1 00:00:01,120 --> 00:00:05,130 Shehriyon, aaj bohat fakhar ki baat hai ke main Los Angeles se baat kar raha hun. 2 00:00:05,267 --> 00:00:08,390 Humein aisay waqt mein mehnat karni hai aur humari mehnat ka ajar mil raha hai. 3 00:00:09,000 --> 00:00:11,736 Nayi hukumat ko tashkeel diye sirf dou haftay huwe hain 4 00:00:11,827 --> 00:00:14,411 aur humaray ilaaqay mein Michener ki wajah se jo qilat thi woh khatam hogai hai. 5 00:00:14,580 --> 00:00:17,480 Qaanoon ka nazb o zabt bihaal hogaya hai aur fasaadaat ruk gaye hain. 6 00:00:17,580 --> 00:00:19,041 Jahan aabaadi ziada hai 7 00:00:19,132 --> 00:00:22,242 wahan maheenon mein pehli dafa khaanay ki ashiya mein izaafa paaya gaya hai. 8 00:00:23,015 --> 00:00:25,475 Aao sab ikhata mil kar waapis se is mulk ko mazboot... 9 00:00:30,691 --> 00:00:32,593 -Hum kahan hain? -Castillo kay mulk mein. 10 00:00:32,718 --> 00:00:33,744 Vegas pohanchay hain. 11 00:00:33,947 --> 00:00:36,280 Humein San Diego pohanchnay mein paanch ghantay lagengay. 12 00:00:36,371 --> 00:00:39,973 Lekin humein ziada waqt lag sakta hai kyunke tum sab jaantay ho ke hum... 13 00:00:40,975 --> 00:00:42,294 Hum ishtehaari mujrim hain 14 00:00:43,000 --> 00:00:46,352 jo naakon se bach nikal rahay hain aur band gaariyon ka eendhan chura rahay hain. 15 00:00:48,394 --> 00:00:49,999 Ab ye humara aakhri can bacha hai. 16 00:00:51,563 --> 00:00:53,023 Hum Vegas jaa kar ashiya le lengay. 17 00:00:53,297 --> 00:00:54,563 Wahan aik panaah gaah hota tha. 18 00:00:55,587 --> 00:00:57,743 Hum sab mulk ki behtari keliye kaam kar rahay hain. 19 00:00:57,834 --> 00:00:59,131 Tou main sabko tajweez karta hun 20 00:00:59,222 --> 00:01:01,306 ke wardi mein maujood humaray logon ka hukam maanein. 21 00:01:01,727 --> 00:01:04,178 -Isko band karo. Mujhe nahi sun'na. -Woh aman barqaraar rakhnay keliye hain. 22 00:01:05,007 --> 00:01:08,872 Hum jis naakay se bhi guzray thay wahan fauji amla wardi pehnay huwe tha. 23 00:01:09,982 --> 00:01:11,974 Mujhe samajh nahi aaraha hai ke ye sab bhi kyun behak gaye hain. 24 00:01:12,329 --> 00:01:15,449 Castillo aur baaqiyon nay logon ko bakwaas kar kay behkaaya hai 25 00:01:15,540 --> 00:01:18,509 ke mulk ko hisson mein kar kay hi bachaaya ja sakta hai. 26 00:01:18,636 --> 00:01:22,459 Malaahon ko aur sipaahi tabqay waalon ko asliyat maalum nahi hai 27 00:01:22,550 --> 00:01:24,015 aur woh ye sab isliye kar rahay hain 28 00:01:24,106 --> 00:01:26,629 kyunke inki tarbiyat hi logon ki khidmat karnay ki huwi thi. 29 00:01:26,726 --> 00:01:28,703 Lekin San Diego pohanchnay ki sab se bari wajah... 30 00:01:28,959 --> 00:01:30,348 James se milna hai. 31 00:01:30,853 --> 00:01:33,904 -Unko mazaahmat ka saamna karna hai. -Agar woh schedule par aarahay hain. 32 00:01:34,079 --> 00:01:37,093 Jab se Dennis nay shehar chhora hai, humein unki koyi khabar nahi mili. 33 00:01:37,184 --> 00:01:39,353 Mujhe yaqeen hai ke woh wahan maujood hoga. 34 00:01:42,340 --> 00:01:43,210 Las Vegas 35 00:01:51,430 --> 00:01:53,110 San Diego kay Naval Base se paighaam mosul huwa hai. 36 00:01:53,201 --> 00:01:55,507 "Nathan James, ko aik chhoti kashti se jurnay ka hukam hai 37 00:01:55,598 --> 00:01:59,117 Coronado Bridge ki hudood mein, bundurgah number teen ki pehli jagah par baandhna." 38 00:02:08,790 --> 00:02:10,644 "General Bradley ko ja kar itilah dou 39 00:02:11,329 --> 00:02:15,343 jo ke California United Forces kay hain aur apnay qaidi ko hawaalay karo 40 00:02:16,370 --> 00:02:18,881 jiska naam Thomas W. Chandler hai." 41 00:02:18,972 --> 00:02:20,909 Aik Navy Base ko aik General chala raha hai? 42 00:02:21,000 --> 00:02:24,094 Aur California United Forces ka aakhir maqsad kya hai? 43 00:02:24,185 --> 00:02:26,320 Jin dou hafton mein hum Pacific se yahan safar kar kay aaye hain 44 00:02:26,411 --> 00:02:28,053 us doraan unho nay puri fauj ko tor diya. 45 00:02:28,144 --> 00:02:29,360 Ye mumkin nahi hosakta. 46 00:02:29,457 --> 00:02:31,195 Ye sab seekhi sikhaai baatein hain, Captain. 47 00:02:31,258 --> 00:02:34,534 Jab kisi bhi hukumat ko andar se torna ho tou uska makhsoos tareeqa kaar hota hai. 48 00:02:34,697 --> 00:02:38,410 Pehle tou haakim ko aisi soorat-e-haal mein phansa do ke woh ghalat faislay le. 49 00:02:38,501 --> 00:02:40,204 Jesay kay ashiya ka baantna, bank band karwaana. 50 00:02:40,295 --> 00:02:42,661 Aur phir kuch fasaadaat bharka kay, sadar se zabardasti faislay dilwa kar 51 00:02:42,752 --> 00:02:43,910 us kasheedgi ko nashar karwatay ho. 52 00:02:44,010 --> 00:02:45,714 Aakhir kaar aik paicheedgi ko tashkeel kiya jaata hai. 53 00:02:45,805 --> 00:02:47,963 Jaise ke kisi ka qatal hona ya kisi ko yarghamaal banana. 54 00:02:48,054 --> 00:02:50,064 -Ya phir dounon hi. -Us doraan, sahaafat kay zariye 55 00:02:50,099 --> 00:02:51,717 uskay mutaabil aik hukumat pesh ki jati hai. 56 00:02:51,792 --> 00:02:53,667 -Ilaaqai hukmuraanon ki peshkash. -Uff meray Khudaaya. 57 00:02:53,829 --> 00:02:55,866 Hum chhay ghanton mein San Diego pohanch jaayengay. 58 00:02:55,891 --> 00:02:56,964 Us jagah ka maalik Castillo hai. 59 00:02:56,989 --> 00:02:58,952 Chaar ghanton kay andar woh hum par nazar rakh paayega. 60 00:02:59,032 --> 00:03:02,239 Kuch hi minutes baad, saahil ki hararat ki shidat ka jaiza lena shuru kar dena. 61 00:03:02,330 --> 00:03:04,983 Jahan ki shidat sab se ziada hogi, waheen ziada log maujood hongay. 62 00:03:05,587 --> 00:03:07,902 Galiban wohi jagah unka markaz hogi. 63 00:03:08,159 --> 00:03:10,130 -Sir? -Von Clausewitz. 64 00:03:10,221 --> 00:03:11,857 Markaz se muraad ke wahan aamad o raft ho sakta hai, 65 00:03:11,948 --> 00:03:13,553 aslaha hosakta hai, raabtay ka markaz ho sakta hai. 66 00:03:13,644 --> 00:03:15,953 Hum sirf usay nuqsaan nahi pohanchayengay balkeh mukamal tabah kar dengay. 67 00:03:16,392 --> 00:03:18,272 Is kay zariye Castillo saamnay aayega. 68 00:03:18,664 --> 00:03:20,987 Aur hum usko hirasat mein le kar us kay zariye dousron ko shikast dengay. 69 00:03:21,012 --> 00:03:24,095 Aur hum aik mulk par sirf aik jahaz kay zariye dhaawa bol rahay hain. 70 00:03:24,660 --> 00:03:27,326 Taareekh mein aisa kabhi nahi huwa hai aur samajh bhi aata hai ke kyun nahi huwa. 71 00:03:27,830 --> 00:03:30,045 -Ye tou namumkin baat hai. -Kuch bhi namumkin nahi hota. 72 00:03:31,700 --> 00:03:34,388 Agar tum mein himmat, josh aur mansooba ho tou sab mumkin hai. 73 00:03:36,500 --> 00:03:37,747 Kya ye Von Clausewitz ka kehna hai? 74 00:03:39,585 --> 00:03:41,433 Ye Thomas W. Chandler ka kehna hai. 75 00:04:04,856 --> 00:04:07,556 Ye sab bakwas hai! Tumhein lagta hai ke main ye bardaasht kar lunga? 76 00:04:07,581 --> 00:04:09,548 Randall! Uski baat tou soun lo. 77 00:04:10,910 --> 00:04:12,185 Beatty kay shumaali maghribi ilaaqay ko 78 00:04:12,210 --> 00:04:13,950 taqreeban aik maheenay se koyi sambhaal nahi raha hai. 79 00:04:14,040 --> 00:04:16,370 Har barhtay din kay sath wahan kay wasaail khatam hotay jaa rahay hain. 80 00:04:16,702 --> 00:04:18,034 Kisi ko tou woh jagah sambhaalni paregi. 81 00:04:18,540 --> 00:04:20,857 Meray paas woh qaabliyat bhi hai aur wahan tak mujhe rasaai bhi haasil hai. 82 00:04:21,100 --> 00:04:23,398 Agar tum un pahariyon ko paar kar kay kharcha karnay se bachna chaahtay ho 83 00:04:23,555 --> 00:04:24,540 tou main hi theek saabit hunga. 84 00:04:24,565 --> 00:04:27,785 Kya wahan ki geography ki wajah se tumhein Beatty kay tamaam asaasay mil jaayengay? 85 00:04:27,810 --> 00:04:28,964 Aur hum sab bartari bhi. 86 00:04:28,989 --> 00:04:31,263 Tum logon ko kya andaaza hai ke wahan mujhe kin mushkilaat ka saamna hai? 87 00:04:32,164 --> 00:04:34,138 Pata bhi hai kya hoga agar main sakht iqdaam na uthaun? 88 00:04:34,250 --> 00:04:36,585 Intishaar phail jaayega. Kya tum aisa chaahti ho? 89 00:04:36,750 --> 00:04:39,060 Tum batao, tumhara kya khayaal hai? Batao kya khayaal hai? 90 00:04:40,620 --> 00:04:42,000 Main apnay muhafizon ko 91 00:04:42,091 --> 00:04:44,053 shumaali maghribi Pacific ki taraf tayenaat kar raha hun 92 00:04:44,144 --> 00:04:45,739 aur main tum logon ki ijazat ka muntazir nahi hun. 93 00:04:45,790 --> 00:04:47,410 Waah, sab faislay tum hi kar lo. 94 00:04:47,461 --> 00:04:51,440 Ye us puray ilaaqay mein kaan khodna shuru kar chuka hai wasaail jamah karnay keliye. 95 00:04:51,611 --> 00:04:52,816 Sab apnay naam kar lo, Manuel. 96 00:04:52,906 --> 00:04:55,710 Aagay barho, dekhtay hain kahan tak barho gay jab main tail ki daraamad 97 00:04:55,801 --> 00:04:57,035 -maghribi saahil aanay se rok dungi. -Kya? 98 00:04:57,060 --> 00:04:58,600 -Tumhein tou har jagah jana pasand hoga... -Bas! 99 00:04:58,625 --> 00:04:59,745 Kyunke main... 100 00:05:05,443 --> 00:05:07,211 Main bataati hun ke kya hoga. 101 00:05:10,160 --> 00:05:13,232 Tamaam saathiyon kay munafeh keliye Mr Castillo ko wasaail ki kaan 102 00:05:13,323 --> 00:05:15,186 shumaali maghribi hudood se baahar khodni hogi. 103 00:05:15,524 --> 00:05:19,126 Ms Price is kaam ko anjaam denay keliye zarurat kay muttabiq tail faraham karengi. 104 00:05:21,040 --> 00:05:23,384 Iskay badlay mein, Mr Castillo tamaam saathiyon kay beech 105 00:05:23,475 --> 00:05:25,009 munafeh barabari se taqseem karengay. 106 00:05:25,200 --> 00:05:27,670 Ab mujhe yahan is tarah ki behas ko khatam karaanay keliye rakha gaya hai. 107 00:05:28,200 --> 00:05:29,248 Kisi ko koyi aiteraaz hai? 108 00:05:31,702 --> 00:05:32,604 Nahi. 109 00:05:34,700 --> 00:05:35,585 Achi baat hai. 110 00:05:42,139 --> 00:05:43,889 MISSILE LAUNCH COMMAND 111 00:05:48,790 --> 00:05:50,240 San Diego se koyi khabar mili? 112 00:05:50,330 --> 00:05:52,333 Nathan James ki maujoodgi ka pata lag gaya hai 113 00:05:52,484 --> 00:05:54,500 aur woh mansoobay kay muttabiq Nave base ki taraf gaamzan hai. 114 00:05:54,620 --> 00:05:55,779 -Zabardast. -Sun kar sukun mila. 115 00:05:55,870 --> 00:05:58,910 Aur kya uskay isteqbaal ka intezaam tarteeb mein hai? 116 00:05:59,040 --> 00:06:01,984 Colonel Witt nay aatish baazi kay muzaahiray ka soch rakha hai. 117 00:06:02,250 --> 00:06:04,280 Kya tumhein yaqeen hai ke kaam pura hojayega? 118 00:06:04,410 --> 00:06:06,332 Jeffrey Michener nay aik kaam tou acha kiya hai 119 00:06:06,423 --> 00:06:08,997 aur woh hathiyaaron ko markazi tarah se qaabu karnay ka kiya hai. 120 00:06:11,080 --> 00:06:12,638 Aik chhotti, maamuli si cheez hai. 121 00:06:12,798 --> 00:06:14,208 Aksar nazrein dhoka khaa jati hain. 122 00:06:14,299 --> 00:06:15,589 Aisi hi umeed rakhtay hain. 123 00:06:15,806 --> 00:06:19,176 CNO ko kamtar samajhanay ki wajah se hum is museebat mein paray hain. 124 00:06:19,362 --> 00:06:20,997 Kya aisi hi kuch baat hai naa, Ms Shaw? 125 00:06:22,185 --> 00:06:23,433 Taiyaari shuru kar do, Colonel. 126 00:06:28,080 --> 00:06:30,188 Aap mein se kisi dou kay angoothon kay nishaan chaahiye hain. 127 00:06:31,821 --> 00:06:33,117 Ye mujhe karnay do. 128 00:06:34,652 --> 00:06:38,322 Main us kuttay kay bachay Tom Chandler ko maarnay ka aizaz haasil karna chaahta hun. 129 00:06:43,410 --> 00:06:44,368 Zabardast. 130 00:06:50,076 --> 00:06:51,048 Kaam mukamal huwa. 131 00:06:51,572 --> 00:06:55,275 Bas kuch hi ghanton mein Nathan James samandar ki gehrai mein doob chuki hogi. 132 00:07:04,799 --> 00:07:06,041 Aik aur shehar aagaya hai. 133 00:07:07,224 --> 00:07:08,375 Sin City. 134 00:07:09,040 --> 00:07:10,518 Yahan bijli kyun nahi aarahi hai? 135 00:07:10,621 --> 00:07:11,772 Kuch tou garbar hai. 136 00:07:14,095 --> 00:07:15,313 Hum pata laga lengay. 137 00:07:15,854 --> 00:07:18,771 Us doraan, humein zarurat ki ashiyaa ikhatta karni hogi. 138 00:07:36,252 --> 00:07:37,605 MARKET 139 00:07:38,467 --> 00:07:40,074 YAHAN KHAANAY KI ASHIYA MAUJOOD HAI 140 00:07:42,823 --> 00:07:43,835 Kya tum theek ho? 141 00:07:45,370 --> 00:07:46,637 Koyi apni jagah se hilay mat! 142 00:07:49,700 --> 00:07:50,941 Itmenan rakho, meray dost. 143 00:07:53,870 --> 00:07:55,370 Kisi ko koyi nuqsaan nahi hona chaahiye. 144 00:07:55,464 --> 00:07:57,202 Phir tou tumhein hi sabka jawab dena parega. 145 00:07:57,508 --> 00:07:59,109 Khaanay ki tamaam ashiyaa meray hawaalay karo! 146 00:07:59,200 --> 00:08:01,528 Humaray paas khatam hogai hai aur is hi wajah se hum bhi rukay thay. 147 00:08:01,619 --> 00:08:03,289 -Bas bhi karo. -Kya tum sach keh rahay ho? 148 00:08:04,080 --> 00:08:05,836 Aisi soorat-e-haal mein tum jhoot tou nahi bolo gay na? 149 00:08:06,000 --> 00:08:07,000 Nahi, sir. 150 00:08:07,136 --> 00:08:08,367 Inki talaashi karo. 151 00:08:15,012 --> 00:08:15,897 Aagay barho! 152 00:08:19,178 --> 00:08:21,896 Main nay tumhein khabardaar bhi kiya tha ke yahan bhatakna bhi mat. 153 00:08:22,258 --> 00:08:23,918 -Jao! -Chalo, yahan se nikaltay hain. 154 00:08:24,009 --> 00:08:24,944 Jao! 155 00:08:34,250 --> 00:08:35,428 Main aapka shukar guzaar hun. 156 00:08:38,080 --> 00:08:39,479 Tum yahan kay rihaaishi nahi lagtay ho. 157 00:08:40,040 --> 00:08:41,043 Nahi, sir. 158 00:08:44,660 --> 00:08:46,007 Lekin tum jaanay pehchaanay lagtay ho. 159 00:08:46,186 --> 00:08:48,002 Haan, ye main aksar sunta hun. 160 00:08:48,201 --> 00:08:49,820 Sir, hum aapko nuqsaan pohanchaanay nahi aaye hain. 161 00:08:54,000 --> 00:08:55,022 Theek hai, aajao phir. 162 00:08:55,700 --> 00:08:57,155 Behtar hai ke sarak se duur raha jaaye. 163 00:08:57,620 --> 00:08:58,633 Shukriya. 164 00:09:01,450 --> 00:09:03,566 Khaanay ki ashiya ki aamad band hogai thi. 165 00:09:04,979 --> 00:09:06,943 Humein bataaya gaya ke woh kisi aur jagah muntaqil hongay. 166 00:09:07,354 --> 00:09:10,197 Kuch din guzarnay kay baad yahan par kuch sipaahi aaye. 167 00:09:10,871 --> 00:09:14,155 Woh apnay sath container le kar aaye aur tamaam ashiya laad kar le gaye. 168 00:09:15,750 --> 00:09:17,037 Ab yahan sirf main hi rehta hun. 169 00:09:18,885 --> 00:09:20,095 Shehar ka ye haal kaisay bana? 170 00:09:20,258 --> 00:09:22,047 Yahan tou 30,000 logon ki aabaadi hai. 171 00:09:23,700 --> 00:09:25,426 Ziada tar logon ko khaanay ki ashiya chaahiye thi. 172 00:09:25,726 --> 00:09:28,093 Unkay paas ja kar aman ki bahaali nahi karni hoti balkeh 16 ghanton keliye 173 00:09:28,184 --> 00:09:29,579 kisi factory mein mazdoori karni parti hai. 174 00:09:29,670 --> 00:09:31,766 Kabhi bijli chaalu karo, kabhi paani kholo. 175 00:09:32,734 --> 00:09:34,942 Aik din ki roti keliye 16 ghantay kaam karna parta hai. 176 00:09:35,377 --> 00:09:37,106 Woh khaanay ka bohraan paida kar rahay hain. 177 00:09:37,476 --> 00:09:42,475 Aur yahan logon ko khaanay se juray Michener kay usoolon se masla tha. 178 00:09:43,202 --> 00:09:46,020 Meray tajurbay kaar dost, tumhein khaana khaaye kitnay din hogaye hain? 179 00:09:46,596 --> 00:09:48,742 -Mera naam Bob hai. -Bob. 180 00:09:49,023 --> 00:09:50,946 Taqreeban teen din guzar chukay hain. 181 00:09:51,523 --> 00:09:54,535 Main is naakaara taang ki wajah se dur tak nahi chal sakta. 182 00:09:55,008 --> 00:09:56,250 Naa meray paas koyi gaari hai. 183 00:09:57,603 --> 00:10:00,654 -Ab tou sab kuch bas waqt ki baat hai. -Kya hum tumhein aagay tak chhor dein? 184 00:10:01,456 --> 00:10:02,924 Main nay yahan apni puri zindagi guzari hai. 185 00:10:04,250 --> 00:10:06,386 Main ab tak kaafi dafa khush qismat raha hun. 186 00:10:08,015 --> 00:10:10,571 Agar main kaheen marna chaahunga, tou woh yehi jagah hogi. 187 00:10:10,766 --> 00:10:11,836 Yehi mera ghar hai. 188 00:10:19,394 --> 00:10:20,700 Humaray paas bas yehi bacha hai. 189 00:10:35,406 --> 00:10:38,009 Ird gird ki soorat-e-haal ko dekh kar aisa lagta nahi hai lekin... 190 00:10:38,279 --> 00:10:39,868 bohat jaldi achi umeed ki jaaye gi. 191 00:10:41,174 --> 00:10:44,035 Tou bas thora aur sabar kar lena, Bob, theek hai? 192 00:10:50,450 --> 00:10:52,286 Shayad main tumhein pehchaan gaya hun. 193 00:10:53,322 --> 00:10:56,398 TV par log tumharay baaray mein bohat gandi baatein kar rahay hain. 194 00:10:59,678 --> 00:11:02,125 Umeed hai ke tum har suni sunai baat par yaqeen nahi rakhtay. 195 00:11:16,902 --> 00:11:18,198 Wahan bohat khaamoshi hai. 196 00:11:20,910 --> 00:11:22,125 Sanaatta chaaya huwa hai. 197 00:11:43,576 --> 00:11:44,687 Woh hifazat se pohanch gaye hain. 198 00:11:45,221 --> 00:11:46,798 Humesha ki tarah sahi waqt par pohanchay hain. 199 00:11:47,370 --> 00:11:49,104 Bandargah ki hudood mein daakhil hotay huwe 200 00:11:49,195 --> 00:11:52,524 Chandler ko ehsaas hona chaahiye ke Castillo usay foran giraftaar kar lega. 201 00:11:52,688 --> 00:11:53,965 Kya hum unhein ishaara de saktay hain? 202 00:11:54,750 --> 00:11:56,403 Nahi. Lekin... 203 00:11:57,524 --> 00:11:58,889 us nay koyi mansooba banaya hoga. 204 00:12:00,444 --> 00:12:03,417 CIC ki report kay tehat zameen aur zair-e-zameen koyi harkat nahi hai. 205 00:12:05,627 --> 00:12:06,657 Bohat khoob. 206 00:12:09,103 --> 00:12:10,256 Jahaz ko aagay barhaao. 207 00:12:25,250 --> 00:12:26,490 Vampire! Vampire! Vampire! 208 00:12:26,580 --> 00:12:29,066 1-1-5 ki jaanib se dou missile aarahay hain! 209 00:12:33,500 --> 00:12:34,989 Nahi! 210 00:12:35,830 --> 00:12:37,168 Nahi! 211 00:12:37,580 --> 00:12:38,655 Nahi! 212 00:12:41,910 --> 00:12:43,504 Nahi! Nahi! 213 00:12:44,660 --> 00:12:46,523 Aray, nahi! 214 00:12:53,088 --> 00:12:54,725 -Nahi! -Uff meray Khudaaya. 215 00:13:16,799 --> 00:13:18,688 Woh missile achaanak se aagaye thay. 216 00:13:18,853 --> 00:13:20,311 Woh hawah mein gasht kar rahay thay. 217 00:13:20,516 --> 00:13:23,476 Woh missile unchaai par bhi ghanton tak taal mattol kar saktay hain. 218 00:13:23,676 --> 00:13:25,616 James ko bhi unkay aanay ka andaaza nahi tha. 219 00:13:25,830 --> 00:13:26,919 Unko hona chaahiye tha. 220 00:13:33,200 --> 00:13:34,606 Ab sirf hum hi baaqi reh gaye hain. 221 00:13:36,660 --> 00:13:37,828 Ab hum kya karein? 222 00:13:38,660 --> 00:13:42,411 Main tou bas ghar jaa kar Frankie ko le kar bhaag jaana chaahti hun. 223 00:13:44,120 --> 00:13:47,660 Lekin us se pehlay main har us shakhs ko maarna chaahti hun jo iska zimedar hai. 224 00:13:47,750 --> 00:13:48,780 Haan, bilkul. 225 00:13:48,870 --> 00:13:50,833 -Kya tum badla lena chaahti ho? -Kya tum nahi chaahtay? 226 00:13:50,924 --> 00:13:52,908 Bilkul chaahta hun. Khoon ka badla khoon se pura hoga. 227 00:13:53,080 --> 00:13:55,334 Humein samajhdaari se kaam karna hoga. Har baar kuch nayaa karna hoga. 228 00:13:55,425 --> 00:13:56,406 Neechay jhuk jao. 229 00:14:04,710 --> 00:14:05,796 Kya tum ye dekh rahi ho? 230 00:14:06,556 --> 00:14:08,501 Us gaari par nigehbaan kharay hain. 231 00:14:09,484 --> 00:14:11,094 Inhein soorat-e-haal ka jaaiza lenay bheja gaya hai. 232 00:14:12,330 --> 00:14:14,870 Yahan par James ko doobta dekhnay ki tasdeeq karnay aaye hain. 233 00:14:17,420 --> 00:14:19,118 Woh ab itilaah denay keliye waapis gaye hain. 234 00:14:19,700 --> 00:14:20,878 Tou hum unka peecha karengay. 235 00:14:21,370 --> 00:14:22,413 Aao, chalo. 236 00:14:50,290 --> 00:14:52,025 Kya China kay jahaz ka kuch pata chala? 237 00:14:52,620 --> 00:14:53,838 Henan doob chuka hai, sir. 238 00:14:54,370 --> 00:14:56,159 -Woh bewaquf ban gaye. -Sahi kaha tha, sir. 239 00:14:56,250 --> 00:14:58,570 Unho nay tumhein maarnay keliye humara bhi qatal karnay ki koshish ki. 240 00:14:58,660 --> 00:15:02,642 Jab tak hum saahil se 40 mile duur hain woh humein murdaa samjhengay. 241 00:15:02,742 --> 00:15:05,235 Us doraan Captain Slattery aur main zameeni dastay ki rehnumai kartay huwe 242 00:15:05,326 --> 00:15:06,570 Castillo kay markaz ka pata lagayengay. 243 00:15:06,660 --> 00:15:07,570 -TAO. -Jee, sir? 244 00:15:07,660 --> 00:15:09,801 -Darj-e-haraarat ka batao? -Jee, sir. 245 00:15:10,580 --> 00:15:12,765 Sab se ziada harkat in jagahon mein pai gai hai. 246 00:15:13,120 --> 00:15:15,040 Ye Navy base se ziada duri par nahi hai. 247 00:15:15,370 --> 00:15:16,450 Ye aik markazi jagah hogi. 248 00:15:16,540 --> 00:15:17,532 Is taraf kaafi shor hai. 249 00:15:17,642 --> 00:15:20,397 -Kya hum unki baaton ko sun saktay hain? -Main ye kaam shuru karti hun, sir. 250 00:15:21,445 --> 00:15:24,208 Aakhir kaar tum us shakhs ko maar paaye jisay koyi nahi maar sakta tha. 251 00:15:25,370 --> 00:15:28,929 Main jhoot nahi bolungi, Allison, lekin mera yaqeen uthta chala ja raha tha. 252 00:15:29,200 --> 00:15:30,252 Hum sab ka yehi haal tha. 253 00:15:32,846 --> 00:15:34,214 Ye jaam, us se nijaat paanay kay naam. 254 00:15:35,742 --> 00:15:36,817 St Louis. 255 00:15:37,370 --> 00:15:40,120 Hum woh Oliver ko denay keliye taiyaar thay agar tum taawun karti. 256 00:15:40,217 --> 00:15:42,583 -Taawun usnay nahi kiya. -Aur ab woh tumhein apna lagta hai? 257 00:15:42,608 --> 00:15:44,119 Main jaanti hun ke main woh haasil kar chuki hun. 258 00:15:45,910 --> 00:15:48,862 Dekha jaaye tou St Louis ka ilaaqa Wilson kay paas hai. 259 00:15:49,222 --> 00:15:50,473 Tum us se baat kar kay dekh lo. 260 00:15:51,474 --> 00:15:53,429 Woh maan jaayega agar tum mera sath dogi. 261 00:15:54,175 --> 00:15:56,670 -Woh tum se darta hai. -Aur usko darna bhi chaahiye hai. 262 00:15:57,257 --> 00:16:00,711 Main nay tumhein hukamatein dilwaayi hain aur ab main ziada umeed rakhti hun. 263 00:16:02,548 --> 00:16:04,218 Castillo aansteen ka saanp hai. 264 00:16:04,370 --> 00:16:07,456 Tum bas is baat ka khayaal rakho ke California se mera samaan salamat aajaye 265 00:16:08,765 --> 00:16:11,050 aur main Wilson se St Louis kay baaray mein baat karungi. 266 00:16:50,540 --> 00:16:51,550 Aajao. 267 00:16:58,001 --> 00:16:59,331 Ye kesi jagah hai? 268 00:16:59,580 --> 00:17:01,196 Us dukaan kay maalik Bob nay bataaya tha 269 00:17:01,287 --> 00:17:03,670 ke woh uski ashiyaa container mein laad kar le gaye thay. 270 00:17:04,123 --> 00:17:05,540 Shayad woh yaheen le kar aaye thay. 271 00:17:05,631 --> 00:17:08,447 Ye koyi godaam hosakta hai ya yahan se sab cheezain baanti jaati hongi. 272 00:17:08,960 --> 00:17:11,971 In kameenay makaar "Aman pasand" logon ko dekh kar waazeh hota hai... 273 00:17:12,394 --> 00:17:13,660 ke tum sahi keh rahay ho. 274 00:17:13,790 --> 00:17:15,200 Castillo apnay maal ko jamah kar raha hai 275 00:17:15,290 --> 00:17:18,982 aur phir apnay logon mein bator unki mehnat ki ujrat taqseem kar raha hai. 276 00:17:19,450 --> 00:17:21,922 -Kyun na hum ye sab chura lein? -Yehi mansooba hoga. 277 00:17:29,144 --> 00:17:31,284 Fauj, Bahria, Sipaahi... 278 00:17:32,040 --> 00:17:33,699 Wahan kuch saahili muhaafiz bhi hain. 279 00:17:33,921 --> 00:17:35,724 Aur un sab kay mad-e-muqaabil bas hum chaar hain. 280 00:17:36,111 --> 00:17:39,902 Hum tou aadha darjan bhi nahi hain lekin humaray paas jazba aur aqal dounon hai. 281 00:17:40,016 --> 00:17:42,386 Kara, tum aur main is jagah ki gasht kar kay yahan ka pata lagayengay. 282 00:17:42,477 --> 00:17:44,011 Aur tum dounon aagay nazar rakhna. 283 00:17:44,290 --> 00:17:46,428 Inkay gasht karnay ki tarteeb, sipaahiyon kay badalnay kay auqaat kaar, 284 00:17:46,453 --> 00:17:47,462 in sab par ghor karna. 285 00:17:47,824 --> 00:17:49,105 Meray sikhaye huwe ko yaad rakhna. 286 00:17:49,761 --> 00:17:50,651 Theek hai. 287 00:17:53,894 --> 00:17:55,144 Apna khayal rakhna. 288 00:18:34,410 --> 00:18:36,060 Aray, aray, aray. 289 00:18:37,700 --> 00:18:40,215 Ye main hun. Aray, aray. 290 00:18:41,540 --> 00:18:42,419 Aray. 291 00:18:44,540 --> 00:18:45,479 Ye main hun. 292 00:19:02,250 --> 00:19:05,831 Commodore, bura mat maan'na lekin mujhe laga tum mar gaye ho. 293 00:19:08,000 --> 00:19:11,247 Tex, aray, tumhein yahan dekh kar mujhe koyi hairat nahi huwi. 294 00:19:11,409 --> 00:19:14,052 Jab bhi koyi mushkil khari hojaye tou main haazir hun, meray dost. 295 00:19:18,604 --> 00:19:20,104 Aray, Frankie kahan hai? 296 00:19:20,330 --> 00:19:21,710 Woh theek hai. Woh meri ammi kay paas hai. 297 00:19:23,338 --> 00:19:24,568 Zara khud ko dekho tou sahi. 298 00:19:28,703 --> 00:19:32,699 Kya tum logon nay China kay jahaz ko khud bakhud jaanay diya tha? 299 00:19:32,790 --> 00:19:34,148 Aisa hi kuch samajhiye, sir. 300 00:19:34,452 --> 00:19:36,810 Master Chief sharma raha hai. Ye uska hi mansooba tha. 301 00:19:37,450 --> 00:19:39,500 Aap ko humari tarafdaari karta dekh kar khushi huwi, Mr President. 302 00:19:39,676 --> 00:19:41,195 Aur tum logon ko zinda dekh kar khushi huwi hai. 303 00:19:45,072 --> 00:19:46,062 Hello. 304 00:19:48,540 --> 00:19:49,946 Hello, tumhein dekh kar khushi huwi hai. 305 00:19:51,112 --> 00:19:53,031 Lagta hai hum sabka aik hi mansooba tha. 306 00:19:53,835 --> 00:19:54,924 Jee, madam. 307 00:19:56,016 --> 00:19:57,885 Ye Castillo ki markazi jagah hai. 308 00:19:58,000 --> 00:19:59,708 Haan, yahan khaana maujood hai. 309 00:20:01,691 --> 00:20:03,861 Humein umeed thi ke koyi mukhaalif zarur khara hoga. 310 00:20:03,960 --> 00:20:05,304 Tum abhi unhein hi dekh rahay ho. 311 00:20:06,000 --> 00:20:07,233 Chalo, kaam par lagtay hain. 312 00:20:08,250 --> 00:20:09,910 Burk, Kara aur Tex. 313 00:20:10,040 --> 00:20:12,844 Main chaahta hun tum log aik hudood banao. Humaray paas jo bhi aalaat hain 314 00:20:12,935 --> 00:20:14,804 unki madad se unkay harkaat ka pata lagao. 315 00:20:15,000 --> 00:20:16,500 Green, Master Chief... 316 00:20:16,767 --> 00:20:18,960 Humaray raabtay ka markaz chhat par ja kar banao. 317 00:20:19,051 --> 00:20:21,961 Nathan James ko EMCON kiya hai lekin wahan sab baatein sunai di jaa rahi hongi. 318 00:20:22,080 --> 00:20:25,910 Wolf, koyi khaali imaarat dhoondo jisko hum zor o shor se tabah kar sakein. 319 00:20:26,310 --> 00:20:28,691 Us se fauji daston ka dehaan battega aur hum apni karwai kar sakengay. 320 00:20:28,790 --> 00:20:31,530 Mike aur Sasha. Tum log is jagah ka pata lagao. 321 00:20:31,620 --> 00:20:33,448 -Chalo, sab kaam par lago. -Jee, sir. 322 00:20:34,742 --> 00:20:36,107 Bilkul puraanay waqt ki tarah. 323 00:20:38,861 --> 00:20:41,561 Humein fauji code ka pata lag gaya hai jo California Force istemal kar rahi hai. 324 00:20:41,660 --> 00:20:44,779 Tum sab log paighaamaat ka jaiza le kar khufiya maalumat ka pata lagao. 325 00:20:44,870 --> 00:20:46,450 Main zaruri maalumat ko alag kaisay kar sakunga? 326 00:20:46,540 --> 00:20:47,700 Jab tum suno gay, tou pata lag jayega. 327 00:20:47,790 --> 00:20:50,029 Bas us paighaam ko sun'nay kay qaabil kar kay record karna aur phir chhap dena. 328 00:20:50,120 --> 00:20:51,155 Jee, madam. 329 00:21:13,082 --> 00:21:14,740 Markazi raabta qayem hogaya hai, Captain. 330 00:21:54,250 --> 00:21:55,413 Chaar phoolon waala fauji. 331 00:22:00,080 --> 00:22:02,570 General, samaan mehfuz hai aur le jaanay keliye taiyaar hai. 332 00:22:03,120 --> 00:22:04,158 Shukriya, Lieutenant. 333 00:22:06,774 --> 00:22:07,974 Kya koyi masla hai? 334 00:22:08,080 --> 00:22:10,043 Sir, kuch log aapas mein baat kar rahay thay. 335 00:22:10,910 --> 00:22:12,418 Unho nay Nathan James ko tabah hotay dekha tha. 336 00:22:13,305 --> 00:22:16,286 Mujhe... Mujhe yaqeen nahi hota, sir. 337 00:22:17,023 --> 00:22:19,753 Is baat se apni neend mat kharab karna. Tom Chandler aik ghadaar tha. 338 00:22:20,322 --> 00:22:21,652 Ab aik naye din ka aaghaaz huwa hai. 339 00:22:21,870 --> 00:22:23,951 Kuch log mawaqfat haasil kar letay hain, kuch nahi kar paatay hain. 340 00:22:25,355 --> 00:22:27,815 Mera mashwara maano. Waqt kay muttabiq dhal jao. 341 00:22:28,370 --> 00:22:29,255 Jee, sir. 342 00:22:36,290 --> 00:22:39,200 Is chamber mein goliyaan maujood hain tou bas is hammer ko kheenchna 343 00:22:39,290 --> 00:22:40,360 aur phir goli chal jayegi. 344 00:22:40,450 --> 00:22:42,267 Mujhe andaaza hai ke tum nay iski kaafi mashq ki thi. 345 00:22:47,410 --> 00:22:49,961 Bandookh kay jhatkay se bachnay keliye dounon baazu thos rakhnay parengay. 346 00:22:59,000 --> 00:23:00,503 Tum nay shehar kaafi jaldi chhor diya tha. 347 00:23:02,410 --> 00:23:03,941 Haan doc kay baad gaya tha. 348 00:23:08,410 --> 00:23:09,387 Haan. 349 00:23:12,216 --> 00:23:14,421 Mujhe lagta hai ke tum Rachel keliye mujhe qusoorwaar samajhtay ho. 350 00:23:16,197 --> 00:23:17,521 Main hum dounon ko qusoorwaar samajhta hun. 351 00:23:21,136 --> 00:23:22,539 Main nay tumhein maaf kar diya tha. 352 00:23:25,660 --> 00:23:28,904 Ye jo larki hai, Sasha... 353 00:23:31,580 --> 00:23:32,750 kya woh khud lar sakti hai? 354 00:23:33,512 --> 00:23:34,791 Behtareen sipaahiyon se lar le. 355 00:23:35,540 --> 00:23:36,512 Achi baat hai. 356 00:23:37,410 --> 00:23:38,302 Suno... 357 00:23:38,951 --> 00:23:41,505 Humein jis General Bradley ko itilah karni thi, 358 00:23:41,686 --> 00:23:43,810 hum uskay zariye Castillo ko bahar nikaal saktay hain. 359 00:23:43,901 --> 00:23:46,151 Doston, hum nay soorat-e-haal ko ghalat samjha. 360 00:23:46,370 --> 00:23:48,669 Yahan khaanay ki ashiya ka zakhaair nahi balkeh usay le jaaya ja raha hai. 361 00:23:48,770 --> 00:23:51,227 Mujhe rail ki pathri dikhi thi jo seedha godaam mein jaati hai 362 00:23:51,318 --> 00:23:53,259 aur usay pichhlay 24 ghanton mein istemal kiya gaya hai. 363 00:23:54,580 --> 00:23:56,741 Ab agli martaba agar kisi railgaari par samaan rakha jaayega 364 00:23:57,700 --> 00:23:59,120 tou hum uskay saamnay aajayengay. 365 00:23:59,305 --> 00:24:02,925 Aik damse us par humla karengay aur uskay gird sipahiyon ka hujoom bhi nahi hogi. 366 00:24:03,250 --> 00:24:05,530 Hum khaanay ki ashiya ko tabah nahi karengay balkeh usay chura lengay. 367 00:24:05,620 --> 00:24:07,783 Itni saari ashiyaa se tou puri fauj ka pait bhar jaye.= 368 00:24:08,734 --> 00:24:10,301 Aur phir hum puri fauj ko chura lengay. 369 00:24:18,726 --> 00:24:20,722 Vulture team, humara shikaar pohanch gaya hai. 370 00:24:21,330 --> 00:24:23,369 Theek hai. Hum apni jagah par taayenaat hain. 371 00:24:23,531 --> 00:24:25,260 -Wolf? -Hum bhi taiyaar hain. 372 00:24:26,135 --> 00:24:28,058 Dur jaa kar jo mor aata hai wahan bomb laga rahay hain. 373 00:24:28,679 --> 00:24:30,240 Woh is humlay ka andesha bhi nahi kar saktay hain. 374 00:24:30,330 --> 00:24:33,039 Overwatch, ird gird kya haalat hain? 375 00:24:33,160 --> 00:24:34,395 Mujhe tou behtareen jagah mili hai. 376 00:24:34,660 --> 00:24:38,332 Agar hum par humla ho, tou sirf us soorat mein goli chalaana. 377 00:24:38,700 --> 00:24:39,781 Theek hai. 378 00:24:42,870 --> 00:24:46,049 Mother, meray muqaam ka pata lagao. Rail gaari par humla karnay kay baad 379 00:24:46,140 --> 00:24:48,215 zakhmiyon keliye tibi imdaad darkaar hosakta hai. 380 00:24:49,016 --> 00:24:50,300 Vulture ki taraf se bas itna hi. 381 00:24:51,376 --> 00:24:52,982 Mujhe ye khaamoshi bohat buri lagti hai. 382 00:24:53,088 --> 00:24:54,929 Zarurat parnay par James maujood rahega. 383 00:25:03,504 --> 00:25:04,660 Kya hum chalnay keliye taiyaar hain? 384 00:25:04,750 --> 00:25:06,658 Samaan laada jaa raha hai. Aap keliye phone aaya hai, sir. 385 00:25:07,580 --> 00:25:08,627 Bradley baat kar raha hun. 386 00:25:09,910 --> 00:25:11,185 Jee, Mr Castillo. 387 00:25:16,410 --> 00:25:18,950 Mother, Charlie Team raabtay ko nashar kar raha hai. 388 00:25:19,040 --> 00:25:20,700 Mudaakhlat kar kay baat ka pata lagao. 389 00:25:20,830 --> 00:25:22,080 Kya tumhein woh ishaara mil raha hai? 390 00:25:22,171 --> 00:25:25,030 Jee, madam. Bohat shor hai lekin jo ho sakega main karta hun. 391 00:25:25,120 --> 00:25:28,080 Main record kar raha hun. Baat mukamal hotay hi filter karta hun. 392 00:25:28,660 --> 00:25:30,186 -Kya kaam pura hogaya hai? -Haan. 393 00:25:45,499 --> 00:25:47,226 Humara nishaana imaarat se nikal para hai. 394 00:26:08,408 --> 00:26:11,582 Fikar mat karo, samaan... Agar woh kuch aur bhi boltay hain. 395 00:26:12,540 --> 00:26:14,891 "Fikar mat karo, samaan..." 396 00:26:15,762 --> 00:26:18,088 Hundred bol raha hai ya phir hunkered? Ye kaunsa lafz hai? 397 00:26:18,401 --> 00:26:20,606 Hunters? Hundrey? 398 00:26:27,897 --> 00:26:29,439 Woh rail gaari humein ishaara de rahi hai. 399 00:26:42,934 --> 00:26:44,724 Fikar mat karo. Samaan... bhooka nahi rahega. 400 00:26:44,815 --> 00:26:47,342 Treble ko bilkul dheema rakho aur halki frequency hattao. 401 00:26:48,160 --> 00:26:50,079 Fikar mat karo. Samaan ko bhook nahi lagegi. 402 00:26:51,176 --> 00:26:53,006 Fikar mat karo. Samaan ko bhook nahi lagegi. 403 00:26:53,120 --> 00:26:55,659 Agar woh kuch aur bhi boltay hain tou un par yaqeen mat karna. 404 00:26:55,750 --> 00:26:57,490 Fikar mat karo. Samaan ko bhook nahi lagegi. 405 00:26:57,580 --> 00:26:59,699 Agar woh kuch aur bhi boltay hain tou un par yaqeen mat karna. 406 00:26:59,790 --> 00:27:02,454 Main bachon keliye kuch cookies bhi laaya hun. 407 00:27:02,750 --> 00:27:04,077 "Samaan ko bhook nahi lagegi." 408 00:27:05,580 --> 00:27:06,617 Uff, meray Khudaaya. 409 00:27:08,200 --> 00:27:10,443 CIC, comms. Humein jahaz ko EMCON se nikaalna hoga. 410 00:27:11,611 --> 00:27:15,306 Captain, us rail gaari ko ashiyaa se nahi balkeh insaanon se laada gaya hai. 411 00:27:15,397 --> 00:27:17,591 Woh logon ko le jaa rahay hain. 412 00:27:18,136 --> 00:27:19,190 Aray! 413 00:27:19,556 --> 00:27:22,055 Woh rail gaari kitni dair mein bomb se takraye gi? 414 00:27:22,250 --> 00:27:24,257 Paanch minute! Woh bhi agar qismat nay sath diya! 415 00:27:24,580 --> 00:27:25,821 Chalo! Chalo! 416 00:27:26,450 --> 00:27:27,660 Jao, jao, jao! 417 00:27:27,750 --> 00:27:29,948 Mujhe tum logon ki bohat yaad aai thi! 418 00:27:52,314 --> 00:27:54,944 Jitna hosakega main qareeb le jaata hun! 419 00:27:56,234 --> 00:27:57,894 Aur nazdeek karo. 420 00:28:22,200 --> 00:28:23,450 Pakar kar rakho, Mike! 421 00:28:23,540 --> 00:28:25,093 Aajao! Main tumhein pakray huwa hun. 422 00:28:27,330 --> 00:28:28,644 -Chalo! -Chalo, aagay barho! 423 00:28:37,250 --> 00:28:38,399 Chalo! Aagay barho! 424 00:28:48,319 --> 00:28:49,347 Neechay jhook jao! 425 00:29:24,040 --> 00:29:25,830 Tum? Ye kya baqwaas... 426 00:29:26,000 --> 00:29:27,251 Rail gaari ko roko! 427 00:30:10,103 --> 00:30:11,289 Lever ko kheencho! 428 00:30:15,403 --> 00:30:16,356 Chalo. 429 00:30:40,521 --> 00:30:41,660 Chalo ab larai khatam huwi. 430 00:30:41,750 --> 00:30:43,455 Kya ab meray dost ko jaanay do gay? 431 00:30:46,290 --> 00:30:48,226 Agar 10 second aur pakarta tou main is ki pitai kar deta. 432 00:31:04,815 --> 00:31:06,195 Apnay haath upar karo. 433 00:31:06,992 --> 00:31:08,316 Sab apnay haath kharay karo. 434 00:31:20,500 --> 00:31:21,434 Kholo isay. 435 00:31:22,789 --> 00:31:23,894 Tum khud khol lo. 436 00:31:46,641 --> 00:31:47,651 Kya huwa hai? 437 00:31:49,580 --> 00:31:50,725 Tum sab baahar aasaktay ho. 438 00:32:01,580 --> 00:32:02,656 Ab tum log mehfuz ho. 439 00:32:04,540 --> 00:32:05,468 Tum sab aazaad ho. 440 00:32:08,450 --> 00:32:10,167 Tumharay kehnay ka kya matlab hai? 441 00:32:11,032 --> 00:32:12,164 Tum log ghulaam nahi ho. 442 00:32:13,789 --> 00:32:17,108 Tum logon ko inkay kehnay par kaheen jaanay ki zarurat nahi hai. 443 00:32:18,080 --> 00:32:20,689 Tum logon ko inkay kehnay par mazdoori karnay ki zarurat nahi hai. 444 00:32:22,039 --> 00:32:23,709 Tou kya humein khaana nahi diya jaayega? 445 00:32:24,660 --> 00:32:27,063 Is patthri kay dousray konay par khaana maujood hai. 446 00:32:28,120 --> 00:32:30,900 Meray bachon nay dou dinoun se kuch nahi khaaya hai. 447 00:32:31,870 --> 00:32:34,160 Main nay tou itwaar se kuch nahi khaaya hai. 448 00:32:34,251 --> 00:32:37,316 Baraaye meharbaani, humein apnay safar par jaanay dein. 449 00:32:37,830 --> 00:32:40,673 Bas is darwaazay ko band kar dijiye! Baraaye meharbaani, humein jaanay dijiye. 450 00:32:40,830 --> 00:32:41,973 Bas is darwaazay ko band kar dijiye. 451 00:32:43,750 --> 00:32:45,532 Naye America mein khush aamdeed, Captain. 452 00:32:49,080 --> 00:32:50,652 Bhaar mein jaaye ye "Nayaa America." 453 00:32:52,500 --> 00:32:55,765 Main jaanta hun ye mushkil waqt hai lekin aik aur raasta hai. 454 00:32:56,402 --> 00:32:58,475 Tum logon mein se koyi bhi bhooka nahi rahega. 455 00:32:58,790 --> 00:33:02,602 Hum pehlay jaisa sab kuch kar saktay hain bas agar tum log humaray sath chalo. 456 00:33:02,830 --> 00:33:04,960 Is rail gaari mein itna khaana maujood hai 457 00:33:05,051 --> 00:33:07,881 jis se hum kaafi dinoun tak paet bhar saktay hain. 458 00:33:08,540 --> 00:33:09,614 Aur phir uskay baad? 459 00:33:10,290 --> 00:33:11,323 Uskay baad kya hoga? 460 00:33:13,370 --> 00:33:16,234 General, ya tumhein jis naam se bhi bulaaya jaata hai... 461 00:33:16,412 --> 00:33:19,185 Tum apnay ikhtiyaar mein maujood logon se kaho ke peechay hat jaayein. 462 00:33:19,708 --> 00:33:21,524 Agar tumhein lagta hai ke tum unhein waapis paa saktay ho 463 00:33:21,615 --> 00:33:22,583 tou kyun na khud koshish karo? 464 00:33:22,737 --> 00:33:24,333 Tum kya soch bethay thay? 465 00:33:24,642 --> 00:33:26,421 -Tum nay halaf uthaaya tha! -Kis baat keliye? 466 00:33:27,250 --> 00:33:28,798 -Kis baat keliye? -Khidmat faraham karnay keliye! 467 00:33:29,373 --> 00:33:30,280 Is mulk ko bachaanay keliye! 468 00:33:30,370 --> 00:33:32,750 Captain, main nay jis wajah se halaf uthaaya tha, woh ab nahi bacha! 469 00:33:32,870 --> 00:33:34,240 Dou haftay pehlay usay phaar diya gaya tha. 470 00:33:34,330 --> 00:33:36,323 Main nay shayad kisi pari kay saamnay halaf uthaaya ho. 471 00:33:39,790 --> 00:33:43,091 Tum aik haftay bhookay reh kar dekho aur phir faisla karna. 472 00:33:43,362 --> 00:33:45,860 -Tum jawaab mein lar saktay thay. -Meray officer nay koshish ki thi. 473 00:33:45,951 --> 00:33:47,779 Badlay mein uskay daftar mein hi uska halaq kaat diya tha. 474 00:33:47,870 --> 00:33:51,266 Meray taawun karnay se main aur meray bachay salaamat reh saktay hain. 475 00:33:52,120 --> 00:33:53,261 Bas itni aasaan baat hai. 476 00:33:54,040 --> 00:33:56,082 Chalo. Aik dousray ki madad karo. 477 00:33:57,250 --> 00:34:00,080 -Kya huwa hai? -Main pata karnay ki koshish kar raha hun. 478 00:34:00,218 --> 00:34:02,699 Manuel, hum pehlay faisla kar chukay thay. Kya ye koyi chaalbaazi hai? 479 00:34:02,790 --> 00:34:05,200 Mera General us rail gaari par maujood tha takeh khud pohancha sakay. 480 00:34:05,291 --> 00:34:06,660 Mera yaqeen karo, koyi chaalbaazi nahi hai. 481 00:34:06,685 --> 00:34:09,019 Meray paas bijli paida karnay waalay adha darjan kaarkhaanay nakaara paray hain 482 00:34:09,044 --> 00:34:10,831 kyunke unko chalaanay keliye koyi maujood hi nahi hai. 483 00:34:11,053 --> 00:34:12,253 Mujhe logon ki zarurat hai. 484 00:34:12,354 --> 00:34:14,707 -Roberta... -Main mazaaq nahi kar rahi hun. 485 00:34:14,941 --> 00:34:16,780 Agar yahan bijli jaayegi, tou phir tum bhi kaam se jao gi. 486 00:34:16,805 --> 00:34:19,733 Main tumharay ilaaqay ko aik button se aasaar e qadeema pohancha dungi. 487 00:34:19,758 --> 00:34:20,799 Aisa mat karna. 488 00:34:22,371 --> 00:34:25,024 Mr Castillo, rail gaari ka pata laga kar usay rawaana karo 489 00:34:25,049 --> 00:34:27,019 warna Beatty ka ilaaqa haath se gawa do gay. 490 00:34:31,319 --> 00:34:34,094 Aik mehfuz raabta banao. San Diego kay base ko phone lagao. 491 00:34:34,119 --> 00:34:36,286 Mujhe samandar mein ghota khor bhej kar tasdeeq karwani hai 492 00:34:36,311 --> 00:34:38,518 ke jo jahaz hum nay tabah kiya woh Nathan James hi tha. 493 00:34:38,700 --> 00:34:40,240 Nathan James, ko itilah di jaati hai. 494 00:34:40,265 --> 00:34:42,566 Humaray paas darjanon shehri hain jinhein bhook se kamzori hogayi hai. 495 00:34:42,591 --> 00:34:45,835 Unhein tibi imdaad ki zarurat hai aur sath mein ghair muhalliq fauji... 496 00:34:45,860 --> 00:34:48,268 -Tibbi imdaad keliye team taiyaar karo. -Jee, madam. 497 00:34:49,910 --> 00:34:50,882 Ab itmenan rakho. 498 00:34:54,847 --> 00:34:56,955 Captain, humein aik aisa signal mosul horaha hai 499 00:34:56,980 --> 00:34:59,502 jo aap kay maujooda muqaam par kisi device par mosul horaha hai. 500 00:34:59,659 --> 00:35:02,222 -Kaun raabta kar raha hai? -Signal aik aisi jagah se mil raha hai 501 00:35:02,313 --> 00:35:05,567 jo Los Angles kay shumaal mein waqeh hai aur wahan darja-e-haraarat bhi ziada hai. 502 00:35:12,508 --> 00:35:13,674 Tumharay boss ka phone hai. 503 00:35:14,073 --> 00:35:15,717 Castillo se kaho ke tum us se milna chaahtay ho. 504 00:35:16,189 --> 00:35:18,276 Tumhein pehlay laga tha ke tum koyi aur faisla nahi le saktay thay. 505 00:35:19,561 --> 00:35:21,065 Lekin ab tumharay paas moqah hai. 506 00:35:21,330 --> 00:35:22,834 Sath mil kar usko haraatay hain. 507 00:35:32,000 --> 00:35:33,076 Mr Castillo. 508 00:35:33,830 --> 00:35:34,868 Jee. 509 00:35:35,040 --> 00:35:38,534 Sir, rail gaari kay sath aik haadsa pesh aagaya hai. 510 00:35:39,726 --> 00:35:42,121 Nahi, sir, samaan tou mehfuz hai lekin... 511 00:35:42,830 --> 00:35:45,266 Haan, behtar hoga ke tum godaam par khud aajao. 512 00:35:46,580 --> 00:35:48,009 Theek hai, sir. Main waheen tum se milta hun. 513 00:35:53,580 --> 00:35:55,324 Kya tum jaantay ho ke tumhein uska qatal karna parega? 514 00:35:56,766 --> 00:35:58,288 Hum us tarah se kaam nahi kartay hain. 515 00:35:59,169 --> 00:36:00,886 Usay khud ko humaray hawaalay karnay ka mauqa milega. 516 00:36:00,911 --> 00:36:02,087 Nahi, nahi, nahi. Meri baat suno. 517 00:36:03,250 --> 00:36:06,447 Tumhein uska qatal karna hi parega warna woh hum sabko maar daalega. 518 00:36:30,040 --> 00:36:31,575 Kya masla hogaya hai? 519 00:36:34,604 --> 00:36:36,023 Meri rail gaari kahan hai, General? 520 00:36:38,330 --> 00:36:40,222 Mujhse aaj panga lenay keliye acha din nahi hai. 521 00:36:42,200 --> 00:36:43,360 Isko goli maar do! 522 00:36:43,450 --> 00:36:45,291 Woh tumharay liye ab kaam nahi karta hai. 523 00:36:48,160 --> 00:36:50,078 Mera iraada badal gaya hai. Uskay bajaye isko goli maar do. 524 00:36:55,450 --> 00:36:57,012 Behtar hoga ke tum hathiyaar daal do. 525 00:36:58,700 --> 00:37:02,660 Lieutenant Burk, baraaye meharbaani Mr Castillo ko giraftaar karo 526 00:37:02,750 --> 00:37:05,250 aur isko James tak waapis le jaanay ki taiyaari karo. 527 00:37:05,484 --> 00:37:06,734 Shauq se, sir. 528 00:37:06,870 --> 00:37:08,750 Main nay tumhein aik General banwaaya tha! 529 00:37:08,950 --> 00:37:12,121 Kya tum bhool gaye ke tumhara aur tumharay bachon ka paet kaun bharta hai? 530 00:37:12,785 --> 00:37:15,306 Ye aadmi unka niwaala chheen kar unko dega jo... 531 00:37:15,742 --> 00:37:16,862 Maaf kijiye ga. 532 00:37:16,953 --> 00:37:18,656 Kya main nay ziada kas diya hai? Achi baat hai. 533 00:37:28,035 --> 00:37:30,647 Tou kya ab mujhe tumhein khabar deni hogi, CNO? 534 00:37:30,830 --> 00:37:31,831 Nahi. 535 00:37:32,910 --> 00:37:36,607 Tum bas inko jawabdeh hogay bilkul jaisay main hun. 536 00:37:37,561 --> 00:37:38,700 Chief Commander! 537 00:37:38,790 --> 00:37:40,048 Mulaahiza farmayein! 538 00:37:53,934 --> 00:37:55,540 Humein in sab se halaf uthwaana parega. 539 00:37:56,120 --> 00:37:59,289 Ye waapis se United States ko khidmaat dena shuru kar rahay hain. 540 00:38:01,290 --> 00:38:02,502 Jee, sir, Mr President. 541 00:38:12,330 --> 00:38:13,583 Baamulaahiza! 542 00:39:14,080 --> 00:39:15,205 Tom Chandler. 543 00:39:16,620 --> 00:39:19,089 Tum America ko waba se bachaanay keliye pasand kiye jaatay ho. 544 00:39:20,204 --> 00:39:21,420 Phir logon ko bhook lagna shuru huwi. 545 00:39:23,491 --> 00:39:27,345 Unko tapish, saaf paani aur Wi-Fi jesi cheezon ki yaad aati hai. 546 00:39:28,342 --> 00:39:30,565 Unkay paas azeem shakhsiyaat keliye waqt nahi bacha hai. 547 00:39:31,822 --> 00:39:33,433 Tou abhi tou apni jeet ka jashan mana lo 548 00:39:34,160 --> 00:39:38,021 aur jab ye hujoom tumhari mukhaalfat karay tou mujhe yaad kar lena. 549 00:39:39,217 --> 00:39:41,122 Main dikhaunga ke inko qataar mein kaisay khara rakhna hai. 550 00:39:42,039 --> 00:39:44,482 Lekin main kabhi bhi taawun nahi karunga. 551 00:39:44,950 --> 00:39:46,372 Ab baat saari ye hai, Manuel. 552 00:39:47,370 --> 00:39:50,320 Aaj kay din se ab tumhein koyi ikhtiyaar nahi hoga 553 00:39:50,345 --> 00:39:52,107 ke tum kya karna chaahtay ho aur kya nahi. 554 00:39:53,007 --> 00:39:56,333 Dekho, tumharay paas mujhe maarnay ka mauqa mila tha... 555 00:39:57,362 --> 00:40:00,389 phir se mila tha aur tum nay gawa diya usay... 556 00:40:02,000 --> 00:40:02,897 phir se. 557 00:40:04,250 --> 00:40:05,819 Tou tum taawun karo gay. 558 00:40:07,790 --> 00:40:08,836 Aur aisa kyun hai? 559 00:40:09,540 --> 00:40:12,386 Baghair goli chaalaye tumhari fauj tumharay mukhaalif hogai. 560 00:40:12,821 --> 00:40:14,662 Aik dafa jab tumharay saathiyon ko pata chalega 561 00:40:14,687 --> 00:40:16,716 ke tumhara apnay aur Beatty kay ilaaqay par ikhtiyaar nahi hai... 562 00:40:16,741 --> 00:40:19,267 Woh tumhein alag kar dengay. 563 00:40:20,790 --> 00:40:23,814 Aur is hujoom ki taaqat ko kamtar mat samajhna. 564 00:40:25,014 --> 00:40:27,476 Aik dafa jab inko pata chal jayega ke tumhara mansooba kya hai 565 00:40:28,330 --> 00:40:30,636 tou inko qataar mein khara karnay keliye tumhari fauj kam par jaayegi. 566 00:40:31,660 --> 00:40:36,762 Lekin hum tumhein waapis se godaam par chhor saktay hain 567 00:40:38,120 --> 00:40:39,575 aur khud yeh hota hua dekh saktay hain. 568 00:40:43,580 --> 00:40:46,953 Us nay Asia mein China kay jahaaz par qaabu paaya hoga 569 00:40:47,620 --> 00:40:50,099 aur phir usko yahan tak le aaya hoga. 570 00:40:51,448 --> 00:40:53,148 Humein Castillo ko khabardaar karna hoga, madam. 571 00:40:53,239 --> 00:40:55,590 Ab kaafi dair hochuki hai. Is waqt woh Chandler ki hirasat mein hoga. 572 00:40:56,160 --> 00:40:58,457 Uska taaluq bhalay bahria se hai lekin woh bohat hoshiyaar hai. 573 00:40:58,548 --> 00:40:59,884 Tum apni bakwaas band karo gay? 574 00:41:03,583 --> 00:41:05,296 Mujhe kuch sochna parega.