28:01,666 --> 00:28:03,499 Khoon ka badla khoon se naa lena aik ehmaqaana baat hai. 401 00:28:03,590 --> 00:28:06,123 Humari qom is baat ko qubool nahi karegi aur mujhe darr hai... 402 00:28:08,344 --> 00:28:10,225 Mujhe darr hai iski wajah se woh maari naa jaye. 403 00:28:13,900 --> 00:28:15,852 Main tumhari aisay kaam mein madad nahi kar sakti 404 00:28:15,943 --> 00:28:18,092 jis se meri qom kay khilaaf jung chhir jaye. 405 00:28:30,104 --> 00:28:31,647 Phir tou hum aik kushmokash mein aagaye hain. 406 00:28:49,585 --> 00:28:50,729 Kya is se koyi takleef hogi? 407 00:28:52,375 --> 00:28:53,398 Ye taiyaar hogaya hai. 408 00:28:55,043 --> 00:28:57,187 Is se takleef pohanchti nahi balkeh takleef ka khaatma hota hai. 409 00:28:59,307 --> 00:29:02,730 Lekin agar meri takleef ka taaluq jism se nahi 410 00:29:02,821 --> 00:29:05,205 balkeh dimagh se ziada ho, tou? 411 00:29:06,557 --> 00:29:07,828 Takleef jesi bhi ho takleef kehlaati hai. 412 00:29:08,033 --> 00:29:09,299 Takleef jesi bhi ho takleef kehlaati hai. 413 00:29:12,100 --> 00:29:14,300 Tumharay zakhamon kay nishaan bohat gehray hain, Jasper. 414 00:29:17,071 --> 00:29:19,111 Zakham bharnay kay baad hi uskay nishaan aatay hain. 415 00:29:26,489 --> 00:29:27,894 Main tum se dousri taraf milta hun. 416 00:29:30,635 --> 00:29:31,860 Kya main koyi mudaakhlat kar rahi hun? 417 00:29:33,601 --> 00:29:36,228 Bilkul bhi nahi. Aao humaray sath betho. 418 00:29:38,426 --> 00:29:39,517 Kya ye main dekh sakti hun? 419 00:29:45,935 --> 00:29:48,479 Is kay zariye tum shayad maujizaat anjaam detay ho. 420 00:29:48,879 --> 00:29:49,905 Ye cheez hai kya? 421 00:29:50,264 --> 00:29:52,975 Aur mujhe nahi sunna ke isay Key kehtay hain. 422 00:29:53,824 --> 00:29:55,159 Iskay peechay ki science batao mujhe. 423 00:29:56,283 --> 00:29:57,316 Koyi baat nahi. 424 00:29:58,255 --> 00:29:59,310 Tum isay batao. 425 00:30:01,381 --> 00:30:03,148 Ye aik silicon par mubni aala hai. 426 00:30:03,239 --> 00:30:06,817 Aik dafa jab isay khaa liya jaata hai tou ye dimagh se jur jaati hai 427 00:30:06,908 --> 00:30:09,691 aur takleef milnay waalay zaraye mein mudaakhlat karti hai 428 00:30:09,908 --> 00:30:14,096 jis se asaabi kamzoriyoun ki nishurnuma ko rokti hai. 429 00:30:16,529 --> 00:30:18,074 Behtar hai isay bas Key kaha jaaye. 430 00:30:19,351 --> 00:30:21,713 Tumhein aiteraaz na ho tou kya main iski jaanch partaal kar sakti hun? 431 00:30:21,842 --> 00:30:25,471 Mujhe bas dekhna hai ke iskay koyi mazar asraat na hon. 432 00:30:25,932 --> 00:30:29,051 Kya tum nay iski jaanch kiye baghair Wells ko khilaaya hota? 433 00:30:30,782 --> 00:30:31,809 Wells? 434 00:30:36,122 --> 00:30:37,141 Tumhara beta. 435 00:30:40,529 --> 00:30:41,533 Haan. 436 00:30:43,149 --> 00:30:45,359 Aray, haan, bilkul. 437 00:30:46,960 --> 00:30:48,378 Jasper, mujhe akelay mein kuch baat karni hai. 438 00:30:49,473 --> 00:30:50,640 Kya mujhe ye waapis milegi? 439 00:30:51,547 --> 00:30:53,299 Abhi, jao yahan se. 440 00:31:00,597 --> 00:31:01,948 Main is amal ko abhi foran rok rahi hun. 441 00:31:03,873 --> 00:31:05,032 Iski koyi zarurat nahi hai. 442 00:31:05,123 --> 00:31:08,095 Abby, main nay apnay betay kay baaray mein aik arsay se nahi socha hai. 443 00:31:09,525 --> 00:31:12,032 Maaf karna. Main nahi ijaazat deti ke tum ye dousron ko khilao 444 00:31:12,123 --> 00:31:14,257 jab tak main iski khud jaanch partaal nahi kar leti. 445 00:31:17,455 --> 00:31:20,125 Main takleef ko dur karnay ki koshish kar raha hun 446 00:31:21,219 --> 00:31:22,434 bilkul jaisay tum kar rahi ho. 447 00:31:22,525 --> 00:31:23,612 Ye jo kuch bhi ho... 448 00:31:25,330 --> 00:31:27,541 takleef kay sath sath aur bhi bohat kuch duur horaha hai is se. 449 00:31:42,134 --> 00:31:43,803 Hum isay apnay maqsad ko roknay nahi day saktay. 450 00:31:44,539 --> 00:31:47,042 Fikar mat karo, Thelonious. 451 00:31:53,092 --> 00:31:54,510 Main us par nigah rakhunga. 452 00:32:14,812 --> 00:32:16,190 Jaal taiyaar ho chuka hai. 453 00:32:16,999 --> 00:32:19,600 Jaisay hi jaal bichh jayega hum Polls ki taraf rawaana hojayengay. 454 00:32:20,689 --> 00:32:22,302 Humein iska qatal kar dena chahiye. 455 00:32:23,841 --> 00:32:26,271 Commander ko ye baat zarur sunaani hogi 456 00:32:26,362 --> 00:32:28,010 woh bhi is Khilaai Qom ki zubaani. 457 00:32:30,813 --> 00:32:32,189 Woh dekho! Woh aagaye hain. 458 00:32:46,702 --> 00:32:47,813 Mujhe kuch sunai nahi day raha. 459 00:32:48,362 --> 00:32:49,614 Shayad ghar par koyi nahi hai. 460 00:32:56,161 --> 00:32:58,247 Hello? Koyi maujood hai yahan? 461 00:32:58,753 --> 00:33:00,457 Shayad woh gaari ki roshni dekhtay hi bhaag gaye. 462 00:33:12,326 --> 00:33:13,925 Roko usay, woh unko khabardaar kardegi! 463 00:33:18,691 --> 00:33:21,022 Isko roshan kardo! Unkay aanay ka intezar karna. 464 00:33:34,570 --> 00:33:35,852 Meray daayein jaanib koyi hai. 465 00:33:37,271 --> 00:33:40,084 Bellamy! Unko wahan se bahar nikaalo! 466 00:33:40,770 --> 00:33:41,787 Ye aik jaal hai! 467 00:33:41,957 --> 00:33:42,957 Taiyaar hojao! 468 00:33:43,702 --> 00:33:46,642 -Nishaana lagao! -Hum par humla huwa hai! Bacho! 469 00:33:47,963 --> 00:33:50,174 Ye zehreela dhwaan hai! 470 00:33:54,228 --> 00:33:55,649 Peechay hatto! Peechay hatto! 471 00:33:55,888 --> 00:33:58,599 Dhwein se peechay hatto. Waapis se gaari ki taraf jao. 472 00:34:00,142 --> 00:34:02,311 Monty! Meri madad karo! 473 00:34:03,344 --> 00:34:06,273 -Mujhe jaanay dou! -Meri madad karo! 474 00:34:07,775 --> 00:34:09,180 Mujhe usay bachana hi hoga. 475 00:34:09,568 --> 00:34:11,528 -Monroe! -Monty! 476 00:34:11,945 --> 00:34:13,630 Peechay hatto! Peechay hatto! 477 00:34:13,989 --> 00:34:15,590 Hannah, chalo! 478 00:34:15,964 --> 00:34:16,986 Chalo! 479 00:34:17,076 --> 00:34:20,310 Monroe! Monroe! 480 00:34:29,963 --> 00:34:31,173 Monty! 481 00:34:33,300 --> 00:34:34,760 Monty, chalo. 482 00:34:35,012 --> 00:34:36,640 Humein isay dhwein se duur rakhna hoga. 483 00:34:49,525 --> 00:34:51,140 Inko humari khabar kaisay huwi? 484 00:34:56,704 --> 00:34:57,727 Monroe? 485 00:34:59,062 --> 00:35:00,563 -Monroe. -Nahi. 486 00:35:01,288 --> 00:35:02,704 Ye tumhari behan ka kiya dhara hai. 487 00:35:04,142 --> 00:35:05,393 Usko is baat ki kaisay khabar thi? 488 00:35:06,404 --> 00:35:08,001 Humaray camp mein dhokay baaz bhi hain. 489 00:35:53,701 --> 00:35:55,204 Aaj raat hum sab ikhatta huwe hain, 490 00:35:56,434 --> 00:35:58,839 jaise hum kayi baar pehli bhi huay hain 491 00:35:59,219 --> 00:36:01,551 aik shakhs ko marta dekhnay kay silsilay mein. 492 00:36:04,318 --> 00:36:05,389 Wanheda... 493 00:36:15,042 --> 00:36:16,572 Tum apna badla pura kar sakti ho. 494 00:36:38,567 --> 00:36:39,580 Nahi. 495 00:36:56,050 --> 00:36:58,290 Mujhe nahi ilm ke kya tumhari maut se mujhe sukuun mil jayega. 496 00:36:59,320 --> 00:37:01,210 Bas itna pata hai ke main iski haqdaar nahi. 497 00:37:02,580 --> 00:37:03,885 Is aadmi ko maarna parega. 498 00:37:04,935 --> 00:37:07,065 Agar aik Skaikru isay nahi maaregi tou phir Heda maaregi. 499 00:37:07,090 --> 00:37:10,550 Heda apni baat kar sakti hai. Bohat huwa, Titus. 500 00:37:10,640 --> 00:37:11,792 Ye kya bakwaas hai? 501 00:37:13,560 --> 00:37:15,750 Main tumhein tumharay kiye ki wajah se nahi maarungi. 502 00:37:16,230 --> 00:37:18,006 Main tumhein apnay kiye ki wajah se maarungi. 503 00:37:21,036 --> 00:37:23,527 Main is shakhs ko zindagi bakhshti hun. 504 00:37:25,989 --> 00:37:27,668 Khoon ka badla khoon zaruri nahi hai. 505 00:37:33,871 --> 00:37:35,071 Khaamosh raho sab! 506 00:37:35,135 --> 00:37:37,537 Pahaar par huwe jitnay bhi jurm thay 507 00:37:37,779 --> 00:37:39,603 uska azaala sirf aik aadmi nahi kar sakta. 508 00:37:41,050 --> 00:37:42,600 Wanheda is baat ko samajhti hai. 509 00:37:44,568 --> 00:37:47,738 Iskay amal kay zariye humein aik nayaa mustaqbil dikhta hai. 510 00:37:48,760 --> 00:37:52,749 Aik aisi duniya jis mein tashadud ka jawab humesha tashadud se nahi milta, 511 00:37:54,290 --> 00:37:57,004 aik aisi duniya jis mein humari nasalein aabaad ho sakti hain 512 00:37:57,746 --> 00:37:59,581 maut kay saaye kay baghair. 513 00:38:12,180 --> 00:38:14,771 Is qaidi ko humari saltanat ki jagahon se nikaal diya jaayega. 514 00:38:15,355 --> 00:38:16,466 Ye zinda tou rahega, 515 00:38:16,700 --> 00:38:20,412 lekin ye apnay khowe huwe logon kay bhooton kay humrah rahega 516 00:38:21,389 --> 00:38:23,432 jo iskay sath iskay martay dam tak maujood hongay 517 00:38:23,767 --> 00:38:28,355 is baat ko mad-e-nazar rakhtay huwe ke ye apni qom ka aakhri shakhs hai. 518 00:38:37,756 --> 00:38:39,132 Tumhari umar daraaz ho. 519 00:38:54,930 --> 00:38:56,400 Aap mujhse milna chahtay thay, sir? 520 00:39:02,396 --> 00:39:03,734 Tumhari tabiyat kesi hai? 521 00:39:04,010 --> 00:39:05,209 Kaafi behtar hun. 522 00:39:06,179 --> 00:39:07,755 Haan. Hum sab kaafi behtar hogaye hain. 523 00:39:10,934 --> 00:39:12,942 Mujhe tumhari behan kay baaray mein baat karni hai. 524 00:39:13,715 --> 00:39:16,058 Uski wajah se humaray dou logon ki maut huwi hai. 525 00:39:16,416 --> 00:39:20,121 Aur us khaak mein zehreeli raakh milnay se woh zameen naakaara hogai hai. 526 00:39:20,212 --> 00:39:22,891 Is mein Grounders ka qusoor hai. Octavia unhein khabardaar kar rahi thi. 527 00:39:22,982 --> 00:39:25,582 Haan, aur aisa unko khabardaar karnay kay baad huwa hai. 528 00:39:34,440 --> 00:39:36,978 Humaray camp mein koyi maujood hai jo usay khabar day raha hai. 529 00:39:37,522 --> 00:39:39,054 Main jaanna chahta hun ke woh kaun hai. 530 00:39:39,673 --> 00:39:41,287 Hum dounon jaantay hain ke woh kaun hai. 531 00:39:43,949 --> 00:39:44,980 Kane. 532 00:39:50,472 --> 00:39:51,852 Humaray paas koyi saboot nahi hai. 533 00:39:54,320 --> 00:39:55,740 Humein saboot ikhata karnay hongay. 534 00:39:58,026 --> 00:39:59,042 Jee, sir. 535 00:40:02,710 --> 00:40:03,710 Tum ab jaa saktay ho. 536 00:40:12,390 --> 00:40:14,843 Baraaye meharbaani meri baat suno? 537 00:40:14,933 --> 00:40:17,144 Main Clarke kay baaray mein aur kuch nahi jaanta hun. 538 00:40:17,386 --> 00:40:19,376 Suno. Main aur kuch nahi jaanta hun. 539 00:40:20,938 --> 00:40:22,128 Clarke ki baat chhoro. 540 00:40:23,730 --> 00:40:25,035 Mujhe iskay baaray mein batao. 541 00:40:26,587 --> 00:40:29,006 Humaray paas kuch razamand log hain lekin Keys nahi hain. 542 00:40:29,094 --> 00:40:30,259 Ye aik maslay ki baat hogi. 543 00:40:30,640 --> 00:40:31,870 Aik waqt mein aik masla suljhaana hai. 544 00:40:32,091 --> 00:40:35,142 Alie kay code ya us jaisi koyi bhi alaamat Ark par maujood nahi hai. 545 00:40:35,233 --> 00:40:36,396 Tumhein tou is baat ka yaqeen tha. 546 00:40:36,487 --> 00:40:38,691 Mujhe abhi bhi yaqeen hai ke Becca khila mein gai thi. 547 00:40:38,790 --> 00:40:40,869 Badqismati kay sath ye waazeh hota hai 548 00:40:40,959 --> 00:40:43,840 ke woh un 12 stations mein se kisi par nahi gai thi jis par Ark mushtamil hai. 549 00:40:44,820 --> 00:40:45,880 Mujhe maaf karna. 550 00:40:46,595 --> 00:40:49,086 Mujhe ehsaas hai ke tumharay liye us AI ka pata lagana kitna zaruri hai. 551 00:40:49,176 --> 00:40:50,218 13. 552 00:40:53,567 --> 00:40:54,611 13? 553 00:40:56,362 --> 00:40:59,907 Ye sach hai ke Ark 12 stations par mushtamil tha. 554 00:41:00,088 --> 00:41:01,778 Lekin wahan 13 honay chahiye thay. 555 00:41:02,325 --> 00:41:04,298 Mujhe aisi koyi bhi malumaat nahi mili. 556 00:41:05,171 --> 00:41:06,910 Woh is wajah se kyunke usay alehda kar diya tha. 557 00:41:07,456 --> 00:41:10,370 Aik khilaai station ko tabah karna takeh baaqi kay station joor sakein 558 00:41:10,461 --> 00:41:13,756 din kay aakhir mein ittehaad ki misaal nahi kehlai jaati hai. 559 00:41:14,864 --> 00:41:17,620 Nahi. Thehro. Thehro. Meri baat ko tou suno! 560 00:41:20,053 --> 00:41:21,096 Mujhe aur maalumaat dou. 561 00:41:21,450 --> 00:41:22,470 Kaash aisa mumkin hota. 562 00:41:22,857 --> 00:41:24,378 Mujhe bas ye ilm hai ke aisa huwa tha. 563 00:41:26,704 --> 00:41:27,989 POLARIS 564 00:41:28,131 --> 00:41:30,205 Aur itna pata hai ke uska naam Polaris tha. 565 00:41:31,683 --> 00:41:33,310 Bas bhi karo!